tere bin

tere bin khatm hoti nahi ye rahein,
tere bin suni-suni hain baahein,

tere bin pyasi hai ye nigahein,
tere bin bharta raha main aahein,

tere bin kat ti nahi ye raatein,
tere bin sukhi hai barsatein,

tere bin bigard jati hain baatein,
tere bin kha raha hoon main laatein,

tere bin sirf hai tanhai,
tere bin sari duniya bewafai,

tere bin chord gayi meri parchai,
tere bin sang mere sirf duhayi,

tere bin ban gaya parwana,
tere bin bhoola main har afsana,

tere bin pagal hua ye deewana,
tere bin mar jayega ye jana,
tere bin...

woh humein tardpane ka hunnar rakhte hain

kaya kahu ki kya baat hai in baaton mein,
naa jane kyu apna sa ehsas hai in baaton mein,
kehne ko ajnabi hain hum tum magar,
ek rishta hain teri aur meri nigahon mein.

naa bhool kar bhool paaun tujhe,
woh nasha hai teri yaadon mein,
har mord par mil jaate hain hum aksar,
naa jaane kya rishta hai humara in ajnabi rahon mein.

jo mil kar bhi naa mil paye
aur milne ki hassrat rakhte hain,
yeh wo nazrein hain jo,
dil waalon ka chain-o-aman rakhte hain,
woh tardpate hain khud sada,
aur humein tardpane ka hunnar rakhte hain.

pyaar lage agar mera sachha

meri bewafai ka jab tumhein pata chale,
mujhe tum maut ki neend sula dena,

mat yaad mujhe tum karna kabhi,
mujhe tum dil se apne mitaa dena.

par pyaar lage agar mera sachha,
kuch to meri chahat ka silaa dena,

mera jism to kya.. rooh ko bhi meri,
tum pyaar se apne bheega dena.

tere bina yeh raatein

tere bina kaise meri guzarengi yeh raatein,
tannhai ka ghum kaise sahengi yeh raatein,

bahot lambi hai yeh ghadiyan intezaar ki,
karwat badal-badal kar katengi yeh raatein,

teri yaadein hai basi zameen se aasmaan tak,
dekh kar haseen chand royengi yeh raatein,

bas jana tum aankhon mein khawab ban kar,
to shayad zara sa sambhlengi yeh raatein,

bhula na paoge tum meri mohabbat ko kabhi,
aawaz de kar roz tujhe bulayengi yeh raatein.

mujhko to unhein bhulna bhi na aaya

wada kiya tha unhone mujhse ek din,
par unhein us wade ko nibhane na aaya,

ruth gaya main unse kisi baat pe jo,
to phir kabhi mujhe woh manane na aaye,

tut gaya woh pyaar bhara khwaab,
jab woh pyaar ka rishta nibhane na aaya,

dil torda hai aaj unhone mera pyaar mein,
par mujhe to kabhi dil tordna na aaya,

shak tha shayad unko mere pyaar pe,
hume to kabhi unpe shak karna bhi na aaya,

bhul jane ki to aadat lagti hai shayad unki,
par mujhko to unhein bhulna bhi na aaya. 

All Time's Favourite Posts