ek din achanah hi phone aa gaya uska

ek din achanah hi phone aa gaya uska,
lehje ki malumat se ho raha tha sab zahir, 

ro rahi thi shidat se ladkhadate lafzon se,
kar rahi thi baatein woh tum kahan the itne din?

roz phone karti thi ki baat tum se karni hai,
jo bahut zaroori hai, 

khush nahi hoon main bhi kuch, 
pyaar tera thukra kar sara din tardapti hoon,

chain hi nahi milta, 
jagti hoon raat bhar main, 
neend hi nahi aati,

 jo nahi kaha kal tak, aaj tum se kehti hoon, 
pyaar tum se karti hoon. 

maine phir kaha usse, 
main na kehta tha tum se..
ek din tumhein aana hai laut kar tumhein wapis,
kaise tum bina mere zindagi guzarogi,

zinda tum rahogi par zindagi na hogi woh,
ek ek lamhein mein yaad meri aayegi,

doosri taraf se phir keh-keha sa aaya ek,
aur woh kehne lagi tum bhi kitne pagal ho,
jante nahi itna.. aaj ‘first april’ hai.

jinhein dhoop se hai parhez, woh chhau mein bhi jalte hain

mehez chhune se bikher jaayein, 
jinhein dhoop se hai parhez, 
woh chhau mein bhi jalte hain. 

isse pehle ke sham ho aye hawa, 
unke chadd tak le chal mujhe, 

suna hai woh akser raaton ko, 
ghar se chori chhipe nikalte hain.

jehan mein unki yaadein, juban pe unka naam rahe baki

gujar jaaye tamam zindagi,
aur yeh sham rahe baki,

jehan mein unki yaadein,
juban pe unka naam rahe baki,

bas itna karna aye khuda,
ke marte dum tak..

dil mein peene ki chah aur,
labon pe unki mohabbat ka jaam rahe baki.

jisne dil se humein bhulaya hai, ab bhi dil mein wahi samaya hai

jisne dil se humein bhulaya hai,
ab bhi dil mein wahi samaya hai, 

jaane woh kaise apne dil se mujhe bhula baithe,
maine jab bhi bhulana chaha unhein,
mujh ko bhoola bhi yaad aaya hai.

woh sunte nahi meri yeh alag baat hai,
yun to dil ne usse har ghadi bulaya hai,

unki bewafai ka kisi se gila kya karte,
apni hi wafaon ne bas humein rulaya hai.

chhurdale mujh ko aye maut kahin se aakar,
zindagi ne mujhe aaj bahut hi sataya hai.

abke baras ek shikayat mujh ko sawan se rahi,
chhod kar ghatayein meri aankhon mein utar aaya hai.

tune apni zindagi

tune apni zindagi,
khushiyon mein di guzaar,

main chal raha hoon aaj bhi,
apne ghumon ke saath saath.

jisko bhi chaha wahi cheej na paayi humne

har jagah se teri pehchan hatayi humne,
be-sabab ghar ki har ek cheej sajayi humne.

jaan le leti teri yaad yakinan ek din,
yoon bhula ke tujhe yeh jaan bachayi humne .

humne ki thi kabhi jinki salamati ki dua,
umra bhar unke liye di hai duhayi humne.

jis taraf se bhi hua sikwa apni nazron se,
phir kabhi uss taraf na aankh uthayi humne.

bas burayi hi mili hai uski aur se,
jiske bhi saath ki hai bhalayi humne

teri firak mein kyu bhatke yeh ab sochte hain,
keemati zindagi kyun aise ganwayi humne.

bekarari mein jo likhe the kabhi tere liye,
unhin kahton ko aaj aag lagayi humne.

jo bhi milta hai yahan, nasibon se milata hai,
jisko bhi chaha wahi cheej na paayi humne.

yeh to ek din hona hi tha

mere jazbe se khelna hi tha,
unhein iss dil ko tordna hi tha.

kyun aayi meri zindagi mein tum,
jab mujhe tannha chordna hi tha?

kyun mujhe pyar ka dhokha diya hai,
jab tujhe gair ka hona hi tha?

rishte-rishte hain, kachhe dhage nahi,
jhute rishton ko to ek din chordna hi tha.

baat kuch aise puchh baithe woh ki,
na chahate huye bhi humein jhooth bolna hi tha.

anjam-e wafa dekh kar hairaan kyun ho,
yeh to ek din hona hi tha.

kuch namumkin sa karne ko dil chaahe

tang aakar zindagi se marne ko jee chaahe,
koshish -e- khudkushi karta hoon to jeene ko dil chaahe.

kab se koshis thi iss makam tak aane ki,
aaj pahuncha hoon to laut jaane ko dil ko chaahe.

jo kiya hai woh bhi mushkil tha, jo paya woh aasaan na tha,
phir bhi kuch namumkin sa karne ko dil chaahe.

woh shard hawa, woh khuli subah, 
woh kamshin, woh nayab haseen..
sach puchho to usse banhon mein bharne ko dil chaahe.

tardapta chordkar be-perwah, rawan ho jaate hain

dekhte-dekhte hawa ho jaate hain,
jane kab bachhe jawaan ho jaate hain. 

kal tak jo khelte the dhool-mitti mein be-khabar,
ab to chhune se khafa ho jaate hain. 

samajh na paya kabhi main inki fitrat ko,
kabhi khud marz.. kabhi khud dawa ho jaate hain. 

iss daure jawaani mein kahin fariyad.. kahin naaz,
kuch rote hain wafa ko, kuch bewafa ho jaate hain. 

jawaan dil ko behlane wali kisi kitab ka
dilchasp ek safa ho jaate hain. 

woh apne lutf mein kisi ki gujarish nahi sunte,
tardapta chordkar be-perwah, rawan ho jaate hain.

teri yaad mere dil se jaaye bhi to sahi

koi shay humko bhaye bhi to sahi,
sukun aankhon ko aaye bhi to sahi.

tamam raat jaagne se fayda kya hai,
main janta hoon magar.. neend aaye bhi to sahi.

main khud bhi sochta hoon ki main bhula doon tujhko,
par teri yaad mere dil se jaaye bhi to sahi.

har waqt sochte rehne se bhala kya hasil,
nikal kar jehan khayalon se aaye bi to sahi.

kab se lete hain shamsaan ki taraf muh kiye hue,
kisi bahane humein maut aaye bhi to sahi.

jo kehte hain tumhein madhosh karke chhordenge,
mere labon tak woh jaam laaye bhi to sahi.

chhord dein ghar ko hum bhi lekin
lene koi humko aaye bhi to sahi.

na to manzil na humsafer na koi karwan hai

na to manzil, na humsafer, na koi karwan hai,
raston mein bas dhuan-dhuan sa hai.

unke daman mein to chaand-taare hain,
mere hisse mein to khaali-aasman hain.

zakham pe zakham diye jaata hai,
dil ko lagta hai mera meherban hai.

kayi roz se yeh dil kahin lagta hi nahi,
din hai veeran-veeran, raatein gumzada hain.

zamane bhar ko hua unka deedar magar
udher se muh chhupa ke gujare, jidhar mera makan hai.

jabse bikhra hua saman sajaya hai maine,
ghar bada khali khali sa ho gaya hai.

jo pankh fad-fada ke reh jata hai akser,
dikhta nahi us par kahin mahoul ka rand,

iss shehar mein shayad woh naya-naya hai,
parinda woh abhi jara nadan sa hai.

padosi ka haal poonchun, yeh fursat kahan hai?
mera chulha khud abhi dhuan-dhuan hai.

apne dar-e-jehen pe kuch tikta hi nahi,
abhi zami thi abhi aasman hai.

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain,
jism mar jata hai, kaarnamein hi reh jaate hain, 

kuch khash karne ki koshish bhi lagi rehti hai,
kuch kiye hote hain, kuch kar jaate hain,
kuch karne ki tamanna dil mein leke hi mar jaate hain.

dooriyan kam jada hain, manjil to ek hi hai,
phir kyun jaane ka rasta alag-alag apnate hain?

jauhri ki talash mein ghumnamiyon mein kho gaye,
kuch bes-keemti heere bhi dhul mein mil jaate hain,

kisi ko pet bhar ke bhi takiye se chubhan hoti hai,
aur kuch bhukhe pet hi footpath pe so jaate hain.

ki fasana-e-zindagi insaan ka sunte-sunte,
aankh kya cheej hai, dil bhi bhar jaate hai.

tinke-tinke bikhra paya, dhunda jo khud ko ek din

tinke-tinke bikhra paya, dhunda jo khud ko ek din,
jiker apna kahin na paya, logo se jo pucha ek din. 

leh-lahate khet the aur unpar sunehri dhup thi,
gulshan ko bhi sehra paya, murd ke jo dekha ek din. 

josh tha.. woh kharosh tha sar pe uthaya aasman,
palkon ko bhi utha na paya, thak ke jo dekha ek din. 

gum pareshani thi, uljhan charon taraf, dukh-dard tha,
in sabki beech mein jo dekha, bhatka sa paya ek din.

aisa tha aaram, tha daulat kamai raat din,
par laga kuch na kamaya, khuda naam jaap bin. 

mandir dekha, masjid dekhi, dekhe girje.. guruduare,
par laga ke kuch na dekha, ya khuda tere deedar bin.

iss kader aadmi patther kyun hai

baat yeh nahi woh itna sitamger kyun hai,
iss kader aadmi patther kyun hai?

hum to pehle se tujhpe mar mitte hain,
phir tere haath mein khanjer kyun hai? 

tu bhi insaan hai ek meri tarah,
dil mera itna majboor kyun hai? 

siwaaye husn.. koi baat aur nahi usmein,
jaane iss sheher mein woh itna mashoor kyun hai? 

woh agar khush hai to mujhko koi malal nahi,
gum to itna hai.. mere gum se bekhabar kyun hai? 

khuda par to yakin humko pura hai,
phir har dua humari be-aser kyun hai? 

jisko chaha woh tootne se raha, aur jo toota usse joda na gaya

halaat se majboor to bahut the magar,
apna dil khud kabhi torda na gaya.

jisko chaha woh tootne se raha,
aur jo toota usse joda na gaya.

main to fitarat se hi sanzeeda hoon,
aur usse bachpana chhora na gaya.

khud lachak kar jiski shaakh ne kaha humse,
humse woh phool bhi torda na gaya.

jisse har aks ko shikayat hai,
kyun aisa aaina torda na gaya.

yakinan usne badha di meri dushbariyan par
woh uske hal par chhora na gaya.

main janta tha uske saath chalna mushkil hai,
magar woh raah mein chhora na gaya.

kuch to humko hai shikayat iss zalim zamane se

kuch to humko hai shikayat iss zalim zamane se,
aur kuch pareshan hain hum apne dil deewane se.

jab-jab bhi chorda hath se, tab-tab main tuta hoon,
baaz na aaya zamana phir bhi aazmane se.

jaane kyun aye khuda teri talash rehti hai,
jab jab khafa hua main apane ashiyane se.

yun to peete peete surahi tamam khali kar daali,
phir bhi pyase laute hain shaqi tere maiykhane se.

jaate jaate mord tak, magroor palat-te bhi nahi,
haqikat jhank na le kahin palkon ke shamyane se.

humko bhi khuda kisi layak bana deta,
kash chale jaate unke ghar kisi bahane se.

hothon tak nahi late yeh aur baat hai,
sachhai vawasta hai phir bhi ankahe fasane se.

mastghan tere rone se zamane mein shiddatein,
shole kyun baraste hain jaane tere muskurane se.

main jo kahoon ishq dhong hai, tu nahi-nahi kaha kare

tere hont hansna bhi bhool jaye,
teri aankh par naam raha kare,

tu us ki baatein suna kare,
woh nazar jhuka kar chala kare,

tere khawab bikhre toot kar,
tu kirchi-kirchi chunna kare,

tu nagar-nagar phira kare,
tu gali-gali sada kare,

main kahoon ishq dhong hai,
tu nahi-nahi kaha kare.

koi hai jo tujhko bhulane nahi deta

halat -e- khudkushi mein bhi marne nahi deta,
koi hai jo mujhe yeh gunah karne nahi deta. 

kitni hai mujhe tumse narazgi phir bhi,
koi hai jo mujhe tumse lardne nahin deta. 

aaye dil.. tut-ta rehta hoon main,
koi hai jo mujhe phir bhi bikharne nahi deta. 

mere liye kayi aur bhi darwaje khule hain,
koi hai jo mujhe dar-ba-dar phirne nahi deta. 

