main ek din fanna ho jaunga

iss nakaam-e-ishq mein yaar, main tabaah ho jaunga,
tum jo na mile mujhko main ek din fanna ho jaunga.

suna hai ke sona ho jata hai paras ko chhu kar pathaar,
tum ek baar chhu lo mujhko mein kya se kya ho jaunga.

thuhkra de mujhko chahe magar itna batlade mujhko,
tere dil se nikal kar sangdil, main kaha jaunga?

tu kyu nazarien churati hai mujhse, chipti hai muhse,
main jonkha hoon hawaa ka, ek pal mein chala jaunga.

main khamosh bhi rahu to duniya mera haal jaan hi lega,
sheesha hoon, toot kar bhi apni khanak chord jaunga.

haye! tu hans hans ke miltai hai dusro se to sunn,
haan, maine bhi thaani hai ke mein kaffa ho jaunga.

uss ke chale jaane ki khalish ab satati nahi dil ko,
socha na tha kabhi ke main bhi yun bewaffa ho jaunga.

jo hua hai woh galat hua

dil mera jis par tha fida, 
woh naa kar sake mujhse wafa,
de ke woh mujhe daga, 
jooth kehte hain ki tu hi hai dilruba,

main kaise ab yeh maan loon, 
main kaise unko pehchaan loon,
kya ab main yeh jaan loon, 
woh mere nahi hai kya yehi hai sach?

ab kaise kahu usse humsafar?
jo muh mujhse mod gaye, 
yun akela raah mein chhord gaye,

mere dil mein bas yeh tees hai, 
usne kiya nahin yeh theek hai,
jo hua hai woh galat hua, 
woh itne kaise badal gaye? 

raj ka ishq ibadat hai

aye zamane walon mohabbat ki hamesha pooja karo,
ho sake to pyaar karne waalon ko kabhi na juda karo,
zindagi mein sachha pyaar kisi kisi ko nasib hota hai,

kisi aashiq ko na lagana parde maut ko gale,
kisi ke liye kabhi na aisi duaa karo,

woh bewfai bhi kis kaam ki jo dilon mein duriyan bana de,
pyaar karne wale hamesha wafa karte hain,

pyaar ki izzat karne waalon se wafa karo,
ishq ke junoon mein to raanjhe majnu ne apni jaan gawa di,

raj ka ishq ibadat hai, 
aye bedard duniya waalon isse samjha karo !!

toot kar bikhar gaye saare sapne pyar ke

sooni si zindagi mein meri is tarah aayi bahar,
dher saare sapne aur khushiya laayi hazaar,
armaano ke pankh kholkar udne laga yeh dil,
sapno se pyara lagne laga sansar.

khuda se jo bhi maanga tha maine
woh sab jaise mil gaya,
mere gulshan mein jaise
har ek gul khil gaya.

par nadaan the hum,
yeh jana hi nahi
ki yeh khushiya kuch palon mein,
kho jayegi kahi.

phir soona sa ho gaya
apna yeh aashiyana,
baaki tha to bas aankho se
ashkon ko bahana.

toot kar bikhar gaye saare sapne pyar ke,
sheeshe ke the saare waade yaar ke,
zindagi mein dekhe the dukh pehle bhi,
par har pal na mare the pehle aise haar ke.

sochte hai ke ab jo hua
uske peeche koi majboori hogi,
khuda ne kuch sochkar hi
tay ki yeh doori hogi.

yuh milkar bichardne se achcha,
hum akele hote to bhi na darte,
agar pata hota kismat ki is berehmi ka,
to hum bhi kabhi mohabbat na karte.

kuch waade kiye the unhone jo nibha na paaye kabhi

kuch waade kiye the unhone,
woh jo nibha na paaye kabhi,
gila nahi hai unse koi humein,
waade to jhoothe hote hai sabhi.

lekin waade toot jaane se
rishta nahi toot jata,
aise pal mein pyaar ka
daaman to nahi choot jata.

phir kyu woh door chal diye
bikhara kar sapne mere,
aisa laga pehli baar hum
aise apni kismat se haare.

jo hua so hua, jee lenge hum,
beeti yaadon ke sahaare.
yeh soch ke naya mord le aaye hum,
iss sooni zindagi mein humere.

lekin kismat ne aisa khel khela,
ki phir badal di yeh duniya,
jeena to hum bhool chuke the,
chain se marne bhi na diya,

har pal is gum mein roote the,
ke kyu woh humse door hain,
aaj phir laut aaye woh paas humare,
lekin aaj hum majboor hain.


All Time's Favourite Posts