why love hurts

if love is sweet why does it hurt,
if love is deep why does it burn,
if love is warm why do we shiver,
if love is tender why do we cry,
if love is forever why do we die

har ghazal tere bin adhoori

har aankh jaise suroori nahi hoti,
har aarzu waise hi poori nahi hoti,

kabhi tum bhi mere ishaaro ko samjho,
har baat to kehni zaroori nahi hoti,

wakt mile to koi waada hi nibha lena,
har baar to koi majboori nahi hoti,

tere sitamo ki inteha ab bahut huyi,
har sazaa ki ab manjoori nahi hoti,

teri yaad ke bin bhi hum likhte hain,
har ghazal tere bin adhoori nahi hoti.

there is no one who loves you like I do

there’s nowhere in the world I would rather be
than lost in your eyes, eternally.
your voice, your smile, your tender touch,
there’s nowhere my darling,
I love you so much.

there’s nothing in the world I would rather do
than live my days lying next to you.
your lips, your eyes, the warmth of your breath,
there’s nothing my darling, I will love you till death.

there’s no one in the world that compares to you,
you are the light in the darkness my heart clings to.
your laughter, your kiss, your warm embrace,
there’s no one, my darling that could take your place.

there’s no one in the world I would rather be
than the man you love, unconditionally.
my heart, my soul, my body too,
there’s no one my darling who loves you like I do.

kaho na.. kuch kaho na

kuch pal saath chale to jaana, 
rasta hai jaana pehchana, 
saanso ko sur de jaata hai, 
tera youn sapano mein aanaa.

maine jatan kiye to lakhon, 
mann ne meet tumhi ko maana, 
ab to haath thaam lene do, 
aur kaho na.. kuch kaho na.

sau janam ka saath apna, 
sans ka dhadkan se jaise, 
aas ka jeevan se jaise, 
kaise kate saal solah,
shyam ki jogan ke jaise, 
jhoot ke parde na dhoondo, 
sach kaho na.. kuch kaho na.

ek dooje ke liye hum,
haath mein kangan ke jaise, 
pyaas mein sawan ke jaise, 
roop ko darpan ke jaise, 
bhakt ko bhagwan ke jaise, 
jheel si simte na baitho,
kuch kaho na.. kuch kaho na.

jaanata hoon thak gayi ho, 
umr ke lambe safar se, 
saanp se dashte shahar se, 
aas se aur aanshuon se, 
bheed ke gahare bhawanar se, 
waqt phirta hai suno, 
itna daro na.. kuch kaho na.

kis tarah ladati rahi ho, 
pyaas se parchhaiyon se, 
neend se , angdaiyon se, 
maut se aur zindagi se, 
teej se, tanahaiyon se, 
sab tapasya tord dalo,
ab saho na.. kuch kaho na.

I wonder if love is worth fighting for

sometimes I wonder if love is worth fighting for, 
but then I remember your face and  I am ready for war.

iss pagal dil ko itna tu dard dilaya na kar

naam likh-likh kar mera mitaya na kar,
iss tarah tu apna gussa dikhaya na kar,

deewana log kahne lage hain ab mujhe,
inn aankhon mein har pal samaya na kar,

ho gaya main ruswa shehar mein tere,
meri tasveer tum sab ko dikhaya na kar,

kanp-kapane lage lab kabhi jo tere agar,
naam mera apne labon pe sazaya na kar,

aadmi hoon magar main koi farishta nahi,
yun andheron mein mujh ko bulaya na kar,

gairon ko dekhe tu kabhi jal jaye dil mera,
iss pagal dil ko itna tu dard dilaya na kar.

kya kahu ab main

kya kahu ab main,
inn baarish ki boondo ko,
jo ki haath par pardte hi,
kisi ki yaad dila jaati hai..

halki si apni jhalak dikhate hi,
kisi aur ki jhalak paane ke liye,
buri tarah machalwa jaati hai…

kya kahu ab main,
inn baarish ki boondo ko,
jo ki saare samah ko,
ek pal mein hi pyar bhara,
dariya sa bana jaati hai…

kya kahu ab main,
inn baarish ki boondo ko,
jo ek hi pal mein,
tujhe mere dil dimaag mein,

iss kadar basa jaati hai,
ki mere mann ko bhi tujhse,
milne ke liye utawala kar jaati hai…

kya kahu ab main,
inn baarish ki boondo ko,
jo meeti par pardte hi,

aisi mehek bikher jaati hai,
jaisi ki mujhe tujhse mil kar,
apne aap mein se aati hai…

ab isse jada aur kya kahu main,
inn baarish ki bundo ko,
jo aate hi bahut pyara sa,
ehsaas dila jaati hai..

mere mann ko tere saath,
kahi door urda le jaati hai..
magar baad mein teri yaadon ke beech,
mere dil ko tardapta chord jaati hai…

All Time's Favourite Posts