wahi dilkashi ab bhi hai tere husn mein magar,
koi hai jo teri aarzu karne nahi deta. 

kayi zakham hain aise jo dum nikal rahe hain,
koi hai jo phir aah tak bharne nahi deta. 

mujhko malum hai ki humraaz tu bewafa hai,
koi hai jo phir bhi tujhko bhulane nahi deta.

gaye waqt ko phir se bulana chahta hoon

main pichhli zindagi mein laut jana chahta hoon,
haan gaye waqt ko phir se bulana chahta hoon.

nigahein pher li tumne apni shaadi ke baad,
aur ab to main bhi tumhein bhool jana chahta hoon.

mujhe kya garaz ke gair ho gayi ho tum,
main tumhein aaj bhi pehle hi jitna chahta hoon.

bada malal hai tumhein khone ka khuda ki kasam,
sach puchho to main tumhein ab bhi paana chahta hoon.

bahut sata rahi hai zindagi mujhe tere bina,
aa paas aa teri banhon mein marna chahta hoon.

na karne de mujhe aaraam teri yaad kahin,
main iss duniya se bahut door jana chahta hoon.

kayi din, kayi raaton se main soya nahi hoon,
ab teri gaud mein ser rakh ke sona chahta hoon.

hasrat -o- armaan sab dil ke mitana chahta hoon,
lipat ker tujhse main jee bhar ke rona chahta hoon.

ki dekha hai humne har mausam ko badalte huye

ki dekha hai humne har mausam ko badalte huye,
kya maloom tha ki har rut yun bemaani ho jaayegi, 

thi jinhein parvaah kabhi hamari khud se bhi zyaada,
kya pata tha maut bhi uske haathon se aayegi, 

chalo achha hua ki katl usne kiya mera,
ki aur koi jaan leta meri to khud se khafa hota. 

yeh zindagi amanat thi tumhaari shauk se le lete,
magar mazaa aa jata agar 
tumhaari aakhon mein ek ashq hota. 

ishq ke bazaar mein ishq nahi milta

ishq ke bazaar mein ishq nahi milta,
hamein iss kitaab mein tera zikra nahi milta. 

woh aur honge jo yaadon mein mit gaye,
hamein kisi ki aankh mein ab ashq nahi milta. 

kareeb ho jo mere is dil k dhadkano se zyaada
talasha har jagah ab woh raqeeb nahi milta

log kehte ki.. sazaye maut hai mere naseeb mein,
main kya karoon mujhe woh ajeez nahi milta. 

masroof rehna teri yaadon mein kisi ko gawara nahi,
yahan sachhe pyaar ka koi mureed nahi milta. 

mehsoos kar na paaya koi iss dil ki bechaini ko,
koi kisi ke liya itna bekaraar nahi milta. 

judaai mohabbat ki takdeer hai

judaai to mohabbat ki takdeer hai,
do dilon ko jo torde yeh woh lakeer hai, 

mohaabat agar hai aaina khud ka,
to yeh aaine ke peechhe ki tasveer hai, 

tujhe tardapna na pade meri tarah ishq mein,
tere saath meri khushiyon ki zaageer hai, 

meri maut pe aana ek rasm hi sahi,
yeh hamaari mohabbat ki aakhri zanzeer hai. 

pariyon si ek ladki ki ek dard bhari kahaani

woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi,
woh aanshuon mein bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi,
bayaan karta hoon apne lafzon mein zazbaaton ki ek kahaani,
pariyon si ek ladki ki ek dard bhari kahaani. 

yeh dastaan thi ek masum pari ki jispe pyaar ka saaya tha,
jo toot gayi thi tabse, jabse kissi ne usse thukraaya tha,
khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha,
ashkon se bheege huye chehre se jab zulfon ko maine hataya tha. 

muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi,
main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi,
jab bheeg jati thi palkein kissi ko yaad karke,
dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke, 

main thamna jo chahta kabhi woh door hat jaati thi,
mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi,
bebas thi woh dil ke haathon aur iss zamaane se anjaan thi,
nafrat bhi kaise karti woh, usse sirf pyaar ki pehchaan thi. 

maine chorda oousse kucch waqt akele uski tanhaai mein,
dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar usse judaai main,
jab lauta main waapas to woh phir se muskuraayi thi,
shayad kissi ke pyaar ki chamak uski aankhon mein utar aayi thi. 

ussne bhar ke mujhko baahon mein pyaar se dekha tha,
jab maine usse uski khushi ka raaz poochha tha,
sharmaayi thi woh phir usne dheere se sar ko jhukaya tha,
bataya usne ki dil uska phir kissi par aaya tha. 

main khush tha usse dekh kar, uski khushiyon mein muskuraya tha,
par phir kyun utha yeh dard sa dil mein, main isko samajh na paya tha,
main phir chal diya alag raah par usse chord kar uski duniya mein,
tanha reh gaya tha main jaise kyun main isse samajh na paaya tha. 

door tha main phir usse par uski yaadon se nahi tha,
shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha,
beete kayi din woh yaadon ke saaye mein thi kho gayi,
zindagi ke ek mord par usse mulakat phir se ho gayi. 

main dekhta raha usse, woh mujhko dekhti rahi,
maine poochha na usse kuch, aankhon mein baat ho gayi,
thukraaya tha aaj usne kissi ko, jaane kya baat thi ho gayi,
jaise woh har gham se, har khushi se anjaan ho gayi. 

kuch na kaha maine usse, bas phir se dosti ko thaam liya,
mohabbat ke kayi roop hai, bas iss baat ko maan liya,
na chahat thi kissi aur ki, na kissi ke pyaar ki aarzoo thi,
bas woh mere saath thi, na ab kissi ki talaash thi. 

dastaan yeh yahin par khatam nahi hoti hai,
yeh zindagi ki iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai.

meri pehchaan ko ab tum mita do

na koi jaane mujhe na main kisi ko jaanu,
meri pehchaan ko ab tum mita do, 

main ab reh nahi sakta usse juda hokar,
mujhe qatl kar do ya karwa do, 

main na chahon ab kissi aur ko na koi mujhe chahe,
mujhe nafrat karna bhi tum sikha do, 

ki dooba hua hoon main dard mein,
magar main kehta nahin ki mujhe dawa do, 

tha bahut kamzor yeh dil mera,
magar kab kaha tha maine ki mujhe patthar tum bana do.

hasrat mujhe teri yaad mein ek jahan tak le jaati hai

hasrat mujhe teri yaad mein ek jahan tak le jaati hai,
jahan par sirf paagalpan aur deewanapan hi reh jaata hai,
meri tanhaiyaan bhi nahi aati hai dhoondne mujhko,
phir kyun lagta hai ki kissi ne mujhko pukara ho? 

kissi ki aankhein uss raste ko nahi takti hai,
magar teri yaad mein main baawaron ki tarah phirta hoon,
kyun jab main tere saath tha tu khamosh rahi,
kyun tu ab har kisi se mera zikra karti hai? 

main tujhe le kar baitha raha aagosh mein,
jab hosh aaya to mehsoos hua ki khwaab tha,
toote the saare sapnay mere jabse,
mera dil har khushi se niraash tha. 

bas ab tujhse yeh iltiza karta hoon,
akela chhord de mujhe mere haal par,
main karta hoon mohabbat ab bhi tujhse,
par dil kehta hai ki tu ab pyaar na kar. 

jab tum hum se sare-baazar mil kar bicharde the

mere dua ke lafz tut-tut kar bicharde the, 
jab tum hum se sare-baazar mil kar bicharde the. 

judaai ke woh manzar aaj bhi hain nigahon mein, 
jab tum mere bann kar duniya se nikle the. 

tujhe apni kismat samjh kar dil se lagaya tha humne, 
sabab-a-bewafai kitne gunah faristo ne likhe the. 

kitna khush tha apna dil unke panahoo mein, 
jana dard tab jab phool ke patton ki tarha hum bicharde the. 

kis kadar kaid the uski nigahon mera mera dil, 
jaise wadiyon se duaae le kar nikle the, 

phoolon ki bistar mein mili hain ghum-e-tanahai, 
ajab shakas tha muskaraya tab jab kanton se mile the. 

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai

tanhai mein teri yaad ke siwa koi yaad nahi hota, 
ashko ke bhaar bekaran hai, iss ka koi kinar nahi hota, 

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai, 
iss mein har sath chalne wala kabhi bhi hamara nahi hota. 

mohabbat ke anjaane rashton mein, anjan manzilon ke safar mein, 
ek humrahi ke siwa koi bhi sahara nahi hota, 

jis ke humrahi hi hath churda le anjaan rahon mein, 
aise musafir ke liye siwa bhatakne ke koi chaara nahi hota. 

agar jurd bhi jaaye shesha jo kabhi tutne ke baad, 
to kabhi bhi iss mein woh phele sa nazara dobara nahi hota.

jo yaadon ke shaaye raat hi muhet ho jaye khayalon se, 
to iss mein kahi bhi chamakta hua koi jugno, koi taza nahi hota. 

na jaane kab zindagi kaha sath churda le, 
kismat ke badalne se yeh kabhi hamara tumhara nahi hota. 

jeewan mein humrahi ka sath, kab kismat se milta hai, 
aye dost.. mohabbat ke khel mein koi jeta koi hara nahi hota

kitna shaur tha kitni garmahat thi mahaul mein

kitna shaur tha, kitni garmahat thi mahaul mein, 
hans rahe the woh aur khushi thi hamare bol mein, 

ki ek angraai li zindagi ne, apni taakat dikhayi, 
dhamm se dhamak di, achanak khamoshi chaayi, 

chhayi aisi khamoshi ki phir naa koi dastak kaam aayi, 
thamm se gaye kadam, koi raah bhi samajh naa aayi, 

nazar lagi kisi-ki yaa yeh pehlu ek aur inn rahon ka, 
jisne bujha di lau woh jis pe thi kabhi zindagi jhilmilayi. 

dhadkane hain patharon si, dil jigar pathar yahan

yeh shahar hai patharon ka, har bashar pathar yahan, 
dhadkane hain patharon si, dil jigar pathar yahan. 

patharon se inke waade, patharon sa pyar hai, 
patharon ke shahar mein har nazar pathar yahan. 

khaak pehchanega koi, hum jaise ghum gusaar ko, 
ugalta har baat mein hai, jahar har pathar yahan. 

mujh sa pyaasa kitne ruhein, bhatakti hai har taraf, 
ban gaya raaj ka dekho har lahar pathar yahan. 

khanakte ghungru ki aawazein to aati hai raat din, 
par hai lagta ki baraste har pahar pathar yahan. 

shaam ki taarikiyon mein duba hai apna sukhan, 
ban gaya apne liye to har sahar pathar yahan. 

kaun jaanega mere nagmon se uthte dard ko, 
so raha hai neend mein, har be-khabar pathar yahan. 

chal kahin aye dil, chal tu door kahi iss shahar se, 
ban gaya apne liye to har shahar pathar yahan. 

koun sa hai dard woh jo irrd-gird rehta hai

kagaz par nazar aati hai yeh siskiyan kis ki, 
koun sa hai dard woh jo irrd-gird rehta hai? 

yeh shabad lete hain talashi kis ki aahat ki, 
ki koun hai lafzon mein jo yun khamosh rehat hai? 

ek kachchi khawaish hai justaju ki kaid mein, 
ki zubaan par koi adhpaka sa sawaal rehta hai, 

kerte hain aanshu guftagu lafzo ke nukhto se, 
ki koun hai jo boond mein yeh samaya rehta hai. 

udhde pade hai lafz kai khud tees se apni, 

phir koun hai jo charcha ye sar-e-aam karta hai? 

deti nahi mohlat yaha jeene ko zindagi, 
phir koun hai jo surat badal kar nayi shakal leta hai? 

bhale jhooti yeh aas sahi

haathon se juda hokar woh, 
aankho se wida nahi hote hain, 

honton pe sada rahte to hain, 
par honton se bayan nahi hote hain. 

kis baat ko lekar baat karun, 
har baat mein wohi rahte hain, 

bhale karu na main zikr unka, 
par fiker mein woh hi rahte hain, 

kyun ponchu main inn aanshuo ko, 
har boond mein woh rahte hain, 

inhi bahano ke jariye, 
woh saath mera dete hain, 

bhale jhooti yeh aas sahi, 
par sach hai ki hum sahte hain, 

sab log hain kahne ko apne, 
phir bhi tannha hum lagte hain.

All Time's Favourite Posts