lout aa kisi bahane se

bahut udas hai koi tere jaane se,
ho sake to lout aa kisi bahane se,
tu lakh khafa sahi magar ek bar to dekh,
koi tut gaya hai tere ruth jaane se…

When I die

You know…
My heart was taken by you…
Broken by you…
And now it is in pieces because of you…
But still every single piece craves, longs for you only…

Trust me baby I am going through hell…
I am suffering each & every moment…

Why dont you see…
All I ever wanted is you.. only U….!!

When I will be dead,
Your tears may flow,
But I won’t know,
Cry for me now instead…!!

You will send flowers,
But I won’t see,
Send them now instead..!!
.
You’ll say word of praise,
But I won’t hear,
Praise me now instead..!!

You will forget my faults,
But I won’t know,
Forget them now instead..!!

You will miss me then,
But I won’t feel,
Miss me now instead..!!

kuch der to lagta hai

yaadon ko bhulane me,
kuch der to lagta hai,
aankho ko sulaane me,
kuch der to lagta hai..

kisi saskh ko bhula dena,
itna aasan to nahi hota,
ye baat dil ko samjhane me,
kuch der to lagta hai…

bhari mehfil me jab koi,
achanak yaad aa jaaye,
phir aanshu chupaane me,
kuch der to lagta hai..

jo shakqs jaan se bhi pyara ho,
achanak nazaro se door ho jaaye,
ye baat dilko yakeen dilane me,
kuch der to lagta hai…

kisi ko koi fark bhi nahi parda hai

mere seene mein bhi dil dharkta hai,
yeh bhi kisi se mohabbat karta hai,
har bar jo zakhm milta hai,
woh mera dil nahi seh sakta hai,

har dost jo mera apna hai,
mere zakhmon per namak chirdhakta hai,
main pyar jisse karta hoon,
woh mohabbat paiso se karti hai,

dard jab hadd se guzarta hai,
dawa mere liye kaam nahi karta hai,
har dost mujh se door chala jata hai,
kyu mera kismat koi nahi badalta hai,

har dar per ruswa hota hoon,
na jane kyun har koi jhatak jata hai,
main tardap kar mar bhi jaon to,
kisi ko koi fark bhi nahi parda hai.


ek khushi ki chah me ye muskurahat kho gayi hai

sham aate hi jalne ki aadat ho gayi hai,
ek khushi ki chah me ye muskurahat kho gayi hai,
isqh humko yoon dara dega kabhi socha na tha,
jab khayal aaya humein darne ki aadat ho gayi hai.

toot kar bikhar jaaye hum

na aanshu nikle, na dard ka koi humein ehsaas ho,
kuch is tarah pathar sa ye dil kar jaaye hum,

na shamil ho koi janaaze me aur laash bhi tadapti rahe,
khud he ke liye nafrat aisi, har dil me bhar jaaye hum,

ab zinda hone ka ehsaas na dilao humein,
bas dua karo ek jami huyi jheel ki tarah tehar jaaye hum,

maut ki khwaish kuch yun dil-o-dimaag pe chhayi hai,
baat tum ab zindgi ki na karo, mumkin hai dar jaaye hum,

bahut kar chuke kosis khud ko sambhalne ki hum,
ab toh khwaish hai ki toot kar bikhar jaaye hum.

na saanso me apnapan hai, na dhadkano se ab pyar raha,
tu he keh de aye khuda, tadap kar kis kone me mar jaaye hum…

bahut gum sinne me dabaye baitha hu

sath rahene ka waada bhi tha,
door jane ka koi irada bhi naa tha,
hum to rishta nibhate jaa rahe te,
kab tak nibhana hai ye andaza bhi na tha,
yeh safar bardi aasani se chal raha tha,
zindagi ka phool dosti ke sath khil raha tha,
na koi shikwa tha na gila tha,
hum to ussi me khush the jo zindgi se humein mila tha………….

hum bhi chal rahe the aur zindgi bhi chal rahi thi apni raftar se,
gum bhi mil rahe the aur khushiya bhi mil rahi thi humein barabar raftar se,
jane kyu kisi ko hamara yeh pyar gawara na raha,
aur woh jo ek dost karib tha aab woh hamara na raha………..

kuch galatfehamiyo bina dosti adhuri hai,
aye musafir tera ye samajh pana jaruri hai,
kabhi zindgi me hamari kami lage to lauth aana,
bin sharto ke tumhein apna lenge,
wapas ussi taraha palko par bitha lenge,
wapas pyar ke wo murjhae huye phool khila lenge,
tum ek baar aane ka waada to karo,
agar humne tumhein paa liya to sabh kuch paa lenge……

aage tumahari marzi ho to hi lauth kar anna,
kyuki dabav me koi rishta nahi pallta,
bahut se log mil jate hain iss zindagi me,
par koi apna bahut mushkil se hi milta,

aao to aa jana main palke bichaye betha hu,
dil me ek bar fir ummido ki shama jalaye bethi hu,
warna zindgi to yu hi kat jayegi,
waise bhi bahut gum sinne me dabaye baitha hu…….

sari duniya jaanti hai ki tune mujhe barbaad kiya

loot ke mere dil ki nagri
gair kaa ghar aabad kiya,
sari duniya jaanti hai
ki tune mujhe barbaad kiya.

pyaar ke kasme tord di tune,
lagayi hai haathon mein mehandi,
pehan ke joda shaadi kaa.

aab tum sun kar, kyu rooti ho ?
kya fikar tujhe meri barbadi kaa.
dil ki suni nagri mein,
teri yaadein roothi hain.

aa ke dekh le haal kabhi,
iss soonsaan aabadi ka,
hum ko tumse pyaar ke badle,
aashkon ki kheraat mili.

bedardi ne maan naa rakha,
iss apne faryadi kaa,

ab tum sun kar kyu rooti ho,
kya fikar tujhe meri barbadi kaa.

pyaar ki kasme tord di tune,
pehan ke jorda shaadi kaa.

jaab bhi mujh ko aati hai yaar,
mere samne aa jata hai woh kissa,
meri barbadi kaa.

kismat ka masiha

kismat ka masiha zindgi me khusiyan likhna bhool gaya,
aashkon ke saaye me hum aaj tak apne gam dekhte rahe,

na koi apna tha na kisi ne sache dil se pyar kiya humse,
pyar ka ummid liye bas uske sitam dekhte rahe,

jaane waala to apne kadmo ke nishaan bhi mita gaya,
aur hum aashkon se bhigi palke pe nam dekhte rahe,

baad uske duniya ne bhi kureda mere zakhmo ko,
toota jo dard ki hadd, to har taraf marham dekhte rahe,

na sehlaya, na kisi ne haal-e-dil hi poochha humse,
aur hum khuda se reham-o-karam dekhte rahe,

kuch is kadar diwana bana gayi woh apni surat ka humein,
ki har chehare me hum bas apna sanam dekhte rahe,

jo ek janam ke saath ka bhi wada pura na kar paayi humse,
raah ussi humsafar ki hum har janam dekhte rahe…

har baar tanha paya khudko

thaam liya tha maine daaman tera, khawaaish thi bas pyar pane ki,
haar baar tut ker bikhara main, kya yahi thik sazza chahane wale ki,

umeedon ka daaman sanjoya tha, kosish thi tujhe apna banana ki,
haar baar gunahgaar bana diya, kya yehi thi sazza wafa nibhaane wale ki,

raat bhar jaag ker intezaar kiya, hasarate thi tere sang jeene ki,
har baar wada ker mukar gaye, kya yehi thi sazza sapane sanjoone wale ki,

kadam kadam pe phool bichaya maine, chaahat thi tujhe khusi dene ki,
har baar kaaton ki chubhan mili, kya yahi thi saza es diwaane ki,

har kadam sath nibhaya tera, justuju thi manzil pane ki,
har baar tanha paya khudko, kya yehi thi saza tujhse ishqu farmaane ki...

jaane kyun cheen liya khuda ne usko mujhse

chaandni bhi fikki padh jaati thi uske aage,
jab meri jaan naha ke bahar aaya karti thi,

aadayein dekh uski bechain ho jata tha dil,
jis tarah gile baloon ko woh sehlaya karti thi.

madhosh karti thi uski chudion ki awaaz mujh ko,
jab woh banake chai mere liye laya karti thi,

zid karna.. lagta tha mujh ko acha uske aage,
kyunki uski pyaari daant mujhko bhaya karti thi.

uski maathe ki bindiya, uski aankhon ka kajal,
pal bhar mein mujhe deewana banaya karti thi,

hasti thi bahut, jab baat koi bhi kiya karti thi,
uski baaton mein jaise mishri samaya karti thi.

uske pas baithne ko dil machalta rehta tha,
woh jaadu mujh pe kuch aisa chalaya karti thi,

kitna bhi mushkil ho wakt, woh sambhalti thi mujhe,
na tutne deti, woh mera saath nibhaya karti thi.

uska woh sharmana aaj bhi yaad aata hai mujhe,
loon aagosh mein, woh ankhein band kiya karti thi,

jab chumon maathe ko pyaar se main kabhi,
woh sharma ke agosh mein bhikar jaaya karti thi.

udassi ka aalam hai aaj har taraf duniya mein,
woh to banke saaya mujhme samaya karti thi,

aaj ghar jaane ka mann nahi karta yaaro mera,
hoti thi woh to mujhe ghar jaldi bhulaya karti thi,

jaane kyun cheen liya khuda ne usko mujhse,
mera to din.. uski muskurahat banaya karti thi.

nahi karta aaj uske bina jeene ka mann mera,
uske saath zindagi jannat nazar aaya karti thi.

honge duniya mein aur bhi lakhon hasin yaaro,
meri jaan mein mohabaat ki devi samaya karti thi.

zakham jo dena tha

zakham jo dena tha fir marham kyu diya,
saanso ko tere naam se sargam kyu diya,

dil ki dhadkano me ehsaas kyu diya,
aankho me tune apne vishwas kyu diya,

kal jo jaana tha phir aaj kyu diya,
janamo janam ka apni yaad kyu diya,

tufaan se ladata raha mohabbat ka diya,
tunne berukhi bhari saanson se diya bhujha diya,

tanhaayi ka sannata gamo ka tufaan diya,
tune mohabbat ko hi fareb ka naam diya,

aye mohabbat tune aakhir mohabbat kya kiya,
man ka arpaan sa darpan tunne jhatakk diya,

khud the andhere me, hamein bhi andhere me bula liya,
mohabbad ki roshani me khud ko jala liya,

aankho me tere dekh nahi sakta hun kabhi aanshu,
dhadkaan me bassa tujhe apna khuda bana liya,

jismmo se nahi ruhon ka maha milan hai hai mohabbat,
rom rom me ruh tak tujhe hamne bassa liya,

samarpann hai mahobbat, balidaan hai,
paa jaane me nahi, nibha jaane ka naam hai,
inhin ehsaason ki rahasya se, 

ek nanhi si daastan hai mohabbat....

tanhaayi me ek jam jo usne pilaya hota

saath agar kismat ki lakeeron ne nibhaya hota,
chaand daaman me apne ek humne bhi chupaya hota,

wo andheron me rahi par na kabhi aawaz di mujhko,
roshani dene ko usse khud ko humne jalaya hota,

yun to rula jaati hai har roz dhaalti sham,
sajj jaati wahi sham jo usne hasaaya hota,

hamsafar na sahi, hamsaya hi bana ker chalte,
riwaaz wafa ka koi to usne nibhaya hota,

bata deti bas itna ki kis raah se gujaregi,
uss raah ko palko se humne sajaya hota,

tamaam umrr guzar jaati shusur me tammana,
tanhaayi me ek jam jo usne pilaya hota,
tanhaayi me ek jam jo usne pilaya hota...

din me gujar nahi hoti raat me basar nahi hoti.

hossh khone ki chaahat agar iss kadar nahi hoti,
madhosshi yun meri hamsafar nahi hoti,

har raat tere rashta taakti hai meri aankhein,
tujhe khawab me dekhe bina meri subah nahi hoti,

har kadam pe raah rokati hai nayi manzile meri,
bas ek tere siwa meri kahi thehar nahi hoti,

dhire dhire marz mera laa-elaaz ho gaya,
koi dawa dua mujhpe ab assar nahi hoti,

din ke ujaalo me bhi dekhi hai andhere maine,
andheri raaton me mujhe ab fikkar nahi hoti,

koi tanhaa se hi puche dard meri tanhaayi ka yahan,
din me gujar nahi hoti, raat me basar nahi hoti...

haathon ki lakeero me uljha uljha sa insaan

haathon ki lakeero me uljha uljha sa insaan,
aankhon me rakhta hai aanshu aur labbo pe muskaan,

dara dara sa uthata hai yah soch ker subah,
jaane sunaayegi zindagi aaj kya daastaan,

din bhar chalta jata hai suraj ki tarah,
sham ko dhundata hai ek apna jaahaan,

raat bhar yah soch, kerta hai nind ka intezaar,
subah dene honge koi naya imtehaan,

haathon ki lakeero me uljha uljha sa insaan,
aankh me rahta hai aanshu aur labbo pe muskaan..

ki mohabbat to samajh aaya

ki mohabbat to samajh aaya yah falsafa mujhko,
ki shama ke sath jalne ki zidd kyu parwaane me hai,

karega ishqu jo wahi raaz jaan paayega yeh,
ki luft jeene se jyaada yun jal ke mar jaane me hai..

kerta hun tujhe yaad par tu to hai anjaan

bojhal si ye shaam, leti hai tera naam,
karta hun tujhe yaad, par tu to hai anjaan,

ek veeran sa safar hai, yeh meri zindagi,
na manzil hai koi mera, na koi mukaam,

na talaash humsafar ka hai mere raah guzar ko,
na lena hai mujhe koi, ab naya sa ilzaam,

tujhse hi shuru ho aur tujhpe hi ho khatam,
jab bhi sunega yaha, koi mere daastaan,

kabhi paas mere baith, ruthi kyu ho itna,
hone de jo hota hai, ab wafa ka annjaam,

bojhal si ye sham, leti hai tera naam,
kerta hun tujhe yaad, par tu to hai anjaan...

tere pyar paane ko tarsa kiye hum

tere pyar paane ko tarsa kiye hum,
tere deedaar paane ko tarsa kiye hum,
kuch na chaaha humne, tujhe chahane ke baad,
kuch na maanga humne tujhe maangne ke baad,

humne to kiya izzhaar-aye-mohabbat,
tere ekaraar pane ko tarsa kiye hum,
tere pyaar pane ko tarsa kiye hum,
tere deedar pane ko tarsa kiye hum...

bas tere hi aarmaano ko piroya humne,
bas tere hi khawaabo ko sanjoya humne,
tammam umrr kaat di, yuh hi bekarari me,
tere pyaar pane ko tarsa kiye hum,
tere deedar pane ko tarsa kiye hum...

kabhi to machalegi tu baaho me hamari,
kabhi to peeghalegi tu saason me hamari,
dub ke marne ko bhi to taiyaar the magar,
dariya ke paar jaane ko tarasa kiye hum,
tere pyaar pane ko tarsa kiye hum,
tere deedar pane ko tarsa kiye hum...

ek naye safar pe chalo kadam badhaya jaaye

rooth gaye hain jo saathi, unko manaya jaaye,
udaas hain jo dil, phir aaj unko hansaaya jaaye,

zindagi ka safar kaise katega ghamheen hoke,
honton par phir se muskurahat sajaya jaaye,

khwaabon main reh kar jeena nahi hai aasaan,
zindagi ki haqeekat chalo sab ko bataya jaaye,

jord le tukade dil ke, poch len aanshoo apne,
dil pe lage zakhmon ko chalo ab mitaya jaaye,

kya jo na mile ek manzil,
hain manzilain aur bhi...

ek naye safar pe chalo kadam badhaya jaaye !!

ek baar mujhe gale se lagao tum

apni yaadon ke liye bhi itna mat tarsaao tum,
jab chahun mere khyalon mein aa jaao tum,

maine wafa nibhayi hai har daur mein,
apni wafa ki ek jhalak to dikhao tum,

lab sile rahe aur hum muskuraate rahe,
khamshiyon mein siskiyan chhupate rahe,

ab woh dard geet ban nikla hai kalam se,
ek baar apni aawaaz mein gungunao tum,

duriyan ab to duriyon se bhi door kho gayi,
itni lambi saza mujh bekasur ko mili,

bhula do saari khatayein, mita do saare gile,
bas ek baar mujhe gale se lagao tum. 

ek sacchi kahani

kabhi kabhi apni aankho pe yakeen nahi aata hai,
kaise koi jaan se pyara khud hi dil tord jata hai...

aisi hi kahani main aap sabko sunata hu,
kaise bikhra kisi ka wajood ye aapko bata hu,
ek ladka jisne apna sab kuch bhoola diya apni mohabbat ke liye,
uski mohabbat usse chord gayi kisi dusre ke liye...

ladka lardki ko khub ghumata tha,
uski ek khwahish ke liye apni jaan tak lutata tha,
kisi kaam me ladke ka man nahi lagta tha,
har taraf usse lardki ka ahasas hi lagta tha,

lardki bhi uske pyar ka khoob fayda uthati thi,
apne jhothe aanshuo ko dikha kar ladke ko khoob rulati thi,
na samjh uske is tamashe ko hi pyar smajh baitha tha,
uske siwa kisi aur ka nahi hoga har waqt yahi kehta tha,

magar usko na pata tha ke kismat kya mord legi,
jisse wo jaan kehata hai wo kisi aur ke liye muh mord legi,

aakhir lardki ne usse achanak bhool jane ko kah diya,
jab wajah puchha to bahana majbooriyo ka bana diya,
kahne lagi ghar wale meri shadi kahi aur kar rahe hain,
mujhe tumse dur jane ko majboor kar rahe hain,

ladka bechara tootne sa laga,
uska rab par se bharosa chhootne sa laga,
ab to wo akela hi rah gaya tha,
lardki ke liye usne to apno ko bhi chhord diya tha,

magar kisi ke smjhane pe wo ab bhi jee raha hai,
magar andar hi andar gum ke aanshu pee raha hai,
mohabbat me sabka yahi haal hota hai,
jitni gahri ho mohabbat dil utna rota hai.......

maine thokar apno se khayi hai

gamon ne meri zindagi ki shama bujhayi hai,
yakeen nahi hota par maine thokar apno se khayi hai,
jara sambhal kar utha mere iss safed chadar ko,
kyonki isi chadar mein lipti,
meri laash tere darwaze tak aayi hai

ek aurat ki kaahani

kisi ko dil me basaya magar pyar na kar saki,
ghut ghut ke jeeti rahi magar khul ke wo na mar saki,
maa baap ne daman kisi gair ka pakda diya,

woh kya karti...
baba ki izzat ka sawal tha, to inkar bhi na kar saki...

jise pyar kiya uski nazro me bewafa bani,
jiske liye usse chorda usse bhi wo wafa na kar saki,
hamsfar aisa mila jise usspe kabhi aitbaar na hua,
woh sab ke liye qurbaan huyi
magar koi uska kadrdan na hua...
kya kare, wo ek aurat hai...
kuch kar bhi to nahi sakti...

marne ka dil hota hai magar bacho ko dekh mar bhi nahi sakti,
hasti rahti hai sabke samne apne gum ko chhupane ke liye...
woh to kab ki mar chhuki hai, zinda hai to bas zamane ke liye...

bachpan me hi shadi ke bandhno me bandh gayi yahi hai khani uski,
ghar baar aur bachcho ke bich hi khatam ho ke rah gayi jawani uski...

kisi ne dard na samjha, kisi ne usko na jana,
jab apne na huye to begano ko pada apna bnana...
kya kare.. kuch kar bhi to wo nahi sakti,
bachcho ka khyal hai isliye mar bhi to nahi sakti.....

main rona chahta hun

kahin khud ko chhupakar iss duniya se,
dub kar kahin dur dard ki gehraiyo me tere pyar ki,
apne aap se kuch kehna chahta hu,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hun…..

paakar khud ko akela,
sunkar iss dil ki pukar,
jis tarah se main seh pata hun,
wahin dekh kar iss bheed ko,
main chup sa ho jata hun

bin tere iss safar me,
main khud hi kho jata hun,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hun…..

sapno ne dhoka diya,
jo khawabo ka sath diya,
bas gaye the tum jisme aarso pehle,
sunkar ab us dil ki majbooriyaan,
aankhon se kuch kehna chahta hun,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hun…..

unn beete lamho ko bhulakar,
basakar tujhe in aankhon me,
main phir se seham sa jata hun..

kyon ki..
ho jati hai shikayat in aankhon ko dil se,
jo main tujhse ye keh bhi nahi pata hun,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hu,….

kaash main wahan hota

subah jab neend se uth kar tum aankhe kholti,
to tumhare aashiyane ki roshni ban kar kaash main wahan hota.

jab uth kar tum apna chehra bhigoti,
to ban kar paani kaash main wahan hota.

fir jab tum thandi hawa ke liye barande me aati,
to sukoon dene waali hawa ban kar kaash main wahan hota.

aur jab tum apne haatho se koi phool todti,
to tumhari saanso me ban kar khushbu kaash main wahan hota.

fir sanwar kar jab tum ghar se chal deti,
to ban kar tumhari raah kaash main wahan hota.

tum apne dosto se milti, aur zindagi jee bhar ke jeeti,
aur tumhe khush dekhne ko kaash main wahan hota.

fir jaane kyun naraz ho kar tum waha se chal deti,
tab tumhe samjhane ke liye kaash main wahan hota.

tum aati ghar pe aur ruth kar baith jati,
tab tumhe manane ke liye kaash main wahan hota.

fir tanhaai me jab chup-chup tum rone lag jaati,
to aanshu ki tarah tumhari aankho se behne ko kaash main wahan hota.

ek ehsaas hu main, jo majboor hai kismat ke haatho,
un palon me tumhe thamne ko kaash main wahan hota.

fir tum rote-rote kahin khayalon me kho jaati,
tab tumhare yaadon me yaad ban kar kaash main wahan hota.

na jaane kab tumhari aankh lag jaati,
khwabon me tumse milne ki khushi liye kaash main wahan hota.

hakikat nahi to kya ek sapana ban kar hi sahi,
khwabon me tumse milne ka naseeb liye kaash main wahan hota.

tumhe hi nahi tumhari yaadon se bhi bepanah pyar karta hoon,
ek pal ko sahi, tumhara pyar paane ko kaash main wahan hota.

mera naam bhi zuban pe na laana tumhari majboori hai,
bhari mehfil me tumhein apna kehne ka haq liye kaash main wahan hota.

tumhe khone ke dar se kuch bhi bayan na kar paata hoon,
apne pyar ka izhaar karne ko kaash main wahan hota.

main to ek ehsaas hu jo tumhari yaadon me bhatakta hai,
tumhara pyar ban kar tumhare dil me rehne ko kaash main wahan hota…


mohabbat ko badnaam kiya tumne

haar gaye hum to iss dil se,
yeh kya kiya tumne,
tha jo dil aashiyaana tumhaara,
us dil ko kyun tord diya tumne.

tutta dil to jaana humne,
daraare hain kitni aayine mein,
thokar kha ke yeh jaana humne,
fareb hain kitne zamaane mein,

mere har ek armaan ka
khoon kar diya tumne,
le raha hoon saase magar,
iss jism ko bejaan kar diya tumne.

aitbaar humne kya tha
tum pe khud se jaada,
ishq kiya tha tumse rab se jaada,

jo yaad karte hain tum ko,
usko hi bhula diya tumne,
muskuraate huye iss chehere ko,
aaj rula diya tumne.

ab to murjhaye phool bhi
hum ko khile lagte hain,
aise hum murjha gaye hain,
sheeshe ki tarha yun bikhar gaye hain,
jaise patthar se takra gaye hain,

kasoor to bataa dete hume,
jiski yeh sazaa di hai tumne,
aye mohabbat sikhaane waale,
mohabbat ko badnaam kiya tumne.

maangi khusi to paaya ghum ki saugat

maangi khusi to paaya ghum ki saugat maine,
sinne me daffan kiye phir apne jazbaat maine,

mat puch meri aankho me subah ki laali ka sabab,
tujhe khabar nahi kis tarah guzaari hai raat maine,

aashmaan mera suna tha, aankho se girti bundein thi,
har saawan me hote dekhi aisi hi barsaat maine,

kabhi khud ke aanshu poche, kabhi khud ko gale lagaya,
kis kis tarah se samhaale hain apne halaat maine,

pyar ke badale hi to maanga tha yaar pyar tujhse,
maangi to nahi thi aakhir koi khairaat maine,

koi kya jaanega ki raaj aakhir tanhaa kyu hai,
har kisi se hi to chupayi rakhi hai ye baat maine...

A love story

ek ladke ki kahani dosto aaj main sunaunga,
badnaseebi kise kehte hai ye aapko bataunga,

sidha sadha tha wo ladka mohabbat se koso dur tha,
apni aap me hi aur baadsahon ki tarah masti me chhoor tha,

waqt bura aaya ke uss badnseeb ko ek ladki bha gayi,
tamam khushiya uski mohabbat kha gayi,

din raat uske hi khwabo me goom wo rahne laga,
aas-pardos, dost, samaaj.. pagal sab usse kahne laga,

ladki ko bhi us pagal ki mohabbat bha gayi,
kya pata tha khushiyo ki shakal me badkismati hai dono ki aa gayi,

iss baat ki bhnak ladki ke maa baap ko jab pata chali,
bahar aana jana band hua, ghar me hi jail ki tarah wo rahne lagi,

idhar wo ladka sab baato se anjan uske liye tha tadap raha,
shahar shahar, galiya galiya, uske liye saadhu ki tarah bhtak raha,

ladki ne dar ke mare usse apna pata bhi na bataya tha kabhi,
kabhi zaroort pard jayegi, is baat ka khyal ladke ke dimag me bhi na aaya tha kabhi,

waqt ke sath zakham bharte hain ye suna tha sabne,
magar ladke ka zakham dino din tha bardhne laga,

na bhookh lagti, na pyas lagti thi na soya hi jata tha,
uski judaai me ladka be-mout tha marne laga,

ishq ek aur maa ki godh suni kar gaya,
tadapte huye, uska naam rattate, ladka be-mout tha mar gaya,

ladki ko aaj bhi na usne kosa tha,
uski majboori hogi koi bas yahi dilme usne socha tha,

marne ke baad uske sath ek ajab khel hua,
jism milte hain zinda rah kar,
unki rooho ka mar kar mel hua,

mar kar bhi wo swarg ke darwaje pe khada uska intezar kerta raha,
kab aayegi mera dilruba issi baat ko soch kar wo marta raha,

upar pahuch ker ladki ke tab hosh udd gaye.
jitne bhi sahe the usne sab dukh uske dur ho gaye,

mohabbat ke itihas me shayad pahli baar tha ye,
ye jismon ka nahi, aatmao ka milan tha ye,

isliye kisi ne bahut khub kaha hai....

wo maut bardi suhani hogi jo aapke pyar me aani hogi,
wada hai aapse pehle hum jaayenge,
aapke swagat ki rashm waha bhi hum hi nibhayenge...


tere bagair kaise jiye jaa rahe hain hum

dil humse poochta hai kayi baar aye sanam, 
tere bagair kaise jiye jaa rahe hain hum?

hasrat ko humne roka, dil ko bada.. manaya, 
armaan ruk na paye, tera pyaar kheech laya, 

tere dil mein jaan banke rahenge teri kasam, 
tumse bichad ke hum yeh din kis tarah guzaare?

teri yaad ke bharose, tere pyaar ke sahare, 
kuch bhi kahe zamana, chahat na hogi kam,

hum bhi yeh soch kar hairaan hain sanam, 
tere bagair kaise jiye ja rahe hain hum? 

kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge

kab tak rahenge chup yuhi, kuch bhi na kahenge,
yuhi khamosh baith ek duje ko dekha karenge.

jhil-mil raat bhi sitaron ke aagosh mein chali,
kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge.

jo baat tere dil mein hai wahi iss dil mein dabi hai,
ab kab talak tannha hum yuhi aahein bharenge.

ikkrar teri aankhon mein hai izhar kyu nahi hota,
kab tak yuhi hum iss zalim jamane se darenge.

ab yeh mel bhi kaisa jo chand labzon ke nazar ho,
ab to nigahon mein hi har baat karenge.

tu bhi na kuch kehna mujhe, hum bhi na kahenge,
tere in kap-kapate lab ki hi bhasha hum sunenge.

gar izhar e muhabbat itna mushkil hai mere humdum,
bina izhar hi hum tujhe mohabbat bhi karenge.

kaash iss dil ki aawaz untak pahuch jaaye

kaash dil ki aawaz ka itna asar ho jaata,
kaash dil ki aawaz un tak pahuch jaata,

saari umar zindagi se door rahe,
teri khushi ke liye tujse door rahe,

aab tujhe hi meri yaad na aayi,
teri yaad mein nikal pare mere aanshu,
kitne zakhm sahe hain humne tere pyaar mein,

talash karo yeh mil jaaye koi mera jaisa,
zindagi ka har rukh badal denge hawa jaisa,
magar humari tarah tumhein kaun chahega?

dil ko hai tujhse na milne ka yakin,
tujhse milne ki dua apni jagah,
yeh kudha mujhe apne pyaar se mila de,
bas tujhe paane ki umeed liya karte hain.

jaane kaun

muunh ki baatein sune har koi,
dil kaa dard na jaane kaun,

aawaazon ke baazaaron mein,
khamoshi pehachaane kaun.

sadiyon sadiyon wahi tamaasha,
rasta da rasta lambi khaayi,

lekin jab hum mil jaate the,
kho jaata hai jaane kaun.

woh mera aainaa thi,
main uski parchhaai tha,

mere hi ghar mein rahti hai,
mujh jaisa hi jaane kaun.

kirat kirat halka saa suraj,
palak palak khulti nindein,

yun hi dil pighal raha hai,
zarraa-zarraa jaane kaun.

karke wada tera muker jana

kitna mushkil hai khud ko samjhana
ya apne aap ko samajh pana.

hadse ki tarah hi lagta hai
tootna dil ka ya fisal jana.

koi hairat nahi dastoor hai yeh
waqt ke sath mein badal jana.

yehi hai apne raaj ka gawah
dekh mujhko tera sambhal jana.

bayan karti hai teri bebashi ko
badalke karwatein simat jaana.

barda afsosh paida karta hai
jubaan se baat ka nikal jana.

monika.. kaise bhool sakta hoon
karke wada tera muker jana.

yon humein akela na kijiye

iss dil ka yoon imtihaan na lijiye,
humein yoon marne ka farmaan na dijiye,

iss zindagi ne bahot aajmaya hai,
yon humein akela na kijiye,

mushkilon se sambhala hai ye dil,
iske jeene ka sahara mat lijiye

yeh zeher pina barda aasaan hoga

aapse yoon door jana aasaan na hoga,
tumse nazare churana aasaan na hoga,

jo saath gujare the woh lamhe,
unka ehsaas kabhi kam na hoga,

inn aankhon mein se behti 
yaadon ka sailaab,
rok pana aasaan na hoga,

umar bhar saath chalne ka waada karke,
yoon ajnabi ban jana aasaan na hoga,

aye pyar teri khushi ke liye,
hass kar maut ko gale lagana aasaan na hoga,

par jo hai mujhe jaan se bhi pyara,
uske liye yeh zeher pina barda aasaan hoga.

tum bhi pagal hum bhi pagal

tum bhi pagal.. hum bhi pagal,
yeh jahan bhi pagal hai,
tere dil mein.. mere dil mein,
ek pyar ka sagar hai.

kuch baatein teri,
kuch baatein meri hain,
hum dono ki baataon mein bhi,
ek ajeeb paheli hai.

teri dhadkan mere dil se,
na jaane kya kehti hai,
aati jaati sanso se,
kuch kehti rehti hai.

sirf un ki baatoan se hi jab,
dil bekarar ho jaata hai,
milna bhi unka na jaane,
kya gazab kar jayega.

kuch intezaar tujh ko,
kuch intezaar mujh ko hai,
tere paas aa kar gale laga kar,
muskurana mujh ko hai

us bewafaa monika ko naa jaana

yaar ko naa jaana yaar ki yaari ko naa jaana,
dil diya par kambakht dildari ko naa jaana,

le gaya zindaagi un raahon par
jinki manzilon ko naa jaana,

pyaar mila par pyaar ki sacchayi ko naa jaana,
wafaa bhi ki par us bewafaa monika ko naa jaana

aaj phir barsaat ka bahana hai

aaj phir baarish ka bahana hai,
kisi ki yaad mein kho jane ka mausam hai,

aaj tamannaoon ko umardna hai,
aaj phir kisi ki yaad mein aanshuoon ko bahana hai,

jo saath bitaye the kabhi unke,
un palloon ko yaad karna hai,

hasste huye barsaat mein bheeg ke,
apne aanshuon ko chupana hai,

dil mein jo aag aap ke liye,
usse barsaat se bhujana hai,
aaj phir barsaat ka bahana hai.

halaat itne badal jayenge maloom na tha humko

choti si galat fehmi kardegi juda humko,
halaat itne badal jayenge, maloom na tha humko,
kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?

jise chaha pal bhar mein tord diya isko,
jo ek lamhein ke liye bhi door na hote the,
aaj le jana parda unhein judai ke ghum ko,

kabhi apne hi raste per bichaye the humne phool,
aaj kaante bichaye khud hi jagah di pathar ko,
ab to ek dard aur taklif rehti hai is dil mein,
koi to aaye... marham lagaye is zakhm ko..

kya mila humein barbaad karke

bahut roya hai dil unhein yaad karke,
kuch na mila rab se bhi fariyaad karke,
wo keh gayi main na dungi aapka saath,
koi puche unhein kya mila humein barbaad karke...

All Time's Favourite Posts