kya tujhe bhi mujhse pyaar hai

dil mein kuch dabbe dabbe se khaamosh armaan hain,
ab tak hum tere ekraar ko sanam bekarar hain,

aa jaao ki ab to bas tera hi humko intezaar hai,
dubb jaye teri chaahat mein khuda ka yahi farmaan hai,

puchho khud se kya tumhein meri khwaish nahi hai,
bujho yeh paheli ki mujhe jawab ka intezaar hai,

kya nahi jaante tum mujhe tumse kitna pyaar hai,
kyu tu meri iss kashmakash se itni anjaan hai?

jab jab tune mujhe yun muskuraakar dekhi hai,
fizaaon mein mujhe bahaaron ka mazaa mila hai,

jabbhi kabhi yuhi tune mujhe murdke dekha tha,
registhan mein samundar ke hone ka ehsaas hua tha,

jab-jab maine apne hatho se tere kaiso ko sawara hai,
tab-tab laga yeh pal humdono par barda mehrbaan hai,

tujhi se hi to sanam mere dil ka har karaar hai,
tere bina har pal lagta hai ki jeena bekaar hai,

jaanta hoon main ki tujhe bhi mujhse pyaar hai,
phir kyun tujhe mujhe tardpaane ka khyaal hai,

samajh nahi paa raha hoon jane kya yeh maajra hai,
aaj bataa hi do kya tujhe bhi mujhse pyaar hai?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts