suna hai ke samandar mein koi toofaan aaya hai

suna hai ke samandar mein koi toofaan aaya hai,
pareshaani ki aalam mein insaan aaya hai.

samandar se nikal kar aa gayi hain mouj sadkon par,
gharon se beh ke paani mein saro-saamaan aaya hai.

hua hai yun to indonasia mein zalzala bahut bada,
magar tabahi mein srilanka aur hindustaan bhi aaya hai.

nahin puchha lehron ne naam aur mazhab marne walon se,
na zinda ram louta hai.. na wapas khan aaya hai.

dawayein baap ki lene jo apne ghar se nikla tha,
woh khidmat mein pita ke be-dawa, be-jaan aaya hai.

machhwaron ne samandar mein jahan ek jaal daala tha,
machlion ke saath phans kar us mein insaan aaya hai.

main roti leke aata hoon.. gaya tha keh ke bachchon se,
na khud louta, na khane ka koi saamaan aaya hai.

khuda mout yeh kaisi hai, jis mein marne walon ko,
naseeb na chitta aayi, na kabristaan aaya hai.y

luteyrein loot mein masroof hain aisi tabaahi mein,
badal kar apna chehra dekhiye shaitaan aaya hai.

gaye jab hadesa-e-tabahi mein kuch madat pahuchaane,
nazar manzar humein charon taraf veeraan aaya hai.

All Time's Favourite Posts