Showing posts with label behna. Show all posts
Showing posts with label behna. Show all posts

waqt ke sath dayarein badaltein logg

waqt ke sath dayarein badaltein logg,
jab jee chaaha anjaan ho jaatein yeh logg.

jab marrzi padein dil-daar ho jaatein logg,
waqt be waqt sanngdil ho jaatein yeh logg.

apni marzii ke maalik hain yahan sabhi logg,
patharr ko bhi tord kar khush ho jaatein yeh logg.

kisi ki kamazori ko garz samajh kar muskuraatein logg,
nafraton ke shehar banatein aur 
uss mein basar kartein yeh sabhi logg.

tujhse jo maine wada kiya tha

armano ko dil mein dafen kar diya,
khwahisho ka galla ghot diya, 

tujh se jo maine wada kiya tha,
apne aap ko tujh se juda kar diya. 

dard aaj bhi seene min uthata hai,
jalan aaj bhi dil mein hoti hai,

teri ek jhalak dekhne ko,
taras aaj bhi ankhoon mein jaagti hai.

apne anshu ko pee ke,
iss taras ko bujhata hoon, 

armano ki arthi pe
khud hi phool chadhata hoon. 

mere naseeb tu nahi hai,
par teri yaadon koi mitta nahi sakta, 

iss jahan se mitt sakta hoon magar
teri mohobbat iss dilse mitt nahi sakti.

zindagi ko jab bhi gale lagana chaha

zindagi ko jab bhi gale lagana chaha,
ghamon ne khushi se door rakhna chaha. 

pyar se jab unko apnaa banaa chaha,
bewafai ne dilko bar-bar tordna chaha. 

khuli aasman mein jab bhi urdna chaha,
kaale badalon ne raasta rokna chaha. 

dard jhel kar bhi khush rehna chaha,
zakhmon ko sabne kuredna chaha. 

har mukaam ko jab paar karna chaha,
apno ne hi piche dhakelna chaha. 

har mehfil mein rang jamana chaha,
doston ne cherd kar tamasha banana chaha. 

jab bhi musibaton se lardna chaha,
takdeer ne hathiyaar hi cheen lena chaha. 

haar ke zindagi se jab mar jana chaha,
to maut ne humein zinda rakhna chaha. 

pal bhar mein tune raaj ko anjaan kar diya

chahat ka tune kya sila diya,
hasti aankhon ko dariya bana diya. 

pyar ka deep dilmein jalaa diya,
ussi aag mein phir sab kuch mita diya. 

pyar ka jab bhi vaasta dila diya,
beetey lamhon ka tune keemat chuka diya. 

tere liye khud ko itna badal diya,
aaj pehchan ne se tune inkaar kar diya. 

sab kuch jo tere naam kar diya,
mohabbat ka tune sauda kar diya. 

jisne apno ke dilmein ghar kar diya,
sabki nazro mein usse gunehgar bana diya. 

wafa karte sab rishthon ko gawa diya,
ussi pe tune bewafai ka daag laga diya. 

dard-o-gham se daaman bhar diya,
dilne aaj bhi tujhe bas duwa hai diya. 

tujhe paane ko kya-kya na kar diya,
pal bhar mein tune ‘raaj’ ko anjaan kar diya.

tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gaye jab se

tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gaye jab se,
koi lafaz likhta hoon to ankhein bheeg jaati hai.

tumhari yaadon ki khushbu kirano se raks karti hai,
tere ghum mein sulagta hoon to ankhien bheeg jaati hai.

na jaane ho gaya hoon iss kadar hatash main kab se,
kisi se baat karta hoon to aankhein bheeg jaati hai.

main sara din bahut mashruf rehta hoon magar jyun hi,
kadam chukhat pe rakhta hoon to ankhein bheeg jaati hai.

teri galion se ab mera taluk wajeeb sa hai,
magar jab bhi nikalta hoon aankhein bheeg jaati hai.

meri pyaari behna

seep ke moti, gale ki mala si hai.. meri pyaari behna,
baba ki pari, maa ka gehna.. meri pyaari behna.

ghar ke har koona khusbu se mehkati.. meri pyaari behna,
hum sab ka saaransh hai.. meri pyaari behna.

ghungru si khanakti, panchi si chhehakti.. meri pyaari behna,
sang mein kheli-kudi badi huyi hai.. meri pyaari behna.

thaa pata ek din mujhe bahut rulayegi.. meri pyaari behna,
par khushi hai do pariwaron ko ek sath roshan kar rahi.. meri pyaari behna.

tu sada hasti muskaati rahe... meri pyaari behna,
ishwar se bas yehi kehna hai... meri pyaari behna.

Happy Bhai-Dooj... Kabita & Babita.

mere baba aaj bhi paise bachate hain

purani pant raffu kara pehante jaate hain,
branded new shirt dene pe aankhein dikhate hain,
tutte chasme se hi akhbaar padhne ka luft uthate hain,
topaz ke blade se dhadhi banate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

kapda ka puraana thaila liye,
door ki mandi mein jaate hain,
bahut mol-bhav karke fal-sabji laate hain,
aata nahi kharidte, geyhun piswate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

station se ghar paidal hi aate hain,
rikshaw lene se kat-raate hain,
sehat ka hawala dete jaate hain,
badhti mehngaayi par chinta jatate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

poori garmi pankhe mein bitaate hain,
sardiyaan aane par rajaayi mei dubakk jaate hain,
ac/heater ko sehat ka dushman batate hain,
light-pankha khula chordne par gussa ho jaate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

maa ke haath ke khaane mein ramte jaate hain,
bahar khaane mein aana-kaani machhate hain,
saaf-safayi ka hawala dete jaate hain,
mirch-masala-tel se ghabraate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

guzare kal ke kisse sunate hain,
kaise yeh sab joda, garav se batate hain,
puraane dino ki yaad dilate hain,
bachhat ki ahemiat batate hain,
hamari har maang aaj bhi,
jhat se pura kerte jaate hain,
ha.. 
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

All Time's Favourite Posts