zara paane ki chaahat mein bahut kuch chhut jaata hai

zara paane ki chaahat mein bahut kuch chhut jaata hai,
na jaane sabra ka dhaaga, kaha par tut jaata hai.

kisko humara kehte ho, yaha to apnaa saayaa bhi¸
kahi par saath chalta hai, kahi par chhut jaata hai.

ajab se hain yeh rishte bhi, bahut majabut lagate hain,
jara si bhool se lekin, bharosaa tut jaata hai.

ba-muskila hum mohobbat ke dafaeini khoj paate hain¸
magar har baar yeh daulat, apna lut jaata hai.

for those who love

with love in eyes and smile on face,
I use to run in a beautiful race,
the race of love the race of passion,
brings me glory brings me succession.

you looked at me in such a desire,
I know your heart really admire,
just look one more time with love,
my heart is as pure as a dove.

alone I am for such a long time,
just waiting for you to give a rhyme,
a rhyme to chant, a rhyme to sing,
a rhyme to love, a rhyme to bring.

never get my emotions to hurt,
always being in my heart,
gave me a reason to flow,
bringing me a beautiful glow.

this is for those who love,
someone for whom they strive,
whose smile can make you die,
whose heart can bring you life.

main bura tha magar itna nahi tha

zindagi se to koi shikwa nahi tha,
jeene ka bhi to bahana nahi tha. 

haal-e-dil jo mera sunke roo pade,
mujhe woh sach bhi batana nahi tha. 

main kyun na baith kar kosta apni kismat ko,
jo mera tha, woh ab apna nahi tha. 

dekh kar khud ko usmein rona lazmi tha mera,
woh aaina tha, koi sapna nahi tha. 

sunke barbadi meri mehfilein sajayi tumne,
main bura tha, magar itna nahi tha. 

ke jinke sath kat gaya tamam zindagi ka safar,
aakhiri mord par jana, unmein koi apna nahi tha.

kehte-kehte jaise kalam bhi roo pada,
woh haqeekat tha, mera afsana nahi tha.

kaise keh doon ki main udaas nahin

mera dil toota hai aakhir koi mazak nahi,
kaise keh doon ki main udaas nahin.

jab se bana lee hain dooriyan tumne,
bas yoon lagta hai koi paas nahin.

paaker tumhein kho bhi diya aur abhi algta hai,
jaise poori huyi talas nahin.

nigaahein teri raah dekhna bhala chhord dein kaise,
jab tere aane ki abhi dil se gayi aash nahi.

sazaa pata hai koi begunaah tere huzoor mein,
yeh to achha tera insaaf nahi.

khud baith jaate ho pareeshaan hoker,
phir yeh bhi kahte ho yaar aisi koi baat nahi.

woh utni nahi pilate jitni chahta hoon,
isliye keh diya karta hoon mujhe pyaas nahi.

kya khabar thi.. iss tarah hi jeena hoga umra bhar

kya khabar thi.. iss tarah hi jeena hoga umra bhar,
dard -e- dil seene mein lekar, jeena hoga umra bhar. 

socha tha kuch roz baad, hum bhi muskurayenge,
socha na tha aanshuon ko peena hoga umra bhar.

maine bhi uff ! na kari aur woh bhi satate rahein,
socha tha ke yeh to unse bhi na hoga umra bhar.

soch badali hai kabhi na, soch badalegi kabhi
aadmi ko apni tarah jeena hoga umra bhar.

har din ke inteham par yeh sochta hoon,
kya inn halat mein hi jeena hoga umra bhar.

ek dua yeh bhi mangta hai koi

pyaar se dekh le kabhi koi,
ek dua yeh bhi mangta hai koi.

roz jeeta hai, roz marta hai,
sach tujhe yun bhi chahata hai koi.

main to so jata hoon magar mujh mein,
tamam raat jagta hai koi.

tannha paate hi gudgudata hai,
haan mujhe yun bhi sataata hai koi.

suni -suni si lag rahi hai jo sada,
aisa lagta hai humein bhi bulata hai koi.

dubta suraj.. woh urdte parinde,
sham yun bhi gujarata hai koi.

chota sa dil hai, pahardon se ghum

chota sa dil hai, pahardon se ghum,
nanhi si jaan pe hain kitne sitam. 

main ek zindagi se hi tang aa gaya,
mubarak ho tumko yeh saaton janam. 

mere dard se woh pareshaan kya honge,
ke woh sang dil hain barde bereham. 

kahin ka na chordegi yeh aashiqi,
ke jeene na denge yeh lutf -o- karam. 

safar yeh mohabbat ka aasaan nahi,
ke iss rah mein hai barde pech -o- kham. 

yahan zinda rehna hi bardi baat hai,
ke har saans par hai, uddhar ek dum. 

sambhalne ka jab waqt aaya hai to,
behakne lage hain humare kadam. 

yeh mana ke dil mein khuda hai mager,
to kiske liye hai yeh dair -o- dharam. 

iss sitamghar ke kehne pe,
tord di humne naa jaane kitni kasam. 

na puchho kya kya woh kho kar utha hai

jo meri daastaan sunkar utha hai,
woh apna daman bhigo kar utha hai.

beeti raat ka usse abhi hishab na lo,
woh abhi jaga hai, soo kar utha hai.

abhi tum usko hansane ki koshishein na karo,
abhi chhupa hai woh, roo kar utha hai.

jo khelne baitha jua mohabbat ka,
na puchho kya kya, woh kho kar utha hai.

mere aane se chal pada jo chord kar mehfil,
woh mere dil ko chubho kar utha hai.

uska haal kuch behaal nazer aata hai,
phir koi dhokha woh kha kar utha hai.

tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha

jahaan phoolon ko khilna tha, wahi khilte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha. 

koi aa kar humse puuche, tumhein kaise bhulaaya hai?
tumhaare khat ko ashkoon se, tapish-e-gham mein jalaaya hai. 

hazaaroon zakhm aaise hain agar silte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha. 

tumhein jitna bhulaaya hai, tumhaari yaad utni aai hai,
bahaar-e-sard jo aayi hai, wohi khushbu laati to acha tha.

tumhaare lab meri khaatir, jo hilte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha. 

mila hai lutf bhi humko hasiin yaadoon ki jhilmil mein,
katti hai zindagi tum bin, magar yeh malal dil mein reh hi gaya,

agar tum aate to acha tha, agar mujhse milte to acha tha,
tumhi ko humne chaaha tha, tumhi milte to acha tha.

ek tannha shaam thi, ek akeli raat thi

ek tannha shaam thi, ek akeli raat thi,
ek akele hum the, ek teri yaad thi.

shuru hua phir jo tanhaiyon ka aalam,
ki har tannhai pe ek yaad thi.

everyone needs companionship and cheer

God knew that everyone needs
companionship and cheer,
he knew that people need someone
whose thoughts are always near.

he knew they need someone kind
to lend a helping hand.
someone to gladly take the time
to care and understand.

God knew that we all need someone
to share each happy day,
to be a source of courage
when troubles come our way.

someone to be true to us,
whether near or far apart.
someone whose love we’ll always
hold and treasure in our hearts. 

For me.. that someone is missing.

naa samah the kitne hum, jana humne jab aankh khuli

khwab to khwab hi tha, jana humne jab aankh khuli,
apne huye hain paraye, jana humne jab aankh khuli. 

paya tumhein karib to, samjhe kismat khuli
pana tumhein hai mushkil, jana humne jab aankh khuli. 

ro-ro ke kehte hain ki, maangkar bhi khushi naa mili,
gham bhi kya chiz hai, jana humne jab aankh khuli. 

samjhe tumhein saathi apna ki, zindagi ki kitaab khuli,
naa samah the kitne hum, jana humne jab aankh khuli.

kuch sapne adhure reh jaate hain

kuch khawab khawab reh jaate hain,
kuch sapne adhure reh jaate hain. 

chaahat ka wada, wafa ki kasmein,
kagaz pe chand tehrerein reh jaate hain. 

tujhse milna, tujhe paane ki aarzoo,
kuch khwahishein hasratein reh jaate hain. 

tere saath bitta waqt, tere sang guzare lamhein,
zindagi ke kuch khaas yaadein ban reh jaate hain.

mat puch sambhala hai maine kis tarah

mat puch sambhala hai maine khud ko kis tarah,
waqt ne to mujhko tukde-tukde kar diya.

3 golden rule in life

never cry for any relation in life..

because for the one whom you cry
does not deserve your tears
and the one who deserves
will never let you cry.

treat everyone with politeness..

even those who are rude to you,
not because they are not nice
but because you are nice.

never search your happiness in others..

which will make you feel alone,
rather search it in yourself
you will feel happy
even if you are left alone..

tujhse jo maine wada kiya tha

armano ko dil mein dafen kar diya,
khwahisho ka galla ghot diya, 

tujh se jo maine wada kiya tha,
apne aap ko tujh se juda kar diya. 

dard aaj bhi seene min uthata hai,
jalan aaj bhi dil mein hoti hai,

teri ek jhalak dekhne ko,
taras aaj bhi ankhoon mein jaagti hai.

apne anshu ko pee ke,
iss taras ko bujhata hoon, 

armano ki arthi pe
khud hi phool chadhata hoon. 

mere naseeb tu nahi hai,
par teri yaadon koi mitta nahi sakta, 

iss jahan se mitt sakta hoon magar
teri mohobbat iss dilse mitt nahi sakti.

apni to duniya hi doston se hai

khushi bhi doston se hai,
gham bhi doston se hai, 

takraar bhi doston se hai,
pyar bhi doston se hai, 

roothna bhi doston se hai,
manana bhi doston se hai, 

baat bhi doston se hai,
misaal bhi doston se hai, 

nasha bhi doston se hai,
shaam bhi doston se hai, 

zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai,
zindagi mein mulakaat bhi doston se hai, 

mohabbat bhi doston se hai,
inaayat bhi doston se hai, 

kaam bhi doston se hai,
naam bhi doston se hai, 

khyaal bhi doston se hai,
armaan bhi doston se hai, 

khwaab bhi doston se hai,
maahol bhi doston se hai, 

yaadein bhi doston se hai,
mulakaatein bhi doston se hai, 

sapne bhi doston se hain,
apne bhi doston se hain, 

ya yoon kahoon yaro,
apni to duniya hi doston se hai.

live life to its fullest

life is like flowing water,
if it stops..
it gets stagnated.

if it flows.. 
it turns into a waterfall,
a stream, a river and ocean. 

similarly life has joys and worries,
but its like sunrise after night, 

so after each sad event,
there is a happy event,
so live life to its fullest,
enjoy each second of life.

life is precious, 
respect it,
thank thou for it. 

yaad aati hai to hum iss dil ko rok lete hain

yaad aati hai to hum iss dil ko rok lete hain,
aanchal na mile to, ashk haathon se ponch lete hain.

marham na mila to zakhmon ko bahne dete hain,
dard dil mein rakh kar, dhadkan ko sahne dete hain. 

machle jo jazbaat to yeh dil ka dosh hi hoga,
aapki yaad mein aaj phir koi khamosh hoga. 

yaad karte hain tumhein har saans ke aane-jaane pe,
sunte hain aapki hasi har kisi ke muskuraane pe.

aati hai aahat tumhari kisi ke bhi paas aane pe ,
par hum kuch nahi kahte logo ke ilzaam lagane pe.

aapke na milne pe bhi yeh zindagi ko jee rahein,
har zakhm duniya ke hum hans ke bhi seh rahein ,

saans-aate saans-jaate yaad bas tu aati hai,
saanson se saanson ki yeh dhun,
saans mein gun-gunaati hai. 

dard ko bhi ab dard hone laga hai

dard ko bhi ab dard hone laga hai,
dard khud hi hamare ghav dhone laga hai,

dard ke sath kabhi roye naa hum,
dard khud hi humko chu ke rone laga hai.

kya woh sab yaad tumko hai

tumhein aaj phir dil se chaaha,
ahsaas kya tumko hai, 

agar jaante ho mere dil ka haal,
phir bhi na khayal tumko hai,

daaman ko mere kaanton se sajja kar,
kya yeh mehkati tumko hai, 

chord di aaj saari waffaien,
jiske gumaan mein rehta tha,

safar ab khatam hua is zindagi ka,
mili jo meri manzil tumko hai,

asar unko meri baaton ka, kyu nahi hota,
mein bewaffa nahi, bewaffai ka dard tumko hai,

sharaab peene ko aaj bahaut dil chahe mera,
karu to kya main karu, di jo kasam tumko hai,

mere haaton mein, de kar haath jo tum kehte the,
aaj bhi sochta hoon, kya woh yaad tumko hai,

mera to sab kuch tum ho, kise kahu apna,
dushman bhi na deta itne zakham,
mere dard ka hisaab kaha tumko hai,

dil se ab dua hai yehi, uska zikar na kare koi,
lekin yeh kaha ho saka, jaanta har koi tumko hai,

milti hai raat khushnaseb so jaane ke liye,
mujhe har aahat jagaati hai,
raat sitaaron ki jab kabhi chup jaaye,
phir woh jagaati kya tumko hai?

kyun tera har baar meri zindagi mein aana-jaana hai

kyun tera har baar meri zindagi mein aana-jaana hai,
kyun tera har baar dil ko rulaana-hasana hai?

beshak ghar mein hain mere tere gum ke andhere,
kyun roshani ko aandhiyon mein jalaana-bhujaana hai? 

