will never say goodbye

I may be far...

for a minute,  for a hour,
for a day, for a month,
but I will always be there for you.


I may not be able to say always
good morning, good evening, good night,

but I'll never say goodbye !

woh main nahi to kaun hai

le kar gaya dil jo tera, woh main nahi to kaun hai,
phir yaad kar kuch to bata, woh main nahi to 
kaun hai?

peecha kare har pal tera, chedha kare khawaabon mein bhi,
tujh ko sataye jo sada, woh main nahi to 
kaun hai?

kajra bana mera, gazra bana mera, kangan bana mera, payal bana mera,
kya kya bana tere liye woh, main nahi to 
kaun hai?

neendein churayi, magar hone na di tujhko khabar,
dil main tere aakar basa, woh main nahi to 
kaun hai?

shayar kahe duniya jise woh hai  jaan-e-jaana,
jis par huye tum bhi fida, sanam woh main to 
kaun hai?

saath mere gun-gunao to ek ghazal keh doon

tum paas aao to ek ghazal keh doon,
zara muskuraao 
to ek ghazal keh doon,

hai barson ki tamanna meri aye jaan,
saath gun-gunao 
to ek ghazal keh doon,

chale aao meri zindagi ki mehfil mein,
dil se dil milaao 
to ek ghazal keh doon,

chupaa lo mujh ko apni baahon mein,
gale se lagaao 
to ek ghazal keh doon,

mujhe chum lene do aankein tumhari,
palkein jhukao 
to ek ghazal keh doon,

taras rahein hain mere khwaab sabhi,
inhein tum sajaao 
to ek ghazal keh doon,

thaam lo haath mera umar bhar ke liye,
apna tum banaao 
to ek ghazal keh doon.

banke saanwali saloni dulhan meri, tum meri zindagi mein chali aana

banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana,
karna nigahon se waar mujhpe,
aur mere dil ki rag rag mein bas jaana.

na reh paunga main tujh binn ab,
ab bas tum hi ho meri jaan-e-jaana,
banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana.

na jaane kya hota khushi or kya gum hai,
jab se dekha hai tumhein,
dil bhi kehta bas tum or hum hain.

na ginta main ab gali,
bhool gaya ab sara gharaana.
bas yaad hai to teri mehek,
aur tera woh payaal chankana.

banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana.

karna shringaar kuch adaaon ke,
phook dena kuch saansein inn bejaan fizaon mein,
raat nahi to din kya hai,
tum bas meri shaam mein guzar jaana.

hoga jab dil yeh bechain mera,
tum apne pyar ke geet gungunana,
banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana.

I always forgive you

it’s impossible to find someone who will never hurt you,
so go for the one who is worth all the pain.

I wanna be the one thats make you smile,
not the one that you say isn't worth while.

its better to have lost a lover,
then to loved a looser.

no matter how many times you hurt me,
I always forgive you.

some call it stupid, but I call it love.
some times its takes being away from someone,
to realize how much you need them in your life. 

hamara pyar bhi ek din amar prem kehlayega

ek pyar hai mera jo mera suroor hai,
nashe mein uske yeh shayar aaj choor hai.

kahani na kehna isse dastaan mein likhna chahata hoon,
lage hain mele khushion ke to ghum aaj door hai.

ek pyar hai mera jo mera suroor hai,
aankhein jiski shabnami dil thoda masoom jaroor hai,

nahi samajhta iss be-dard duniya ko,
uske liye to yahan harr koi huzoor hai.
na samajh sahi par pyar hai mera jo mera suroor hai.

chahata hoon usse main kitna,
yeh khud pata lagana numumkin hai.
chand sa chamakta uska chehra,
to khawabon se bhara uska jehan
 hai.

tim-ti-mati chandani mein,
thandi hawa se uska lehrata aanchal,
saath hoti hai jab woh mere,
to hota mujhe bhi guroor hai.

haan chahana kisi ko koi gunha nahi,
ek pyar hai mera jo mera suroor hai.

maut bhi na kar payegi kabhi judaa humein,
dekhna dhoondke milayegi harr raah humein,

koi to hamari chahat ki bhi kabr ko sajayega,
kehlayegi yeh dastaan bhi sacchi aashiqui ki,
hamara pyar bhi ek din amar prem kehlayega.

us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhe raat bhar sote huye dekhta raha,

dekhta raha ki tum neend mein
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ki paseene ki
jhunjhulaahat mein kitna chatpataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein
khalal naa pard jaaye tumhare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaz se bhi
tum aksar jaag jaati ho,

us raat main so naa paaya,
pehron tumhe dekhte jo rehna tha,

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ki tumhe chhu kar dekhoon,

kayi baar haath bardhaaya par tumhe chhu naa paya,
tumhaare uthte-girte se badan par,
main tumhaari saansein ginta raha,

tumne to anjaane mein hi sahi,
haath rakh diya mere seene par,

lekin main chaahkar bhi,
tumhaari dhardkane naa sun paaya,

raatbhar tumhaari saansien,
mere jism se takraati rahi,

raat bhar tumhari yeh nazdikiyaan,
lekin ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhara woh dupatta bhi,
tumhare badan se sarak jaata tha,

khidaki se jhaankta woh chaand bhi shaayad
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein
or kabhi woh baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main tumhare kareeb aata hoon,
tumhe kuch simta or sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum jaan ho iss raaj ki,
tumhaari nazdikiyon mein,
main aksar paap rahit ho jaata hoon.


aa tujhe hum aisi jagah le chale

kaisi hain yeh dooriyan,
kaise hain yeh faasle,
mita de inhein aur lag jaa gale,

mehsoos kar sakein hum teri saanson ki garmi,
aa tujhe hum aisi jagah le chale,

jahan hont se hont mila lein hum,
ek dusre mein samma jayein hum,

kareeb hon itne ki ek ho jaayein,
ke phir na ho koi doori na faasle,
aa tujhe hum aisi jagah le chale.


All Time's Favourite Posts