jab se woh aayi hai meri zindagi mein

kuch sujh nahi raha tha, 
bechain sa dil tha mera,
par dil ne chain paya,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

lamhe bitata tha main yun tanha akele yaha, 
usko hi sath pata hoon,jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

uske bina ab main akele reh nahi pata yaha,
khud se baatein karta hoo,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

yun sochta na tha hamesha kisike liye main,
ab main sochne laga hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

ankhon ko pehle adat na thi kisiko dekhne ki,
bandh ankhon se usse dekhta hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

main ek raahi tha pehle bina mazil ka yaha,
khud ko mazil ke sath pata hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

koi mayine nahi rakhta tha pyar mere liye pehle,
pyar ki ehmiyat ab janta hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

apne aap mein hi khoya rehta tha main pehle,
khud ko uske bin tannha pata hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

kisi ke liye kuch mangta nahi tha khuda se pehle,
uske liye har khusi mangta hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts