yeh baat samajh mein aayi nahi

yeh baat samajh mein aayi nahi,
aur maa ne kabhi samjhayi nahi,
main kaise meethi baatein karoon?
jab meethi cheeez khayi nahi.

didi roz pakaati hai halwa,
aakhir kyon woh halwaai nahi?
mama ki mangni jab ho gayi kal,
kyon kal hi dulhan mangwayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi...

naani ke pati jab nana hain,
dadi ke pati jab dada hain,
tab didi se maine poocha,
baaji ke pati kiya baaja hain?

woh hans hans kar yoon kehne lagi,
aye bhai nahi.. aye bhai nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

jab naya mehmaan koi aata hai,
bijli ka bill bard jaata hai,
halaanki baadal bechaara,
yeh bijli mufft lutata hai,

phir humne apne ghar bijli,
kyon badal se lagwayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

agar billi sher ki mausi hai,
phir humne usse kyon pala hai,
kya sher bahut nalaayak hai,
mausi ko maar nikala hai?

ya jungle ke raja ke yahaan,
kiya milti doodh malayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

kyon lambe baal hain bhaalu ke,
kyon uss ki chattai krwayi nahi?
kya woh bhi ganda bacha hai,
ya uss ke papa aaye nahi?

yeh usska hair style hai kya?
ya jungle mein koi naayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

jo taare jagmagaya kerte hain,
kya unnke chachhe taayi nahi?
hoga koi to rishta sooraj se?
yeh baat humein kisi ne batlayi nahi.

par chanda kaise mama hai?
jab mummy ka woh bhai nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
aur mummy ne kabhi samjhayi nahi.

main kaise meethi baatein karoon?
jab meethi cheez khai nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts