humara haath kabhi naa chordna monika

aaj pehli baar humari aankhoon mein tumhara sapna hai,
aaj pehli baar dil ne sahi mayino mein dhardkana shuru kiya hai,

aaj pehli baar pawan hawa ne hume tumhara paigam bheja hai,
aaj pehli baar humne tumhara sparsh mehsoos kiya hai,

aaj pehli baar hume ehsaas hua ki tumhe pana kitna kathin hai,
kyon hum ek doosre ke kareeb nahi ho sakte hain,
kyon hume ek doosre ki judaai mein tardapna pard raha hai?

aaj pehli baar ehsaas hua
chahe tan se ek doosre ke saath naa ho
par mann to humesha tumhare sang rahenge,

ab bas ek hi waada chahte hain tumse
humara haath kabhi naa chordna monika,
hume apne se juda kabhi naa karna …

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts