teri bewafai ke sahare tujhe bhulana chaha

hum jaante hain aap humare ho nahi sakhte,
dono ki ek hi manzil hum bana nahi sakhte,

teri bewafai ke sahare tujhe bhulana chaha,
par dil se tujhe yeh shikwe bhi door kar nahi sakhte.

shayed kabhi kabhi tum meri kushi ki kamna bhi karti hogi,
par teri yeh duan se mere ghav to aab bhar nahi sakhte.

kismat ban chuka hai kisi aur ka pyar tere,
saath saath janmon ka saath khuda se
aab hum mang bhi nahi sakhte.

chalne ko to bohot hai saath chalne ke liye,
par tere siwa kisi aur ko chah bhi to nahi sakhte.

kabhi inmein likha huwa tumhara naam bhi dikha denge

uska koi ghum nahi ki aage ghumon ki raat hai,
chasme chiraag jala kar saari udaasi mita denge,

kuch baatein si karne lagi yeh hathon ki lakeerein,
kabhi inmein likha huwa tumhara naam bhi dikha denge,

yeh apni dooriyan bhi khud-ba-khud door ho jayegi,
jab tanhaai hote hi hum unko paas bulah lenge,

kyun poochte ho deewane se ki dono mein sahi kaun tha galat kaun,
kabhi jhaank kar tumhare aankhon mein iska hal bhi baata denge.

aye zindaagi mujhe koi fark nahi pardta

aye zindaagi suno...
mujhe fark nahi pardta
tum ek pal ke ho ya ho sau saal ke,

hogi chhoti si bayaani,
ya banegi koi lambi kahani,

ya mit jaaoge khaak banke,
ya amar hoge itihaas banke,

ya khushi se bhara har din hoga,
ya ghum ka mela laga hoga,

ya kaante hi milenge rah mein,
ya biche honge phool pyaar ke,

kya fark pardta hai in baaton se,
nahi bhaagana mujhe kisi bhi halaaton se,

bas ek hii ikchha hai meri,
jab tak raho tum sang mere,

dekh saku, pehchaan saku,
zinda-dili se jee sakoon har pal,

chaahe khushi ho ya ghum,
lard sakoon har haalat mein,

aye zindaagi suno... 
mujhe koi fark nahi pardta...

tere bewafi ka har ek lamha mujhe yaad aaya

balu par jab bhi tera naam likh kar mitaya,
tere bewafi ka har ek lamha mujhe yaad aaya,

chaand ko dekha 
jab badlon mein chup jaate,
yaad aaya tera mujh se har pal nazare chura jana,

baarish ki boondon ko jab dekha sagar se takrate,
yaad aaya tera mujh ko aanshoo de kar jana,

suraj ko jab bhi dekha dharti ko jalate,
yaad aaya tera mere dil ko jala jana,

har baat par mere hi wajood ko mita paya, 
tere bewafi ka har ek lamha mujhe yaad aaya.

kaash koi raaj phir na kho jaaye

kaash mere ek awaaz par yeh duniya dol jaaye,
abhi hai shaam, abhi subah ho jaaye,

kaash meri ek baat par saara samaa badal jaaye,
har insaan ke chehare par muskaan fail jaaye,

kaash meri ek chaah mein itna wajan ho jaaye,
adhure kore sapano mein har rang bhar jaaye,

kaash yeh duniya mere bas mein yun ho jaaye,
koshis rahegi meri koi raaj phir na kho jaaye,

kaash waqt phir se apni baat na duhraaye,
jis path se badha tha kabhi uss par kadam laut jaaye.

kahe dil, likh jaa rait ki satah par koi fasaanaa

koi nazm nahi, gazal nahi, nahi koi taraana,
bas yun hi apani baaton par hi hai gungunaana,

dard nahi, shikawa nahi, nahi koi shikayat,
alfaaz bhi kam pad jaaye, aisa ho taana baana,

nahi yaad, nahi fariyaad, nahi koi amaanat,
kahe dil, likh jaa rait ki satah par koi fasaanaa,

naa ho mitane ka dar, naa chhupaane ki chaah,
bas aisa ho haal-e-dil ka mera tumhein nazraana,

naa koi khauf, naa hi umeed ho,  jaane jaana,
maun ho jaaun.. aye dil suna aisa koi afsaana,

naa koi aas, naa chaah, naa koi udaas dhardkan,
mit jaaye har pehalu yehi banaoon aisa baana,

naa galat, naa sahi, naa ho pehchaan ki seema,
har pehaloon se uthoon aisa ho yeh gungunaana,

aage jo bardhoon, naa pichhe ko kabhi hatoon,
raaj-e-samandar mein ho aise lahar kaa aana.

aye kaash haal-e-dil chhupa jee lete hum

aye kaash haal-e-dil chhupa jee lete hum,
aankhiyo ke saawan ko chhupa..  jee lete hum,

dard bhara taraanana phir naa dil gaata kabhi,
har pal ko ba-khubi nibha..  jee lete hum,

kar sakte kaanton se bhi pyaar hardam,
phoolon ki aash se mann hata..  jee lete hum,

agar naa dikhata khushi ka mrig-marichika,
to maut ko bhi zindagi bana jee.. lete hum,

jo jo khwaab dekhta hai mann.. yeh pagala,
unko bhula zindagi aasan bana..  jee lete hum,

pyaas paani ki to bujh jaati hi hai yaaron,
aankhon ki pyaas bhi bujha..  jee lete hum,

dard-e-dil ki sada gar chhup jaati andheron mein,
andhere ko bhi roshani bana..  jee lete hum,

chot khaaya huwa dil agar rota na kabhi,
bekhauf angaaron par kadam bardha..  jee lete hum,

dard gar naa de, dard mere kisi sapane ko,
raaj-e-dard ko aankhon mein saza..  jee lete hum.

ek khoobsurat zamaana tha kabhi

aankhon se aankhon mein ishara tha kabhi,
haan aisa bhi ek khoobsurat zamaana tha kabhi,

har shaam kat-ti thi yaare intezaar mein,
haan aisa bhi haseen waqt humne guzara tha kabhi,

har pal yun ghum aur tanhaai ki kaid mein na rehte the,
kisi nazook baahon ka humein bhi hasil sahaara tha kabhi,

unki judaai mein log yun hi hume pagal deewaana bulane lage hain,
par unhein kya pata ki chand se bhi hassin ek dilbar humaara bhi tha kabhi. 

na jaane kyun

jaane kyun hum ek teri hi mohabbata mein
raat deen khoye rehte hain,

jaane kyun hum akshar chand ko dekh kar
us mein ek tera hi chehra dhundhte hain,

jaane kyun jab phool khilte hain
to mujhe tum yaad aate ho,

jaane kyun jab shard hawaye chalti hain
to mujhe tum yaad aate ho,

jaane kyun hum sabko bhula kar
ek teri hi yaad mein khoye rehte hain,

jaane kyun jab yaad teri aati hai
to yeh dil tardap uthta hai,
aur yeh aankhein barashne lagti hain.

jaane kyun yeh zindagi
tere bin adhuri si lagti hai,

jaane kyun tu mujhse door hai
phir bhi mere dil ke kareeb lagti ho.

tu meri zindagi mein nahi hai
phir bhi jaane kyun meri nas-nas mein
lahoo ki tarha behti hai.

iss zindagi mein hum judaa ho gaye
phir bhi na jaane kyun marne ke baad
tujhse milne ki umeed lagti hai.

main hoon.. dard hai.. aur tannhaai ko gale laga raha hoon

jalte hue dil ki aag ko kuch yun bujha raha hoon,
ki tere diye ashuon ke jaam bana bana ke pee raha hoon.

har taraf faila hai andhera in judaai ke baadalon se,
aur aise mein teri yaadon ke deep jala raha hoon.

aaj bhi yaad hai humein tera woh baarish mein bheegna,
bas yahi soch kar aaj barsaat ka lutf uthha raha hoon.

darta hoon yun to main bhi.. koi dekh na le aankhon ki nami,
isiliye barasti huyi bundo ke saath aanshu baha raha hoon.

tere baghair mumkin nahin yun to zindagi ko guzaar pana,
bas tujhse jo kiya tha kabhi woh waada nibha raha hoon.

jaanta hoon ab chalna hoga mujhe tannha hi iss safar mein,
bas main hoon.. dard hai.. aur tannhaai ko gale laga raha hoon.

jab yaad tumaari aati hai

sheene mein sulagte hain armaan,
aankhon se aanshu behte hain,
jab yaad tumaari aati hai.

kuch aankh mein aanshu baaki hain
jo mere gum ke saathi hain,
kuch shine mein saanse baaki hain
jo teri yaad mein jeene ko kafi hain.
ab dil hai na koi dildaar hai,
bas main  hoon aur meri tanhaai hai,

sheene mein sulagte hain armaan,
aankhon se aanshu behte hain,
jab yaad tumaari aati hai.

ek aisi aag lagi hai mann mein ke,
jeene bhi na de aur marne bhi na de.
chup rahoon to kaleja jalta hai,
aur boloon to teri rushwayi hai.

na tujhse gilla hai humko,
na iss duniya se shikayat hai humko,
ke do char kadam par jab manzil thi 
apni,
tab hi kismat ne khayi hai thokkar apni.
sheene mein sulagte hain armaan,
aankhon se aanshu behte hain,
jab yaad tumaari aati hai. 

apna dard duniya se chhupa kar rakha hai

dil mein ek armaan bacha kar rakha hai,
unki yaadon ko seene se laga kar rakha hai,
aye na koi ilzaam unpar islye
apna dard duniya se chhupa kar rakha hai.

jaate jaate woh keh gayi humse
tannha jeena seekh lo raaj,
humne bhi unka hukum sar aankho par rakha hai,
tanhayion ko apna humsafar bana kar rakha hai.

pyar main unse karta hoon aaj bhi,
unki tasveer ko aanshuon se saza rakha hai,
kahin aa jaaye woh shayad nazar..
apni aankhon ko unke intzaar mein laga rakha hai,
aye na koi ilzaam unpar islye
apna dard duniya se chhupa kar rakha hai. 

tum apni hi mujh ko sunaate rahe

tum apni hi mujh ko sunaate rahe,
mujhe apani baaton se tardpaate rahe,

kuch baat thi jo kehana tha tumse,
tum sunane se hardam katraate rahe,

yun to kuch kehane ko himmat nahi ki,
issi kamjori ka tum lutf uthaate rahe,

kabhi socha jo apani baat bhi rakhani hai,
naa sunane ki zidd tum duhraate rahe,

dard jana na.. kabhi tumne chaaha nahi,
khud ko nirdosh tum darshaate rahe,

aagaah karati ho, pal do pal pehale hi,
naa phoot pardoon,  jo sitam dhaate rahe,

visphotit naa ho jaaoon main kabhi,
agar aise hi mujh ko rulaate rahe.

jag hain yeh dushit, pag tere paavan

palke hain bheegi. chalke hain saawan,
jag hain yeh dushit, pag tere paavan.

keechad zameen par thoda sa jal hain,
kitne hain kaantein, thode kamal hain.

teri kripa se mehkenge kan kan,
jag hai yeh dooshit, pag tere paavan.

shamshaan bhumi, har ek nagar hain,
har ek path pe vish ke bhanwar hain.

apne madhu-ras se bhardo yeh aangan,
jag hain yeh dushit, pag tere paavan.

sneh ki jheelein sukhi padi hain,
paap ka saagar, dukh ki nadiyaan.

pyaase jagat pe, barsado saawan,
jag hai yeh dooshit, pag tere paavan.

aur chahiye, aur chahiye, bahot kam hai mere paas abhi

takhto taaj ke safar mein, dushman baithe hain,
sone ki chaadar ordhe, durjan baithe hain,

heeron ke aaine mein dhundhe hai khud ko,
nazrein utha ke dekh samne, maut ke darpan baithe hain,

imaartein hai unchi, unche mahal hain,
sange mar-mar ke deewarein, farsh makhmal hain,

heere moti jade hain,  phir bhi bhukhe dhar hain,
lobh ke baadal mein vish ke saawan baithe hain,

bachpan mein jo aag lagi, budhape mein bhi bujhi nahi,
dhan sampatti ki jo lalsa thi, barson baad bhi mitti nahi,

aur chahiye, aur chahiye, bahot kam hai mere paas abhi,
ab to sambhal ja, intzaar mein tere jalte chandan baithe hai,

bhukhe daridra ko pet bharne ke liye do roti chahiye,
woh jab mil jaaye to gadi bangla heere moti chahiye,

par tujhe kya pata marne ke liye bas yam ki chunouti chahiye,
raaj kehta kuch nahi chahiye, yam to mere aangan baithe 
hain.

zamane ne na jaane kya kya sikha diya

iss zamane se na pucho kya kya sikha diya,
zakhm se pehle uss dard ko sina sikha diya,

na pucho iske zulm ke dastaan ki,
kambhakht ne maut se pehle hi marna sikha diya.

naye log hain naya zamana, chhord diya jo hua purana

beshak humne tarakki ki hai,
beshak humare kadam bardhe hai,
humse ooncha kaun yahaan hai?
hum havaniyat ke shikhar pe khade hain.

haan andhera mitne laga hai,
zara ujalaa dikhne laga hai,
kyun na andhere darr ke bhaage,
shahar ke shahar jo jale parde hain.

lashon ke parbat oonche hain itne,
asmaan ke badal hain jitne,
dharti par mushkil hai jeena,
isiliye log everest pe chadhe hain.

kehte hain humne chaand chhoo liya,
dusre jahaan mein kadam rakh diya,
prithvi ke tukde to kar diye,
ab woh chaand ke peechhe pade hain.

bam golo pe maan bada hai,
inhein chalana asaan bada hai,
isiliye junge hoti hain itni,
isiliye bhai bhai se larde hain.

naye log hain naya zamana,
chhord diya jo hua purana,
kapde makaan maa-baap bhi 

kehte hain woh bhi to hue budhe hain.

har dil patthar se banaa hai aaj

har haath khoon se sanaa hai aaj,
har dil patthar se banaa hai aaj.

keemat jaan ki utni hi hai yahaan,
jis keemat mein bikta chanaa hai aaj.

dosti ki tasveer dhundhli hai,
dushmani ka rishta ghanaa hai aaj.

talwaare chalaana asaan hua ab,
mushkil badaa gale milna hai aaj.

pyaar ke sarowar sookh gaye hain,
vair ki pyaas mein jalna hai aaj.

saare pishaach lahu ke pyaase,
kaun kiska yahaan apnaa hai aaj?

sur taal ke geet bhoole pade hain,
sangeet cheekhon ka gunjnaa hai aaj.

har mord pe ek kans baitha hai,
door badaa kishan hai aaj.

raaj neend mein hi mar naa jaaye,
sabko yahaan jagnaa hain aaj.

har praani se prem kare jo, woh sachcha insaan hai

raah-e-zindagi mein kyun tu bebhaan hai?
bezubaan ko maarna kyu tere liye asaan hai?

sabke liye yehi dharti, sabhi ko naseeb yehi asmaan hai,
insaan ho ya jaanwar, sabhi ko jeene ka armaan hai,

panchhi, machhli, hiran, chinti, sabme ek hi jaan hai,

har praani se prem kare jo, woh sachcha insaan hai.

yeh mastak tere charano mein jhukaane aaya hoon

naa kisi dharm, naa kisi majhaab se aaya hoon,
naa koi geet, naa hi kavita sunaane aaya hoon.

naa koi niyam, naa koi bandish bataani hai,
naa koi yaad, naa fariyaad dikhaane aaya hoon.

naa kisi gali, naa kisi kuche ki aawaz ke saath,
naa tere, naa mere ki baat bataane aaya hoon.

naa aanshun, naa ghum, sirf khushi ho naa sitam,
naa kisi bhaashan se doston rijhaane aaya hoon.

naa taaliyo ki gunjaar, naa baaton ki bahaar,
naa kisi ke yaad mein do pal manaane aaya hoon.

naa koi phool, naa koi lafz naa hi koi taraana,
main to apani baat tujh tak pahuchaane aaya hoon.

hey bharati..!
bas teri garima tujhi ko yaad dilaane aaya hoon.

naa koi ghum naa khushi ki shikayat hai yeh par
main hoon yehin par yehi bataane aaya hoon.

hai swabhimaan se bhara shees bhaartiya hone par,
yeh mastak tere charano mein jhukaane aaya hoon.

nyuchhawar har pal hoon, kehane ki jaroorat nahi,
maa! bas issi vishwas ko vishwaas dilaane aaya hoon.

jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi

jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi,
mare hue ko khaye kyu? yeh pet hai shamshaan nahi,

jo kaanta koi chubh jaaye, tardapta hua tu chillaye,
kaate tu talwaaro se, kyu cheekh na unki sun paaye,

dard unhe bhi hota hai, woh jeevit hai bejaan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi.

har ek ki apni satta hai, sabka apna apna wajud hai,
sab hain jeete apne liye, kisi aur ke liye maujud nahi,

sabhi ko jeewan diya hai usne, 
kaun yahaan prabhu ka santaan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi,

har dharma mein har mazhab mein, 
bible geeta ya chaahe kuraan mein
ek hai aatma, ek hi ruh, 
har pashu mein ya chaahe insaan mein,

ahinsa ka nirjhar sabmein, hinsa ka naam-o-nishaan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi.

buddh kahe, raam kahe, gandhi, paigambar, peer kahe,
jiyo aur jeene do yehi, naanak aur mahaveer kahe.

abhay do har praani ko, abhay sa koi daan nahi,
jo kisi praani ko maare, woh shaitaan hai insaan nahi.

kuch dubte kuch ubharte sawal

dil ke tannhiyon se niklate,
kuch dubte kuch ubharte mere sawal!

har sunhare din ka anntt itne kaali raat kyun hai?
jo kisi se bhi naa keh saku, dil mein aisi baat kyun hai?

koi nahi hai phir bhi ek aahat kyuon hai?
laakh koshishon ke baad bhi nahi raahat kyuon hai?

kisi ke door jaane par bhi uski yaadein saath kyun hai?
har pal, har nazar mein…

insaan kaa vishwaas , itna kaccha kyun hai?
khud ko bura keh kar bhi woh hi aacha kyun hai?

kabhi pura naa ho sake, dikhta woh sapna kyun hai?
kisi aur ka hokar bhi woh aaj bhi lagta apna kyun hai?

jo dikhta nahi, aise uparwale kaa naam khuda kyun hai?
har mulakaat kaa anjaam judaai kyuon hai?

tu bhi akela hi jaayega

tu bhi jayega, akela hi jayega,
saath tere kuch nahi aayega,
kaun bacha hai, jo tu bach payega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

raja-rani daas gaye hain,
ashok-akbar midas gaye hain,
dhan sampatti sab yahin chhord gaye,
rishtey naate saare tord gaye,
woh nahi le jaa paye, tu kya le jayega?
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

sadiyon tak kamaya, sirf dhan kamaya,
bhav-saagar mein atka, har bhav ganvaya,
chhal se loota, bal se loota,
par jab waqt aaya, tab dhan bhi chhoota,

dhan ka bojh nahi utha paya,
karmo ka bojh kya uthayega?
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

haathi ghoda, bangla gaadi,
khet khalihaan, patte aur jhaadi.
saath nahi.. sab yahin raha hai,

sun lo sabhi sannto ne kaha hai,
mitti se bana hai, mitti mein samayega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

roop anokha, sunder hain kaya,
bhool naa jana, yeh sab hai maya.
do din ka mela hai, phir kya jhamela hai?
raahi ke haatho mein, karmo ka thailla hai,

woh din phir aayega…
jab lakdiyon ke saath tu bhi jal jayega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

rishtey naate, dost saathi,
do din ke hain, yeh saare baraati,
dhan dekh, tujhko sab pooje,
dhan jaaye.. ho jaaye sab dooje,

saath nahi dega koi,
jab yam tujhe darayega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

aisa hota kyun hai

kabhi kabhi zindagi mein aisa hota kyun hai,
khushi milti nahi par dil hansta kyun hai,

jisko bhoolana chahun woh yaad aata kyun hai,
pal bhar ki muskaan dekar doorr jata kyun hai,

sabhi kuch hai paas phir yeh tanhaayi kyun hai,
zindagi ke safar mein itni lambi judaai kyun hai,

armaanon ka silsila dab-dabaa sa hota kyun hai,
jab khwaab nahi ankhon mein to raat lambi kyun hai,

kabhi kabhi zindagi mein aisa hota kyun hai,
khushi milti nahi dil par hansta kyun hai?

ishq ko aazmana hai mushkil bada

ishq ko aazmana hai mushkil bada,
zamaane mein ishq lardana hai mushkil bada,

dard milta hai iske har zehen mein,
ishq mein imtihaan dena hai mushkil bada,

badnaam karta hain sar-aye-aam yeh,
nasha hi nasha hai iss ishq mein bada,

yeh ishq kya chaahe koi na jaane,
ismein wadaa nibhana hai mushkil bada,

iss ishq ko koi rok sakta nahi,
ismein pyar paana hai mushkil bada,

ishq ko aazmana hai mushkil bada,
zamaane mein ishq lardana hai mushkil bada.

yeh nafrat meri zindagi ka ek ang ban gaya hai

mere bewafa-a-humsafar,
maine saalon se tumse sakht nafrat ki hai,
lekin aaj mujhe ajeeb khyal aaya,

main tumse nafrat karta hoon,
itni shakat nafrat karta hoon,

main tumhara sayad kabhi bhi
katl na kar sakun,

sayad main zindgi ki har chiz chord sakta hoon,
jitni nafrat maine tumse ki hai.

yeh nafrat meri zindagi ka ek ang ban gaya hai,
yahi ab mere jeene ka sahara hai,
phir main iss nafrat ko kaise khatm karoon?

inn khayalon ne mujhe gher rakha hai,
tab maine socha ki main tumse
itna nafrat karta hoon,
ki tumhare bagair zinda nahi rah sakta.

agar iss nafrat ko main chord deta hoon to,
main marr jaoonga sayad... kab ka marr gaya hota.

mohabbat ke liye mohabbat ka junoon zaroori hai

zinda rahne ke liye jeene ki aarazo zaroori hai,
jaise kisi phool ke liye uski khushbu zaroori hai,

yun to saari duniya jee rahi hai doston,
magar dil mein jeene ki zustaju zaroori hai,

jaise khushi mein honton par muskuraahat hoti hai,
waise hi gham mein aankhon ke liye aanshu zaroori hai,

apno se to har pal milna hota hai,
kabhi kabhi gairon se guptagoo zaroori hai,

mehaz aaknh mund lene se nind nahi aati,
sone ke liye dil ka sukoon zaroori hai,

nazaron ke milne ko mohabbat nahi kahte,
mohabbat ke liye mohabbat ka junoon zaroori hai.

humne tannhai ko apnaya tha jab saath tumhein nahi paya tha

main raah par chal raha tha jis par yeh mord aaya tha,
woh pyaar ki baharon ko lekar khadi thi,
main to uss raah par chalta gaya.. chalta gaya.

woh mujhe bas khinchti gayi.. khinchti gayi,
par sahyed manzile door the,
yeh rahein sahi nahi thi,
jo ab tak bhi woh nazar nahi aayi thi.

mere aas paas khushbu bhari hawaayein thi par gulshan nahi tha,
chandni bhari raat thi par chand nahi tha,

sitare gir rahe the par thamne ke liye daman nahi tha,
humne tannhai ko apnaya tha jab saath tumhein nahi paya tha.

sapne tut gaye the.. saaye chuut the,
meri bahoon mein to sirf tera ehsas aaya tha.

waqt na jane hamein kis mord par laya tha,
jaha meri aankhiyon ne tumhe
samandar ke dusre kinare paaya tha.

magar hum kisse kahein

dil to tuta hai kayi baar
magar kisse kahein hum,
ghamon se ho rahe do-char
magar kisse kahein.

aap aayenge ujhe dil mein
jalane ko shama
magar kisse kahein.

aap aayenge pata to nahi par,
hai mujhe ab bhi intzaar
magar kisse kahein.

aarzo dil mein chaahat ki teri,
dil mera raha hamesa bekrar
magar kisse kahein.

pyar mein chahat nahi kuch bhi,
main sirf chahata  ek didaar,
magar kisse kahein.

zindgi ki daud mein khone-pane ki hord mein,
aakhir daav gaya hoon haar,
magar kisse kahein.. hum kisse! 

but all I can do is smile

if only I could tell her
but no words can I speak.

the distance is so great
my arms they cannot reach.

even if we were side by side
the distance would seem like miles.

my heart is filled with many words
but all I can do is smile.

roya bhi hassa bhi par chhit na badala

manzilein bhi badali, raaste bhi badale,
zindagi bhi badali, hakkdar bhi badale,

taarikh bhi badali, saal bhi badala,
khawaishein bhi badali, kirrdar bhi badala,
rituein bhi badali, mahram bhi badala. 

shoharrat ne rang badala, ranj bhi badala,
hukumat ne nakab badala, algaav bhi badala,
aavaam ne taaj bhi badala, kalaam bhi badala,

girra bhi uttha bhi, par ek rab na badala,
chupaya kitna bhi par sach nahi badala,
roya bhi hassa bhi par chhit na badala,

badlaav ke iss daur mein, sab badale,
ek raaj na badala, ek mahadev na badale.

aaj waadiyon mein khoob koharaa hai

aaj waadiyon mein khoob koharaa hai,
dil akelaa hai aur dard doharaa hai.

tere kaanon ko hi nahi pahunchi woh  baat,
jiskaa ki yoon dhindoraa hai.

aasmaanon se khelati hai woh,
aadmi kya hai, bas ek mohara hai,

dher sara nahi hai to naa sahi ,
yeh to kah do ki pyaar thoda hai.

bojh in saanson ka kya batlaun

bojh in saanson ka bhari hai bahut,
ho gaya mushkil uthana kya batlaun,

uss shahar ki uss gali mein woh makaan tha,
usmein tha kiska thikana kya 
batlaun,

band khidki ke pare baarish ki bundein,
sard raaton mein shamaa ka tim-timana kya 
batlaun,

woh parinde jo kabhi udte the meelon,
unka pinjare mein fad-fadaana kya 
batlaun,

karwatein badalte hum yahan par,
chain se soye zamaana kya 
batlaun,

unke khushion ke naghme unko hi mubaarak,
main yahan gham ka fasana kya 
batlaun.

khusiyoon ko khota raha hoon main

zindgi aur maut ke beech khada hoon main,
ek tumhein chaha par tumse door hoon main.

tum, tum hi ho,
main, main hi hoon magar
tukdon tukdon mein bat gaya,
woh dil hoon main.

soon sako to soon lo inki aahoon ko,
unki aahoon ki ek sada hoon main.

gujar gaye jab pyar ke woh pal,
unhi paloon ko yaad kar roota hoon main.

woh chale gaye mujhko tannhai mein chodkar,
tabse khusiyoon ko khota raha hoon main.

aise to jo khota hai usse milta bhi jarur hai,
jisne zindgi mein bas khoya hai
woh "raaj" hoon main.

kya woh aaj bhi aisi hai aisa kal tak lagti thi

jhuthe the ya sache the,
mujhko ache lagte the,

aankhein unki kali thi,
aur chehra ujla ujla tha,

phool chaman mein khilte the,
jab woh khul ker hanste the,

keh deti thi sab kuch hi
dil mein kuch kab rakhti thi,

saitaani bahut kerti thi,
lekin dil ki woh achi thi,

ker leti thi jhagrda aur
foren maan bhi jati thi.

door bhi hum ho sakte hain
kab humne yeh socha tha,

kitne pyaare din the woh
har dum saamne rehte the,

begani thi lekin, woh
apna apna lagti thi,

gulshan uske chahat ka
mere dil mein mehka tha,

kya woh aaj bhi aisi hai,
jaisa kal tak lagti thi,

ya rab usko khush rakhna,
har dam jo khush rehti thi.

khuda itna ghum kisi ko na de

meri muskorahat ko dekh kar logo ne kaha,
khuda aisi muskorahat har ek ko de,

meri aankhon ko dekh kar logo ne kaha,
khuda aisi kashish har aankh ko de,

par jin logo ne mujh ko padh liya aur
jaana un logo ne kaha....
khuda itna ghum kisi ko na de.

dil se jada aankhon ka kasoor hota hai

kabhi kabhi yeh dil jaroor rota hai,
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai.

kyun roti hai kambakht yeh ankhein,
kyun ki dil se jada inka hi kasoor hota hai.

mere kisse ekdin geeton mein sunaye jaayenge

kabhi dil mein teri yaad thi,
inn aankhon mein teri tasveer thi,
meri zindagi tere naam thi,
aur saansein teri jaagir thi.

kabhi kadam uth-te the teri rahoon ki taraf,
aur sazde the sirf tere hi dar ke liye,
har khuli aankh ke khwaabon mein basaa karti thi tu,
teri yaadein huwa karti thi mere basar ke liye.

phir kyon tune mujhe sile diye bewafai ke?
pairon talle raund dali meri yeh duniya,
jalaa ke dil ko mere raakh bhi rahne na di baaki,
koi baki nahi rahne diya jahan mein mera nishan.

ab to bas ek lakeer sa dhuwan hai,
koi siskiyan leti huyi chingari,
tannhaiyon ke nazar ho gayi rooh meri,
har taraf aag hai, bebasi aur bezaari.

jalte huwe jahan mein laut aaunga,
waapis yahan jhuthla ke maut aaunga,
teri rangeen raaton mein banke kali ghataa,
mausam-e-ishk pe lahu barsaaunga.

yeh mera waada hai dil tordne wale,
jab kahin mehfil mein tera naam aayega,
bewafai ko teri log yaad rakhein ki nahi,
ishk mera, mera deewanapan kaiyon ko yaad aayega.

hazaaron saal tak iss deewane ki aah barpegi,
aashik bhi mere naam ki kasam khaayenge,
mohabbat iss jahan mein hain kayi karne wale,
par mere kisse geeton mein sunaye jaayenge.

All Time's Favourite Posts