ek nadi aur do kinare phir bhi hum besahare

ek nadi aur do kinare.. phir bhi doobe hum besahare,
jeena marna kya fark hai.. jeete marte hum bechare,

bachpan beeta, jawani doobi, dil zakhmo ki kahani chuti,
kya kya sapne humne dekhein.. kya kya jatan kar hum haare,

waqt ki tang galio mein bhari.. jawani pyaar mohobbat,
bhuli bhataki pyaar mohobbat.. jhoothe moothe chand sitare ,

apne hai yehi apne hai, yehi bharosa tha humko,
ab sab kyun gair ho gaye, soch soch ke hum haare. 

meri zindagi ne mujhe baar baar dhoka diya

ek ansuni fariyaad liye dil mein,
bas yun hi jiye jaa rahe hain,

kabhi yakeen hota hai ki mil jayegi manzil,
kabhi lagta hai ki kuch nahi hoga haasil.

kabhi lagta hai ki kuch to hai paa liya,
kabhi lagta hai sab kuch hai kho diya,

ab yeh bhi nahi maloom ki meri manzil kya hai,
yeh bhi bhool chuka ki meri zindagi kaha hai,

itna yakeen kiya ki khudko bhula diya,
hosh aaya to maloon hua ki mujhe dokha hai hua,

khel raha tha koi mere dil ke saath,
chalna tha sirf do kadam usse pakad ke mera hath,

thaamne wale ne haath bewaqt chord diya,
meri zindagi ne mujhe baar baar dhoka diya. 

nikal jaata hoon akela hi un raaho pe

jab khud ko akela paata hoon main,
jab kabhi yaad tumhari aati hai,
kuch bichade lamho ko khojne ke liye
nikal jaata hoon akela hi un raaho pe….

ke jin par humsafar tum hua karte the mere,
ke jaha kuch khamosh se lamhe sajaye the humne,
kadamo ke kuch nishan abhi baaki hai jahan,
nikal jaata hoon akela hi un raaho pe…..

hoti thi kabhi kabhi kuch khamosh mulakate,
hoti tere mere sapno ki kuch khushnuma baatein,
kuch purani tasveere jahan nazaar aaye mujhe,
nikal jaata hoon akela hi un raaho pe…..

aaj un raaho par main kuch yaadon ko khada paat hoon,
aaj jo raahein karti hai mujhse yeh sawaal,
ki kyu tu akela hai, kaha gaya humsafar tera?

zindagi ki kitaab

yeh jo zindagi ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai,
kahi ek haseen sa khawaab hai, kahi jaan lewa yaad hai,

kahi chaaon hai kahi dhoop hai, kahi ek haseen sa roop hai,
kayi chehare iss mein chuppe huye, ek ajeeb si yeh nakab hai,

kahi kho diya kahi paa liya, kahi roo diya kahi gaa liya,
kahi chain leti hai zindagi, kahi haar baane be-misaal hai,

kahi ansoon ki hai dastaan, kahi muskurahaton ka bayaan hai,
kahi dukhon ki hai baarishein, kahi khushiyan be-misaal hai,

yeh jo zindagi ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai,
kahi ek haseen sa khawaab hai, kahi jaan lewa yaad hai.

jinko kehte the apne huye gair woh

log kahte hain zamana bada bewafa hai,
hum to apno se hi tang aaye huye hain,

kaho kaise zamane ko ilzaam de,
jab ki apne sitam hum pe dhaaye huye hain,

jinko kehte the apne huye gair woh,
yahi khamosh sadma uthae huye hain,

zulm sahte rahe uff muh se na ki
zakhm lakho hi dil mein chupaye huye hain,

aaj apno se hai gair behtar huye
jo ki palkon pe hum ko bithaye huye hain,

ek apne hain jin pe hum ko naaz tha,
wahi raho mein kaate bichaye huye hain,

koi apna nahi, kisko apna kahein,
hum ne apne sabhi aazmaye huye hain,

ab to jeene ki koi bhi chahat nahi,
shama ummeed ki hum bujhaye huye hain,

saya apno ka koi na ho jis jagah,
aisi basti ko ‘raaj’ basaye huye hai

kitna tannha kitna akela hoon

aaj main kitna tannha hoon,
aaj main kitna akela hoon
saamne hain manzil par,
paane se darrta hoon.

kho na doon apna sab kuch,
agar manzil tak bardhta hoon,
tut naa jaaye koi sapna,
agar koi sapna bunnta hoon.

kahi de naa dastak gam ki duniya,
agar yeh khushiyan chunta hoon,
chord naa jaye kahi koi saath mera,
agar yeh raah pakrdta hoon.

aaj main kitna tannha hoon,
aaj main kitna akela hoon.

a missing person

sometimes we all wish to be loved in this long life,
to be sure of someones presence in our every day and night.

sometimes we all wish that there is someone for us,
to be sure that someone is there to hold you and love.

sometimes we all wish that someone would spend time with us,
to be a ray of hope and guidance in all the joyous and sad moments.

sometimes we all wish to share the sunset with someone,
to be sure that someone will warm you when you feel the chills.

sometimes we all wish that someone will be a kid with you,
to be sure that someone will dance and sing with you in the rain.

sometimes we all wish that there is someone for everyone,
to be sure that someone is there to share everyone's lonely moments.

sometimes we all wish to have that special someone,
for me that precious special someone is missing....... 

kaash tum mujhse door naa jaate

kaash tum mujhse door naa jaate,
ek baar sahi par paas to aate,
khil jate bagiya mein gul shayad
ek baar to humein tum aazmate.

milti nazare to fasane ban jaate
kaash kabhi yun pyaar jataate,
kitna mushkil hai tannha jeena,
mujhse milke yeh jaan hi jaate.

kitna tardpe hain chaahat mein teri,
gali-gali log yeh kahani dohraate,
mein aaj hoon kal fanaa ho jaunga,
kaash tum yeh baat samjh paate.

ek baar gaya to phir naa aaunga,
kaash mera pyar pehchan paate,
maut se pehle hi marr chuka hoon,
kaash mere hone ka ehsaas dilate. 

jeevan kya hai

jeevan kya hai..
chalta phirta ek khilona hai,
do aankhon mein ek sa hassna
ek sa hi ronaa hai.

jo ji chaahe woh mil jaaye
kab aisa hota hai,
har jeevan jeevan jeene ka,
ek samajhautaa hai.

ab tak jo hota aaya hai
woh hi honaa hai,
raat andheri bhor suhaani
yahi to zamaana hai

har chadar mein dukh ka taana
sukha ka to bas bahana hai,
aati saans ko paana
jaati saans ko khonaa hai. 

usse bichharde barason bithe

kabhi kabhi yun bhi humne
apane hi ko behlaaya hai,
jin baaton ko khud nahi samjhe
auron ko samjhaaya hai.

humse puchho izzat waalon ki
izzat kaa haal kabhi,
humne bhi is shehar mein rah kar
thoda sa naam kamaaya hai.

usse bichharde barason bithe
lekin aaj na jaane kyon,
aangan mein hasste bachchon ko
bekaaran dhamkaaya hai.

koi mila to haath milaaya
kahi gaye to baatein ki,
ghar se baahar jab bhi nikale
din bhar bhoj uthaayaa hai.

kya hua?

kal na main itna buraa tha.. kya hua?
tera dil bhi aaina tha.. 
kya hua?

zindagi mein mord kitne aa gaye,
yeh to sidha raasta tha.. 
kya hua?

bhird kyun hai aashiyaan ke aas paas,
ek shola sa uthata tha.. 
kya hua?

yeh imaarat aaj kyun veeraan hai,
iss jagah par ek khuda tha..  
kya hua?

