humein pyaar paraya nahi chaahiye

umar bhar ka sahara bano to bano,
do pal ka sahara nahi chaahiye,
tum pyaar humara bano to bano,
humein pyaar paraya nahi chaahiye.

humne tumko maanga tha rab se,
par naa rab ko yeh manjoor hua,
rab ne sooni ki hai jo yeh zindaagi,
khishoyon ka nazara nahi chaahiye.

kya karenge hum tumne socha nahi,
haath thaam kisi kaa tum chal diye,
ab kahte ho tum, ki mera saath do,
humein saath tumhara nahi chaahiye.

dil to kahta hai ki hum tera saath de,
par mujhko yeh ab manjoor nahi,
jab tum hi bane naa sahara mera,
humein kisi ka bhi sahara nahi chaahiye.

umar bhar ka sahara bano to bano,
do pal ka sahara nahi chaahiye,
tum piyar humara bano to bano,
humein pyaar paraya nahi chaahiye. 

monika... I will always love you

she is going away
please tell her to stay,

tell her to stay until
I gain the power and will,

to say I love you dear,
and now it’s hard to bear,

it’ s hard to bear the pain
why it is there, I can’t explain.

now when you are  going away
I just wanna say...

whereever you go, watever you do,
monika... I will always love you.

mujhe kuch waqt do monika

tum mere darwaaje par dastak naa diya karo,
main apne khwaabon se ubar nahi paata,

main kho gaya hoon kisi or hi duniya mein,
tumhare laakh jagaane se uth nahi paata,

tumhare phone ke massege bhi milte hain magar,
main unke jawaab mein kuch bhi likh nahi paata,

kuch iss kadar se bard gayi hai tannhai meri,
ke mujhe mere siva kuch nazar nahi aata,

ho sake to mujhe waqt do sambhalne ka,
mujh mein kuch kam hai hausla badalne ka,

main apne aap se mil loon to tum ko dhondunga,
main ek umr se khudko hi sunn nahi paata,

meri is berukhi ko samjho monika,
mujhe kuch waqt do,
bhool paau main un kadavi baaton ko.

paas aaon ke seeno ke kuch zakhm to bhar jaaye

simti huyi yeh ghadiya phir se naa bikhar jaaye,
iss raat mein jee lein hum, iss raat mein maar jaaye,

ab subha naa aa paaye, aaon yeh duwa mange,
iss raat ke har pal se raatein hi ubhar jaaye,

duniya ki nigahe ab hum tak na pahunch paaye,
taaron mein basi chal kar, dharti mein utar jaaye,

haalat ke teeron se chhalni hai badan aapne,
paas aaon ke seeno ke kuch zakhm to bhar jaaye,

aagein bhi andhera hai, peechhe bhi andhera hai,
aapni hai wohi saanse,  jo saath guzar jaaye,

bichhri huyi ruhon ka yeh mel suhana hai,
iss mel ka kuch ehsaan, jismon pe bhi kar jaaye,

taarsein huye jaazbon ko ab aur naa taarsao,
tum sine pe sar rakh do, aur bahon mein mere tu bhar jaaye. 

haa ab jeene ko man nahi karta

aaj phir maan udaas hai,
ab jeene ko man nahi karta,
tu paas hai phirbhi,
yeh kaisa ahesaas hai?

jo jatata hai ki tu meri nahi hai,
aur bas iss ek ahesaas ne,
mera jeena dushwaar kar diya hai.

aaj tak tere hi dum par saans leta tha,
tujh se hi to meri subah thi,
aur tere saaye mein hi to
meri shaam machalti thi.

ab raat katati hai taare gin ginkar,
sooni hai sadak meri zindagi ki,
aur aane wala bhi nahi koi shayed,
haa ab jeene ko man nahi karta.

unhi ka kaam tha, unki marji pe chhord diya

saza pe chhord diya, pratifal pe chhord diya,
har ek kam hum ne, khuda pe chhord diya,

woh hum ko yaad rakhe ya bhula de,
unhi ka kaam tha, unki marji pe chhord diya,

unki marzi bujha de ya phir jalaye rakhe,
chiragh hum ne jala kar, hawa pe chhord diya,

unse gar baat bhi karte, to kis tarhan karte,
yeh masla dua ka tha, dua pe chhord diya,

iss liye to woh kehte hain bewafa hum ko,
ke hum ne sara jamana, wafa pe chhord diya.

All Time's Favourite Posts