mudat hui hai aaj husn- e- jaam piye huye,
magar mehkasho mein naam mera jaana-mana hai.

kitna tha gumaan mujhe teri mohobbat par,
aitbaar tha teri itni chahat par,

toota mera har woh khawaab jo tere saath dekha,
kya khabar thi raaj ne itna khona-paana hai.

kyu tera har baar meri zindagi mein aana-jaana hai,
kyu tera har baar dil ko rulaana-hasaana hai.

dil ki deewarein kaanch ki tarah toot gayi

dil ki deewarein kaanch ki tarah toot gayi,
phir bhi woh dhundla sa har tukde par uska naam dikhta hai,

kehta the woh ki yaad aati hai aapki bahut,
phir kyu nahi kabhi koi paigaam likhte hain,

kehne ko to saansein zinda hain,
phir kyu maut sa ehsaas aa dhadkan mein tikta hain. 

kaisa hoon kis haal mein hoon

kaisa hoon, kis haal mein hoon.. usko kya khabar,
achcha hoon ya bura hoon, usko kya khabar?

mulaakat ki usse hui barso ki sada,
yaad aata hai mera chup rehna, 
uski meethi baaton ki adaa,

kis kadar tute hain pal woh mohobbat waale,
kis kadar chubhte hain pal yeh yaadon waale,

tannha hoon ya tuta hoon, usko kya khabar,
kya khabar thi dil ki baaton mein haal-e-dil hai chupa,

chand yaadon par dard-e-dil hai utha,
jaane kyu sochta hoon guzra kal  bata,
jab kisi ko nahi koi matlab,
zinda hoon ya guzra hoon, usko kya khabar.

kaisa hoon, kis haal mein hoon usko kaya khabar,
achcha hoon ya bura hoon, usko kaya khabar?

tera intezaar aaj bhi zinda hai meri tamannaon ke saath

tera intezaar aaj bhi zinda hai meri tamannaon ke saath,
woh jazba aaj bhi baashinda hai mere khayalaat ke saath,

woh aur honge jo chaah kar kisi ko bhool jaate hain,
maine chaaha hai usko badi ibaadat ke saath,

chiraagon ki roshani mein jab dum naa rahe,
main usko bhi jalaa doon apne aashuon ke saath,

aakhiri dum yeh mera naa soch kar nikle,
laut aaonga kissi ashiq ki rooh ke saath,.

khaali haath chala tha, aaj tak kuch nahi paaya

door tere jahaan se, main apni duniya basaane aaya,
khaali haath chala tha, aaj tak kuchh nahi paaya. 

mushkilon ka safar kabhi rukta hi nahi,
tufaano ka saamna karna, waqt ne bas yehi sikhaya. 

tannha baithta hoon jab, aur tannha paata hoon,
itne baras beet gaye, koi bhi nahi aaya. 

khawaab the mere, kuch sehra pe khade makaanon ki tarah,
aanshu mein doobh gaye, behna inko nahi aaya. 

door tere jahaan se, main apni duniya basaane aaya,
khaali haath chala tha, aaj tak kuch nahi paaya.

kaal chakra ne unhein ek ehsaas bana diya

ret ke is dher mein,
koi gharaunda kabhi to bana hoga,
kabhi to kinhi payare haatho ne inhein,
chhua hoga, aakaar diya hoga.

chamakte ankhon mein khwaise liye hazar,
dil mein umnag liye, liye hue dher sara pyar,
ek sapne ko karne sakar,
kabhi to kisi ne inhein moort kiya hoga.

socha hoga ban kar kabhi yeh na tootega,
aur tootega bhi to kaise,
laharo ke aage woh khud honge,
hatho mein haat liye. 

ha yahi to socha hoga,
par kya yeh mumkin tha,
ki woh kaal chakra ko rok sake?

muskil waqt ne mita diya har woh nisaan,
jiske liye woh kabhi na soch sake.

ek lahar tha woh nahi,
sitam ka ek toofan,
kuchh bhi baki nahi waha,
mit gaye sare nisaan.

kya yahi anzamm tha
us pyar ke mandir ka
woh doobe, utraye, haath na chhode,
ek nazar feri aur mit gaye,
mit gaye? 

nahi, woh ek ehsaas ban gaye,
kaal chakra ne unhein ek ehsaas bana diya.

a wonderful gift to share

a hug is a wonderful gift to share,
a way to show each other that we care.
there is so much a hug is able to do,
when you feel those arms, holding you.

it is a place to feel safe and warm,
a comfort for a sad heart that is torn.
an expression of the love in our heart,
for ones who we wish, never to be apart.

a greeting when we meet to say hello,
or to say goodbye when we have to go.
it can hold us up when life gets us down,
and make us smile, instead of frown.

a hug can be given for no reason at all,
and given to those, both big and small.
we are never too old to feel the joy it brings,
as it is one of life’s, most pleasing things.

and for all of this beauty, a hug is free,
costs nothing, yet means so much to me.
we should all hug another to show we care,
for to feel a warm hug, nothing can compare..

intehaan woh mere sabr ka ab kya lenge

woh yahaan aayenge, yeh dil ko batta rakha hai,
marte-marte bhi inn aankhon ko khula rakha hai, 

intehaan woh mere sabr ka ab kya lenge,
unse paaya hua zakhm, aaj bhi hara rakha hai. 

bewafaa woh thi, hum the, ki zamaane waale,
chordiye yeh sab, ab inn baaton mein kya rakha hai. 

unko aaya hi nahi meri mohabbat ka yakeen,
kab se yeh haath inki aur bardha rakha hai. 

har ghazal sunke meri, unko aisa laga,
jaise har sher unko pehle hi sunaa rakhaa hai. 

dil ki ghaati mein dabey panv utar jaati hain,
unki aankhon ne deewaana bana rakha hai. 

mere baad aur bhi aa jaayenge likhna waale,
maine auron ko bhi yeh afsaana suna rakha hai.

dost banke dushman, dil ke kareeb rehte hain

meri panaho mein mere kaatil rehte hain,
dost banke dushman, dil ke kareeb rehte hain. 

guzar jaati hai har shaam tannha tannha si,
chirag bhi saare bujhe-bujhe se rehte hain. 

tannha-tannha si basar ho rahi hai zindagi,
saaye bhi ab humse door rehte hain. 

khwaab bhi koi ab palkon mein basate nahi,
kuch moti banke wahan tere gham rehte hain.

kyun tannha jiya ja raha hoon main

zamaane ki riwayaton pe chal raha hoon main,
apni hi bandish mein kaid jee raha hoon main. 

dil ki chahat ko khul ke izhaar bhi nahin kar sakta,
aur kehta hoon beshak muskura raha hoon main. 

kambakth dil hi jhoota nikla,
sach ko pehchan ne se inkar jo kar raha hoon main. 

ab duniya se kya shikayat karni,
apne hi dil mein taaze ghav bana raha hoon main. 

apni bebasi pe hans rahi hai yeh duniya,
khudko jo tardpa raha hoon main. 

iss duniya ki tamannaon ko poore karne ke liye,
khudke aarzuon ko daffna raha hoon main. 

dil ne roke phir kaha,
kyun tannha jiya ja raha hoon main. 

zindagi ko jeene ka jazbah nahin,
maut ko gale laga raha hoon main.

zindagi ko jab bhi gale lagana chaha

zindagi ko jab bhi gale lagana chaha,
ghamon ne khushi se door rakhna chaha. 

pyar se jab unko apnaa banaa chaha,
bewafai ne dilko bar-bar tordna chaha. 

khuli aasman mein jab bhi urdna chaha,
kaale badalon ne raasta rokna chaha. 

dard jhel kar bhi khush rehna chaha,
zakhmon ko sabne kuredna chaha. 

har mukaam ko jab paar karna chaha,
apno ne hi piche dhakelna chaha. 

har mehfil mein rang jamana chaha,
doston ne cherd kar tamasha banana chaha. 

jab bhi musibaton se lardna chaha,
takdeer ne hathiyaar hi cheen lena chaha. 

haar ke zindagi se jab mar jana chaha,
to maut ne humein zinda rakhna chaha. 

pal bhar mein tune raaj ko anjaan kar diya

chahat ka tune kya sila diya,
hasti aankhon ko dariya bana diya. 

pyar ka deep dilmein jalaa diya,
ussi aag mein phir sab kuch mita diya. 

pyar ka jab bhi vaasta dila diya,
beetey lamhon ka tune keemat chuka diya. 

tere liye khud ko itna badal diya,
aaj pehchan ne se tune inkaar kar diya. 

sab kuch jo tere naam kar diya,
mohabbat ka tune sauda kar diya. 

jisne apno ke dilmein ghar kar diya,
sabki nazro mein usse gunehgar bana diya. 

wafa karte sab rishthon ko gawa diya,
ussi pe tune bewafai ka daag laga diya. 

dard-o-gham se daaman bhar diya,
dilne aaj bhi tujhe bas duwa hai diya. 

tujhe paane ko kya-kya na kar diya,
pal bhar mein tune ‘raaj’ ko anjaan kar diya.

All Time's Favourite Posts