sabko pata hai

pyaar kya hai sabko pata hai,
pyaar 100 dukkh hai sabko pata hai,

pyaar do pal ki khushi hai sabko pata hai,
pyaar umar bhar ka gum hai sabko pata hai,

pyaar mein dil milte hain sabko pata hai,
pyaar mein dil tutate hain sabko pata hai,

pyaar ek mitha ehsaas hai sabko pata hai,
pyaar ek mithi zehar hai sabko pata hai,

phir bhi pyaar mein pard jaate hain kyuki,
ye kiya nahi jaata.. ho jaata hai sabko pata hai.

tere bina meri zindagi adhuri hai

meri bhi ek majburi hai,
ki tere bina meri zindagi adhuri hai,
woh shamme mehfil puri hai jisme tera saya hai,
woh khush naseeb hai tune jisse apnaya hai.

zindagi jeene ke liye sirf baatein hi kaafi hain,
log kehte hain ki sirf yaadein hi kaafi hain,
mere paas to teri yeh yaadein bhi adhuri hain.

meri wafa ke sang teri bewafaai ka,
zeher peena bhi meri ek majburi hai,
haan meri bhi ek majburi hai,
tere bina meri zindagi adhuri hai.

tujhe apne paas bitha kar sabko bhulaana hai

hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai,
tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai,

teri baahon mein aakar sukoon mil jaaye mujhe,
teri zulfon ko apne kaandhon pe bichaana hai,

tu azeez hai mujhe itni main keh nahi sakta,
tera deewaana hoon main bas itna bataana hai,

haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi,
tere chehare ko nigaahon ke saamne laana hai,

main kahi baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein,
tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai,

jab dekhe tu mujhko t0 chehra khil jaye mera,
har takleef ko apne dil se, mujhe mitaana hai,

main duaa mein maangta hoon, khuda se tujhko,
apna sab kuch kho kar bas tujhe hi paana hai,

khwaabon mein bhi aksar yeh sochta hai,
kya tujhe bhi kuch iss tarha mujhe sunaana hai. 

hum bhi shahrukh se kum nahi

surat surat kya karti ho
surat main koi dum nahi,
agar tum khud ko samajhti ho madhuri
hum bhi shahrukh say kum nahi.

khuda kare ki tujhe aisi beemari lage
tu budhape mein bhi kuwari lage,
darjan ho jayein bacche tere
tu phir bhi hum ko pyari lage.

tannhai woh bimari hai
jiska doctors ke paas ilaaz nahi,
hum iss bimari saye bach sakte hain
agar tumko shaadi se inkaar nahi.

tere baap ko shadi main nahi bulayengaye,
budha phir se gar satthhiya gaya,
to hum to jeete jee mar jayenge.

kyon humse door jaate ho

aankhein band karte hain, tum kareeb hote ho,
kareeb aakar sapnon ko, hakeekat bana dete ho,

ek pal bhi muhskil hua hai, abb tumhare bin,
kyon humein sata ke, humse door jaate ho,

subah shaam sang rahte ho, iss dil mein humare,
raaton ko bhi sapano mein humare chale aate ho,

mehsoos karte hain tumhe har ghadi, har pal ko,
kyon aur kareeb aake dil ki dharkane bardhate ho,

jaante ho chahate hain tumhein dil o jaan se jada,
phir kyon sawaal baar baar apne mann me utate ho.


All Time's Favourite Posts