rim-jim barish ka gana yaad hai

savan ki pehli barish mein bachpan mein nahana yaad hai,
rim-jim rim-jim tap-tap tap-tap barish ka gana yaad hai,

woh badlon ke majme ko dekh kar, woh hum sabka shor machana,
woh bheeg-bheeg kar nach-nachna, ban kar deewana yaad hai,

badlon ka garajna, bijli ka chamakna, savan ki barsaat mein,
koyal ka metha-metha pyara-pyara, sundar tarana yaad hai,

masti mein doob jana, sab bandishe bhool khushiyan manana,
zameen pe gire paani mein sab dosto ko bheegana yaad hai,

baarish ke pani ko chhakhna, mausam ki pehli barsaat mein,
woh chote-chote haaton se kagaz ki kashti chalana yaad hai,

badlon ke piche daud lagana, badi zor-zor se shor machana,
woh pyare-pyare khel- khelna, bachpan ka aafsana yaad hai,

savan ki pehli barish mein, bachpan mein nahana yaad hai,
rim-jim rim-jim tap-tap tap-tap barish ka gana yaad hai.

kise kahein kise batayein

hasate rahe tanhayion mein
apne ko tannha samjh na paye,

karni thi khud se do bataein
reha kar bhi apne sath kar na paye,

apane sapno ko samjh baithe zindagi
inki haqeekat samjh na paye,

pal do pal jo khili muskan iss chehare par
agale pal hi usse kahi kho aaye,

apano se hi dhoka khaya har pal
kaun apna kaun paraya
kise kahein aur kise batayein...

kya kahun kisse kahun

kya kahun aur kisse kahun,
nasibon se aur kab tak lardun.

kisse karun fariyad-e-dard,
har kisi ka dard mere dard se barda raha,

raat na dhali mere badnasibi ki,
kitni aur minnate karun khuda se,

kab tak bhatkun raahe manzil ko,
har charag ne jala di khawaishein meri,

yaadon ko socho to afsoos hota raha,
kis kadar jiiya raaj aaj tak zindagi ko..

hey shiv mohe bachaoo

sab matlab ke meet hain, shiv mera tum bin aur na koi,
kiski sharan main jaaun prabhu, mera tum bin to na koi.

ek din socha jo kaam kathin hai, woh kaam main karr jaaun,
bahut jee chuka auron ki khatir, ab khud ke liye marr jaaun.

jaane kaise khayal mann mein aaya, ki yeh jeevan hai anmol,
in aankhon ne dekhi maya ki duniya, ab mann ki aankhein khol.

mera waqt tha kuch aisa badla, ki toot gaye the sab sapne,
tanhaayi deti thi saath mera, jab chord gaye the sab apne.

kya sangi-sathi, kya mitra pyaare aur kya yeh rishte naate,
sab rishte hain jhoothe bas yeh samajh deir se aaye.

koi krodti hai, koi lobhi to hai koi hai ahankaari,
moh-maya ke jaal mein fassi huyi hai yeh duniya saari.

yeh dukh ki raat hai kaali, chhaaya hai ghum ka andheraa,
koi anjana darr mohe sataaye, kab aayega sukh ka saveraa?

jis sang mann preet lagaya, woh preet thi jhoothi,
kab ka ho chuka hai savera, tab samjha jab neend yeh tooti.

bin barkha pyaasa jyon dharti, tyon pyaasa mann mera,
chahun naa aggan maya ki aur laage, jaltaa hai yeh tann mera.

mujh ko koi raah nazar naa aaye, firta hoon maara maara,
hey mere shiv mohe bachaoo, tum hi to ho raaj ka sahaara.

prabhu kripa se parbhu ko jaana, pavitra hua mann mera,
prakash hua gyaan ka mann mein, safal hua jeevan mera.

yaar.. kabhi mohabbat naa karna

bedard zamane mein mohabbat naa karna,
kar baitho to pane ki chahat naa karna.
naa sunega koi faryaad iss jahan mein,
iss liye kabhi mohabbat naa karna.

mohabbat gar khushi ka mousam hai,
to gham ka mousam bhi saath saath hai.
ek hi mousam rahega zindagi mein,
iss liye kabhi mohabbat na karna.

mohabbat ek raaz hai naa samjhega koi,
mohabbat dil ki awaz hai naa sunega koi,
tardapte rah jaoge tannha tum bhi,
iss liye kabhi mohabbat na karna.

mohabbat haar bhi hai aur jeet bhi,
mohabbat soor bhi hai aur geet bhi,
ek hi geet rah jayega honto par,
iss liye kabhi mohabbat naa karna.

patjhard hai mohabbat to bahaar bhi,
millna hai mohabbat to intezaar bhi,
karte rahoge intezaar yoon hi sadda,
iss liye kabhi mohabbat naa karna.

mohabbat ehsaas hai to pyaas bhi,
mohabbat aamm hai to khaas bhi,
yoon hi rah jaaoge pyaase sadda,
iss liye kabhi mohabbat na karna.

mohabbat chain hai sukoon hai,
mohabbat nirmal hai aur junoon hai,
yoon hi junooni ban kar phiroge,
iss liye kabhi mohabbat na karna.

mohabbat kabhi sirf mohabbat hai,
to kabhi mohabbat bhi nafrat hai,
karte rahoge khud se shikwa,
iss liye kabhi mohabbat naa karna.

mohabbat dil ko umeedein deti hain,
mohabbat mushkilein bhi deti hain,
girftaar rahoge uljhano mein,
iss liye kabhi mohabbat naa karna.

mohabbat khuda hai khudai hai,
mohabbat milan hai judaai hai,
dete rahoge dohaai hamesha,
iss liye kabhi mohabbat naa karna.

tera milna mere zindagi se nikalte dekha

raat ko bhi abhi yahan aate dekha,
khawaab ko intezaar se baatien karte dekha,

tera aana mumkin naa hua zindagi mein,
khwahish ko fariyad badalte dekha,

justaju bhi main karta to kya karta,
guftagu mein apni baat karta to kya karta,

tere lab pe woh baat aate aate rahi,
tu mujh se apne aanshuon ka sabab chupati rahi,

tera milna mere zindagi se nikalte dekha,
raat ko bhi abhi aate dekha,
khawaab ko intezaar se baatien karte dekha. 

jisko jitna sambhalo utna hi door chala woh jata hai

aisa hi hota hai ke jisko jitna sambhalo
utna hi door chala woh jata hai !

yakin naa aaye,
lekin aisa wakyaa bhi hota hai.

rota hai koi tut kar tanhai mein,
phir bhi duniya mein woh hasta hai.

lagta hai jaise mitayi thi hasti,
sab jaise ab haara hua sa lagta hai.

jaane kitne wade liye-diye,
chutne pe sab bojhil sa dikhta hai.

aisa hi hota hai ki jisko jitna sambhalo,
utna hi door chala woh jata hai !

de jata hai sirf kuch ehsaas,
phir sab kuch pehle sa hota hai.

karta hai kuch shikwa-shikayat,
dil lekin phir se shamil duniya mein hota hai.

naa thamegi uski zindagi,
naa yahan kuch rukta sa dikhta hai.

malum hai tum sambhal jaaoge,
dard to sirf khone ka..
ek pyar karne wale ko hi milta hai !

fursat ho tujhe to aa jana

fursat ho tujhe to aa jana,
arthi par do ashk baha jana,

kiya tha ishq kabhi iss garib se,
duniya ko yaad kara jana,

hoti hai mohabbat ek baar hi,
zamane ko yeh samajha jana,

hothon pe kask, aankhon mein nami,
bheegi palkon se vida kara jana,

ek raat ka khwaab samajh,
yaadon ko yahin dafna jana.

kyun raaj ki har khwahish adhuri ki

kadam kadam tujh sang mohabbat ki,
jaise zindagi sang maine bagawat ki,

bahut naaz tha mujhe teri wafa par,
bar-bar mujh sang kyun dil lagi ki,

kitni hasrat se khawab sambhale the,
gair sej sang tune phir bhi dosti ki,

teri khaatir na ikraar kisi ikraar ka,
tujhe chaha aur mohabbat beshumaar ki,

pyaas dil ki bhujhane bata jaaun kaha,
kyun “raaj” ki har khwahish adhuri ki.

ab yeh baat manni hogi

gair ki hai meri nahi, ab yeh baat manni hogi,
kisi aur sej ka phool hai, yeh baat janni hogi,

kabhi hoti thi har subha mere naam se teri,
ab to zindagi teri yaad mein bas guzaarni hogi,

sath chordegi na marte dum tak kaha tha kabhi,
halaat-e-safar mein akele hi khaak chhanni hogi,

mere bin teri zindagi kuch bhi nahi hai sanam,
kabhi na kabhi tujhe bhi yeh baat manani hogi,

“raaj” roshan hain.. teri salamati ki dua ke khaatir,
abaad rahe tu.. chanda mehfooj teri chandani hogi.

desh ka haal hai behal

desh ka haal hai behal,
janta hai har insaan,
sabko apni fikr hai,
lage hai banane apni pehchan.

sari duniya mein ek,
hai mere desh ka naam,
par naam se kya hota hai,
jab deshwasi hi kare isse badnaam.

hai mantri kehtlate woh,
kanoon ki baatein hain karte,
jitne se pehle sare desh ko,
khusiya dene ka vada karte,
par election mein jitne par,
sare desh ko apni jaagir samajhte.

neta ho ya ho afsar,
ho sadhu, moulvi ya doctor,
sab apni apni jebe bharne ko,
karte hain chori khulkar.

chunte hain in sab ko hum,
sahte hain inki manmani,
jab hadse guzar jate hain woh,
aur karte sabse beimani.

humlog bas sehte rehte hain,
jo hai desh ke gaddar,
phir apne desh ki izzat se,
karte hai khud khilwad.

ab waqt agaya uthne ka,
jaago aye hindustani,
halla bolo milkar kholo,
in logo ki karistani.

na sehna hai ab aage se,
karo door desh se har bala,
jo desh ko chahe bechna,
karna hai unka muqabla. 

yeh mera watan

aazad hua aaj mera, 
pyara watan tha,
dekar kurbani bhagat singh ne, 

bachaya yeh watan tha.

tha ishq apne desh se, 
sacha usse suno,
hanste huye fansi chadha, 
kya joosh-aye-watan tha.

duniya mile badle mein, 
usse mein kabhi na loon,
hai dil mein mere ishq, 
sacha yeh watan ka.

tha kaid mein goron ke, 
mera pyara watan tha,
veero ne jaan de ke, 
bachaya yeh watan tha.

mujh ko guroor hai ki,
bharat hai mera desh,
hai naam jiska duniya mein
woh mera watan tha.

darr sa lag raha hai mujhe apne bhawisha se

kin chiragoun ko bujhaun kin ko jalaun main,
kiska banu dushman kisse dosti nibhaoun main,

darr sa lag raha hai mujhe apne bhawisha se,
soochta hoon apne zakhmon ko kaise chupaun main,

jab tu aayegi.. tujhe aankhon se ordh lungaa,
tab tak teri raahon mein yeh palkein bichaun main,

yeh shikayat logo ne kiya ki tujhe roka bhi nahi maine,
honton pe teri ungli ho to kaise lab hilaaoun main,

kisi sham tere khwaab mein dabbe paaoun chala aaoun,
jee chahta hai phir laut ke kabhi na aaoun main.

shaam dhalte hi

badale jo rashte shaam dhalte hi,
ruk gaye kaafile shaam dhalte hi.

main talaash karta tha roshni ko,
mil gaye andhere shaam dhalte hi.

so gaya suraj samander ki goud mein,
jaag gaye sitaare shaam dhalte hi.

juda hoye ek subah bhi na guzri thi,
ke phir tu pukaare shaam dhalte hi,

mujhe bewafa kehte hain roshni waale,
koi mera ghar dekhe shaam dhalte hi.

din bhar jisne jama kiya tha fouad,
bangaye khwaab saare shaam dhalte hi.

main shiv hoon

vibhatsa hoon, vibhoor hoon,
main samadhi mein hi chur hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

ghanghor andhera ordh kar,
main jan jeewan se door hoon,


samshaan mein hoon nachta,
main mritu ka gurur hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

saam daam tum hi rakho,
main dand mein sampurn hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

cheer aaya charam mein,
maar aaya "main" ko main,
"main: main nahi, "main" bhay nahi,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

jo sirf tu hai sochta,
kewal wo main nahi,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

main kaal ka kapal hoon,
main mool ki chinghard hoon,
main magnha.. main cheer magnha hoon,
main akant me ujjard hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

main aag hoon, main raakh hoon,
main pavitra rash hoon,

main pankh hoon,
main swash hoon,
main hi hard maas hoon,
main hi aadi anant hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

mujh mein koi chhal nahi,
tera koi kal nahi,
maut ke hi garbh mein,
zindagi ke paas hoon,

andhakar ka aakar hoon,
prakash ka main prakaar hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

main kal nahi main kaal hoon,
vaykunt ya paatal nahi,
main moksha ka bhi saar hoon,

main pavitra rash hoon,
main hi to aadhar hoon,

main shiv hoon.. main shiv hoon.. main shiv hoon.

jaun to jaun kaha har taraf andhera hai

dhundh hai yaadon ki
kohara hai jazbaaton ka,
meri har saans par
tera hi basera hai.

zindagi ki raah mein,
tannha hoon safar mein,
jaun to to jaun kaha,
har taraf andhera hai.

jis raah par chala main,
waha manzil na mili,
khushi jo iss dil ne chaahi,
isse haasil nahi huyi.

meri har aarzoo ko
bebasi ne aa ghera hai,
jaun to jaun kaha
har taraf andhera hai. 

teri yaadon ko apnaya hai humne

ek sirf tujhe apna maana tha humne,
khuda ki kasam khuda jaana tha humne,

bhula baitha tha raaj apna sab kuch,
sirf aur sirf tujhe jaana tha 
humne, 

gum kya hote hai yeh bhi yaad na tha,
apne ko sirf teri baahon mein paaya tha 
humne, 

tannha samajte the jo hum khud ko hamesha,
naam tera le ke apne pe garrur kiya tha 
humne, 

bhula ke kiya pyar ki zindagi do din ki hai,
apne aap ko tujh pe mitaya tha 
humne, 

yaad tujhe jarur hoga woh jamana aye kaatil,
apne ko katal kar ke, tujhe sajaya tha 
humne, 

aaj jee rahi hai tu jo shaan ki zindagi,
us zindagi ko lal rang diya tha 
humne, 

baithi hai aaj jo tu gair ki baahon mein,
mat bhool ke woh zindagi bhi di hai 
humne, 

yaad kar woh waada kayamat ke din ka,
tum bhool gayi lekin nibhaya hai 
humne, 

hum bhatak rahe hai aaj bhi tere milan ko,
tune paiso ko... to teri yaadon ko apnaya hai 
humne.

shayad mere zakhmon ko kavitaon mein badalna tha

jo hona hi tha mujhse juda,
to itna pyaar hi na karna tha,

waade karke sath jeene marne ka,
bass kuch hi door chalna tha?

banaya tha tujhko khuda apna,
aur tune hi mujhse ki dagaa,

humare pyaar ke suraj ko jaanam,
itni jalld to na dhalna tha?

door hi rahte tum mujhse,
meri zindagi mein aaye hi kyon,

hote tum gair to yaadon mein tumhari,
yeh masoom dil to na jalna tha,

tere diye zakhamon ki daastaan,
kisi ko sunata bhi to kaise...

shayad iss gareeb ke zakhmon ko,
kavitaon ke lafzon mein badalna tha.

in dino

dil khauf ujaalo se khoya hai in dino,
khud apni parchhayi hi daraye in dino,

hain kaun kaha se.. hai yaha aaye kis liye,
dil yehi sawalat uthaye in dino.

munasib ho jo koi mukhota unka kheench le,
aaina jo zamaane ko dikhaye in dino.

yaadon ka samandar, unpe ashko ki chandani,
saanso mein koi tufaan uthaye hai in dino.

chalna hai bahot door paaon ke chaale ke baawjood
awaaz koi door se bulaye in dino,

ki dil khauf ujaalo se khoya hai in dino.

ab yaadon ka kaarwan aur likha nahi jaata

likhne ko ab tak bohut kuch hai likha,
par ab yaadon ka kaarwan aur likha nahi jaata,

kat-ti dhoop bhi hai aur judaai bhi,
bas ek saawan ka mausam gujara nahi jaata,

mat soch aye-dil un beeti baaton ko,
waqt ka ek bhi lamha kabhi laut kar nahi aata,

aate aate palko mein sukh hi jaate hain aanshu,
par dard se nikli aah koi us tak nahi pahunchata,

yun to khade hain hum iss aur saahil par magar,
koi lehar mujhe baha le jaaye aisa tufaan bhi nahi aata,

thak gaya hoon aaj khud se lardte lardte,
na jaane yeh aaj mayuish ka daur thehar kyu nahi jaata.

main chal raha hoon kyun na jaane kisi ajnabi ke peeche

yeh sila mila hai mujh ko teri dosti ke peeche,
ke hazaaron gham lage hain meri zindagi ke peeche,

na to dil ka koi maksad na to meri koi manzil,
main chal raha hoon kyun na jaane kisi ajnabi ke peeche,

tere yaadon ke shaaye se sar ko main uthaaonga na ab,
main kahan kahan na bhatka teri bandagi ke peeche,

mujhe keh ke tum deewana na karo mujh ko rushwa,
koi raaz bhi to hoga meri khudkushi ke peeche,

koi unnse jaa ke itna zara keh de,
main huwa jahan mein ruswa teri aashiqui ke peeche.

koi lafaz likhta hoon to aankhein bheeg jati hai

tumhara naam likhne ki ijazt chinn gayi jab se,
koi lafaz likhta hoon to aankhein bheeg jati hai.

tumhari yaadon ki khushbu kirano se ras karti hai,
tere gum mein sulagta hoon to aankhien bheeg jati hai.

na jaane ho gaya hoon iss kadar hatash main kab se,
kisi se baat karta hoon to aankhein bheeg jati hai.

main sara din bahot mashruf rehta hoon magar jyun hi,
kadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhein bheeg jati hai.

teri yaadon se ab mera taluk wajib sa hai,
magar jab bhi nikalta hoon aankhein bheeg jati hai.

hum jaise deewane kuch kuch pagal hote hain

toote dil baar baar phir bhi ishq ki galiyon se guzarte hain,
humne jaana aashik kuch kuch pagal hote hain.

door door se deedar-e-yaar karke khush rehte hain,
humne dekha ishq chupane wale kuch kuch pagal hote hain.

kisi bekhabar pe jaan nichchavar kar diya kartein hain,
dil ki baaton mein aane waale kuch kuch pagal hote hain.

ek tarfa mohabbat bhi nibhaye jaatein hain,
wafa nibhane wale bhi kuch kuch pagal hote hain.

kisi bewafaa ki addaon pe dil de diya kartein hain,
yeh bhi sach hai dilwale kuch kuch pagal hote hain.

khud mit ke kisi ko mitne se bacha liya kartein hain,
mohobbat karne wale kuch kuch pagal hote hain.

iss pagalpan ko jaanke bhi pagalpan mein khush rehte hain,
hum jaise deewane, beshak kuch kuch pagal hote hain. 

ek tum hi nahi tannha

dil ke sunnate mein tannha rehne wale tum hi nahi,
tannhai se baatein karne wale tannha tum hi nahi.

iss ishq ne barbaad kiya hai hum sabko,
iss ishq mein bikharne wale tannha tum hi nahi.

kehne ko bas ek dil hi hota hai,
apna sab kuch lutane wale tannha tum hi nahi.

haste huye chehre hain yahan sab ke,
dard yun chupane wale tannha tum hi nahi.

safar-aye-tannhai ke dastan ek si hai sabki,
andhere mein rehne wale tannha tum hi nahi.

aisa lagta hai ek saja hai zindagi meri,
iss kaid mein tannha rehne wale tum hi nahi.

maine poocha kaise ho

maine poocha kaise ho
badle ho ya waise ho,
roop wohi andaaz wahi
ya phir iss mein koi kami?

yaadon ka kuch ehsaas to hoga
koi tumhare pass to hoga,
main bichrda yeha majboor tha
kab manzoor mujhe doori tha?

saath humara kab chhuta hai
rooh ka rishta kab toota hai,
aankh se jo aanshu behte hain
tum ko khabar hai kya kehte hain?

maine kaha aawaz tumhari
aaj bhi hai humraaz humari,
phool wafa ke khil jaayenge
kya ek din phir hum mil jaayenge? 

keep in touch with your friends

do u know how friendship ends?

both friends will think that
other is busy and will not contact,
thinking it may be disturbing.

as time passes, both will think,
let the other contact.

after that each will think
why should I contact first?

here..
your love will
be converted to hate.

you forget each other.
one fine day you will meet
and blame one another.

so keep in touch with your friends.

Happy Friendship Day!!

Happy Friendship Day

come walk a while
take my hand hold that smile
all clouds move, dark ones to
take these words and comfort you

as rains fall, shelter in this heart
feel the warmth and peace restart
take my soul in times of dread
and sleep these thoughts within my head

friendships distance knows no bounds
its flexability amazes and astounds
in these arms lives love and sympathy
and in my eyes, a friend shall always be.


"Happy Friendship Day" to all my friends!

thokarein cheez kya.. hum maut se nahi darte

gar woh lout ke aana gawara nahi karte,
to hum bhi jaane walon ko pukara nahi karte.

jinhein ho apni khudi pe bharosa,
woh kisi se saath chalne ke liye ilteza nahi karte.

jabse ho gaya samander se unka yarana,
woh ab kuye se kabhi matkiyaan nahi bharte.

na le imtehaan nadaan mere zakhmon ko dukha kar,
diljale marte-marte aah tak zaya nahi karte.

sar se bandh ke kafan jo chale ghar se hum,
thokarein cheez kya.. woh maut se nahi darte.

ab na fursat hai na ehsaas hai

ab na fursat hai, na ehsaas hai ghum se apne,
warna hum roz hi milte the sanam se apne,

dil na mana ki kisi aur ke raste pe chalein,
lakh ghumra huye nakshe kadam se apne,

hum nahi hain aaj phir bhi to abaad hai mehfil unki,
hum samjhte the ki ronak hai to dum se apne,

mere daman ke mukadar mein hai khali rehna,
ab jo zinda hain to yaadon ke bharam se apne. 

jisko bhulana chaha wohi yaad aaya

jo kabhi dukh na tha woh yaad aaya,
aaj kya janeye kya kya yaad 
aaya,

phir koi hath hai dil par jaise,
phir tera ehsas-a-wafa yaad 
aaya,

yaad aaya tha bichardna tera,
phir nahi yaad ke kya kya yaad aaya,

yeh mohobat bhi hai kya rog,
jisko bhulana chaha wohi yaad aaya.

dil mein basey ho tum ab bhi

muskuahat labon pe liye
yaadein tumhari aati hai,

tannha jab hota hoon kabhi
ankhein nam ho jati hai,

dil mein basey ho tum ab bhi,
dhardkane yeh keh jaati hai,

milenge ek din hum tum
guzri shaam dilasa de jaati hai,

khwabon mein dikhte rehte ho,
kabhi haqikat mein bhi dikh jaya karo,

muskuahat labon pe liye,
yaadein tumhari aati hai.

tera naam mere liye ek ghazal ban kar rahega

ek akela tannha baadal ki tarah,
tumhare in khayaalon par se
guzar kar jaana hai mujhe,

andhakaar bankar tere suraj par
apni parchaayi ko pardne nahi diya,

na hi barsaat ki boundein bankar
teri khoushiyan par barsa kabhi,

suraj ko apni baahon mein lipatne wale,
ya pyaasi dharti par barasne wale,

baadalon ki hi kuch ahamiyat hoti hai,
baaki kisse pata, kal yahi kaafi hoga mere liye.

ki tere asmaan se guzar kar
tere deedaar ke do pal paaya meine,

tera naam mere liye hamesha
ek ghazal ban kar rahega.

All Time's Favourite Posts