ek khoobsurat sapna hoon main

patthar ko jo pighla de
woh parwana hoon main,
haan tune theek suna hai
tera deewana hoon main,

ghumon ko jo bhula de
woh dawai hoon main,
bas ek milne ka ehsaas
na ki lambi judaai hoon main,

dil-walon ke labon pe likha
ek khoobsurat afsana hoon main,
koi shikwa nahi mujhe kisi se
mijaaz aashikana hoon main,

rone wale ko jo hansa de
ek aisa shaayar hoon main,
thanda chaand sitara nahi
tappta angara hoon main,

jagah jo har dil mein bana le
aapka apna raaj hoon main,
tanhaai ki aanhein nahi
mehfilon ka taraana hoon main,

koi nahi jaanta pehchaanta mujhe
na hi kissi ka paraya hoon main,
mujhe duniya walon haqikat na samajhna,
ekkiswin sadi ka bas ek khoobsurat sapna hoon main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts