woh pyaar nahi ek dhokha tha

dil dukhta hai jab sochta hun,
woh pyaar nahi ek dhokha tha,

dil rota hai jab yeh sochta hun,
woh baatein sab dikhawa tha,

aanshoon behta hai jab sochta hun,
woh sapne bas ek chlaawa tha,

dil mein aisi tiis utti hai,
khud se hi ghrinaa hota hai,

dil ko nikaal fenkoon jee chahata hai,
jisme woh hamesha rehti hai.

tumhein aadat si pard gayi hai humko tardpane ki

tumhari rah takte takte ,
naina bhi thak gaye.

ab bhi hai zara si umeed inhe tumhare aane ki,
aa kar humari zindagi mein,
inhein thandak pahunchane ki,

ab to yeh bhi kehne lage hain logg,
tumhein to aadat si pard gayi hai,
humko tardpane ki.

aakar meri baahon mein apne pyaar ka uphaar de

bechain hoon main kab se,
ab mujh ko chain dila de.

aye mere dil-a-nashi tu,
ek bar apna chehra dikha de.

khayalon mein hoon kab se main,
ab aur naa mujh ko tu intezaar de.

aakar meri baahon mein tu,
apne pyaar ka uphaar de.

main chahunga tujhe jab tak hai zindagi,
agar naa hai bharosa mujh par
to mere pyaar ka intehan le.

pyaar ke siwa kuch nahi mere pass,
sirf hai yeh zindagi..
agar chahe to tu ishe bhi baar-baar le.

aakar meri baahon mein tu
apne pyaar ka uphaar de. 

ek khwahish hai

ek khwahish hai, jhalak mil jaye us chehre ki,
ki is deedaar ke baad koi tamanna na rahe,

ek khwahish hai, us dil tak pohoche yeh sadaayein,
ki do dilon ki dhardkano mein koi doori na rahe,

ek khwahish hai, rishta juyd jaye us naam se,
ki phir juda rehne ki koi majboori na rahe,

ek khwahish hai, woh pyar mile unse,
ki is dil ki koi aur aarzoo na rahe,

ek khwahish hai, woh haath thaam le is tarah,
ki phir is dil ki koi kamzori na rahe,

ek khwahish hai, tanhai mein uska saath mile,
ki phir kisi mehfil ki zaroorat na rahe,

ek khwahish hai, maut aa jaye unki baahon mein,
ki phir zindagi se koi shikayat na rahe.

pata na tha tanhai ka aalam aise aayega

raahon mein aaj akele na hote,
agar mulakaat na hoti aapse.
kya bataye aapko tanhai ka dard,
hum to nafrat karne lage apne aapse.

socha tha hawaon ka kaam hai rukh badalna,
pata na tha insaan bhi badal jaate hain.
achanak khushiyon ki duniya mein
gum ke baadal chaa jaate hain.

wada tha roshni ki tarah hamesha saath rehne ka,
pata na tha tanhai ka aalam aise aayega.
woh nayi subah laaye the zindagi mein,
pata na tha itni jaldi din dhal jayega.

toot gaya mulakaton ka silsila

toot gaya mulakaton ka silsila,
par rishta dil ka toota nahi,

tanha hain hum raahon mein,
par tere khayalon ka saath choota nahi,

na toot sakega bandhan humara,
har dard sehkar tha isko sawara,

bhale hi mit jaye hum is duniya se,
zinda rahega sada pyaar hamara.

pyaar ne sirf aanshu to na diye

pyaar ne sirf aanshu to na diye
pyaar ne wo pyaar bhare lamhein
bhi diye the jinhe tum bhool rahe ho.

pyaar ne wo muskaan bhi di thi
jise tum bhool rahe ho.

pyaar ne woh khusnumah ehsaas bhi
diya tha jise tum bhool rahe ho,
pyaar ne sirf aanshu to na diye.

maana pyaar ne gum diya,
ek baar diya phir lagaatar diya,
har baar diya behisaab diya,
par kya wo bhi pyaar ki saugaat nahi?

pyaar ne jab khushi di to muskuraate hue le li,
ab thodi udaasi aayi to ghabraate kyun ho,

pyaar to mausam ki tarah rang badalta hai,
kal phir se bahaar jarur aayegi,

tum himmat mat haaro yun roote kyun ho,
muskuraao ki abhi to jeevan baaki hai,

muskuraao ki abhi to zindagi baaki hai,
muskuraao na jaane kise,
muskaan de jaaye tumhari muskaan..

abhi nahi hai waqt tumhein humse milne ke liye

jab hum tumse kahi door chale jaayenge,
wada hai ki tumhein bohut yaad aayenge,

abhi nahi hai waqt tumhein humse milne ke liye,
tab tumhein saare bite pal yaad aayenge,

karogi dua khuda se ek mulakat ke liye bhi,
par tab tak hum bohut door chale jaayenge,

meri har arzoo jo hoti hai tumse puri,
bas unhi yaadon ke pal saath reh jaayenge,

abhi hai pal to jee lo kuch pal bhi saath mere,
jab chale jaayenge hum to tardapte hi reh jaayenge,

doge aawaz kabhi to hum na laut paayenge,
shayad tab tak hamare laut aane ke har raaste band ho jaayenge,

karta hai gujarish aaj “raaj”, 
na hone do mujhe apne se juda,
jo gaye bichad tumse ek baar to, phir kabhi na hum mil paayenge. 

tuta hua khwaab hoon main mujhe bhool jana tum

dard bhara nagma hoon mujhe na gungunana tum,
tuta hua khwaab hoon main mujhe bhool jana tum,

dard ki manind mujhe dil mein chhupa lena tum,
aanshuon ki tarha mujhe aankh se na bahana tum,

yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,
bhool kar bhi in par na marham lagana tum,

jab kabhi tum tannha ho aur meri yaad statyi ho,
bewaffa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum,

mera kya hai ek roz jahan se ruksat ho jaounga,
mere baad na aankhon se moti bahana tum,

tere bina jinda laash hoon, mujhe koi ehsaas nahi,
chhukar mere jism ko koi nayi aas na jagana tum,

jo khushi sapne aur umeedein di thi tum ne,
kasam tumhe unki unko bhi saath lejana tum,

tere ghar ke deepak mein jal raha hai mera wajood,
bhool ke bhi na samjhna mujhe begana tum,

raaj ek kanto bhare gulaab ke siva kuch bhi nahi
usse bhool kar bhi seene se na lagana tum.

All Time's Favourite Posts