jahan bhi dekha bas tujhe hi paya

jahan bhi dekha bas tujhe hi paya,
tere chehare se jada aur kuch bhi naa mujhe bhaya.

bachon ki muskaan mein,
phoolon ki sughand mein,

hawa ki thandak mein,
barish ki boond mein,
jahan bhi dekha bas tujhe hi paya.

kushi ke har roop mein,
hasne mein, rone mein,
milne mein, bichardne mein,
rahat mein, tardappne mein,
roothne mein, mannane mein,
jahan bhi dekha bas tujhe hi paya.

chidiyon ki cha chahat mein,
chuddiyon ki khan khnahat mein,
bansoori ki guunjh mein,
dholki ki taal mein, morni ki chal mein,
hirni ki aankh mein, mandir ke shankh mein, 
jahan bhi dekha bas tujhe hi paya.

ghass pe pardi oss mein,
aankhon se bahte aansho mein,
rangoli ke rangon mein,
veena ki tarangon mein,
jahan bhi dekha bas tujhe hi paya.

woh purani yaadon mein,
jawani ki baharon mein,
bachpan ki zidd mein,
loggon ki purani ritti mein,
jahan bhi dekha bas tujhe hi paya.

din mein, raat mein,
subha mein, shamm mein,
ujalon mein, andheron mein,
mohabbat bhare khayalon mein,
jahan bhi dekha bas tujhe hi paya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts