Showing posts with label barish. Show all posts
Showing posts with label barish. Show all posts

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga,
mera darwaaza havaaon ne hilaaya hoga.

dil-e-naadaan na dhadak, aye dil-e-naadaan na dhadak,
koi khhat leke padosi ke ghar aaya hoga.

gul se lippti huyi titali ko giraakar dekho,
andhiyon tum ne sukhi drakhton ko giraaya hoga.

‘raaj’ pardesh mein mat yaad karo apana makaan,
ab ke baarish mein usse tord giraaya hoga.

jo aisa na ho to kya hoga

unke deedar pe bhi jo barsaat na huyi, to kya hoga,
lab khamosh par ankhon se baat na huyi, to kya hoga.

cham-chamate hue sitaare, khushnuma chaand,
rehmatein falak ki hamare saath na huyi, to kya hoga.

sandali saansein, makhmali farsh, narm hawayein,
aise mehekte phoolon ki saugaat na huyi, to kya hoga.

kalaayiyon ka thar-tharaana, palkon ka jhukana,
khwahishon se jo sharm ki maat na huyi, to kya hoga.

sab khwaab hain, sab hasratein hain, saare khayaal 
jo kabhi aisi haseen raat na huyi, to kya hoga.

roz hi jaagte hain jeetne ki khawayish le kar

gumsum ho jaate hain, baadal roz garaz kar,
hum bhi so jaate hain, unki ek jhalak ko taras kar, 

woh kisi aur ke mehboob hain log kahte hain,
lahoo se naam likh, hum mohabbat parakhte hain, 

roz hi jaagte hain, jeetne ki khawayish le kar,
aur roz soo jaate hain, apni kismat se haar kar.

aaakhir yeh kya maazra hai, main samajh naa paata hoon

woh jo aasmaan se barasta hai, 
woh baadal to samajh aata hai, 

woh jo boondon ko tarasta hai, 
woh paagal bhi samajh aata hai, 

par imtehaan tera ho, 
aur neendein meri raaton ki urd jaaye, 

aaakhir yeh kya maazra hai, 
main samajh naa paata hoon.

ghanan-ghanan badra barso to zara

badalon ka chupke se aana, 
badalon ka chupke se jana, 
dharti yeh pyaasi tarase, 
barse se yeh kyu naa barse, 
ghanan-ghanan badra barso to zara. 

ho bundon ke ghungru bandhe aaja re sawan, 

malhaar gaaye, koyal nache morr ban ban, 
cham-cham se aana, madhuban mehakana, 
rut ke mukhde se ghunghat sarkana, 
jhan-jhan va badra barso to zara. 

sun aye pawan tu, hai bada be-dardi, 

kahe naa laaye badra, kyu der kar di, 
zara pyaar se jaao, badal ko bulao, 
badal se kehna, aise naa satao, 
papihe ki pihu-pihu gunje to zara. 

badalon ka chupke se aana, 

badalon ka chupke se jana, 
dharti yeh pyaasi tarase, 
barse se yeh kyu naa barse, 
ghan-ghan va badra barso to zara.

aaj phir barsaat ne chingari ko sulga diya

aaj phir barsaat ne chingari ko sulga diya, 
phir teri yaad ne aankhon ko rula diya, 

phir baadlon mein tera chahra nazar aa gaya, 

yaad ki boondon ne mann ki mitti ko mehka diya, 

aaj phir kuch iss tarah boondon ne mujh ko choo liya, 

teri khushboo se mere jism ko mehka diya, 

aaj kuch iss tarah hawa ne aalam kar diya, 

mujh ko zamane mein begaana bana diya, 

aaj phir baadlon ne shor macha diya, 

door kisi ki yaadon ne mujhe apna bana liya. 

jurm itna hai ke sirf unhein chaha

jaate lamhon ko rokna chaaha
phir tera haal puchhna chaaha.

wafa manga tha wafa ke badle,
sochta hoon yeh maine kya chaaha.

barish -e- khayalon mein
ek murakh ne bheegna chaha.

kitni umeedein, kitni hasratein hain,
humne tujhe kya na dilana chaaha.

main tere jaise naamwar to nahi,
par tujhko chaaha to kya bura chaaha?

bichhard ke tujhse agar jee na saka,
marna chaaha to kya bura chaaha?

nakami jawan kholne nahi deti,
kya bataun ke maine kya chaaha.

saza yeh hai ke umra bhar tardpoon,
jurm itna hai ke humne sirf unhein chaha.

ek talaash hai mujhko

talaash hai mujhko ek majhi ki raah mein,
mohabbat ki baah mein, khushiyon ke aah mein,

talaash hai mujhko haste chehro ko jamane mein,
sacchai ke dostane mein, mehfil ke veerane mein,

talaash hai mujhko jo dhardkan ko pahchaan le,
har haal dil ka jaan le, aanshu barsat mein pachaan le,

talaash hai mujhko jo puchun khuda se,
kitno ka aanshu gira hoga yaha jo samunder bhi namkeen ho gaya.

main hoon.. dard hai.. aur tannhaai ko gale laga raha hoon

jalte hue dil ki aag ko kuch yun bujha raha hoon,
ki tere diye ashuon ke jaam bana bana ke pee raha hoon.

har taraf faila hai andhera in judaai ke baadalon se,
aur aise mein teri yaadon ke deep jala raha hoon.

aaj bhi yaad hai humein tera woh baarish mein bheegna,
bas yahi soch kar aaj barsaat ka lutf uthha raha hoon.

darta hoon yun to main bhi.. koi dekh na le aankhon ki nami,
isiliye barasti huyi bundo ke saath aanshu baha raha hoon.

tere baghair mumkin nahin yun to zindagi ko guzaar pana,
bas tujhse jo kiya tha kabhi woh waada nibha raha hoon.

jaanta hoon ab chalna hoga mujhe tannha hi iss safar mein,
bas main hoon.. dard hai.. aur tannhaai ko gale laga raha hoon.

phir huyi woh baris pahle wali

phir huyi woh baris pahle wali,
phir barsa wahi pani,
phir bhiga main us pani mein,
magar iss bar main akela tha...

magar iss bar main akela tha,
kyonki nahi the tum mere saath,
aur na hi thi tumhari koi yaad,


phir kaise huyi woh baris pahle wali,
phir kaise barsa wahi pani?

jo hoti woh baris pahle wali,
jo barsta wahi pani,
to bheengati tum bhi mere saath,


magar iss baar main akela tha,
magar iss baar main akela tha... 

ab sirf tum hi yaad aate ho

rimjhim si sawan mein, 
barish ki sargam mein,

yeh thandi aur mast hawaein, 
dhara aur bundon ke sangam mein,

pagal mann ko kyon tarsate ho, 
ab sirf tum hi yaad aate ho. 

inn mast sanson ki lay se, 
tann mann aur hariday se,
mera rom-rom tujhe pukare, 

apne prem ki say se,
chup ke aankhon se kya jatate ho, 
ab sirf tum hi yaad aate ho.

mere hariday pe mera hi adhikar naa raha, 
hamare prem ke aage sansaar naa raha,

kya kahun apne hriday ki kamana, 
tujhe chhord ke khud se bhi pyar naa raha,

adharon par pida ki chap ka anubhav dilate ho, 
ab sirf tum hi yaad aate ho.

All Time's Favourite Posts