kash koi ho aisa jo mujhse bhi pyar kare

kash koi to ho aissa jo mujhse baat kare,
mere dard ko samjhe, mujhko appna kahe,

koi to ho apna jo millo sath chale,
mere zakhmi dil par pyar ki dawa kare,

koi to ho apna jo mujhe laga le gale,
meri viraan zindagi mein mohabbat ki barish kare,

koi to ho aissa jo mere dard ko apna le,
mujh se bhi pyar kare,


kash koi to ho aissa jo mujh se baat kare.

jane kyu tu lagti ab bhi paraya nahi hai

bhoola to sakta tha par bhulaya nahi hai,
ye dil kisi aur se lagaya nahi hai,

dooriyan jismo mein hi mumkin hain, dilon mein nahi,
iss khayal ko zehan se mitaya nahi hai,.

jis dil me bas gayi thi teri aankhein,
us dil me kisi aur ka chehara basaya nahi hai,

pata hai mujhe tardap uthti ho tum meri khamoshi se,
isiliye apne dil ko maine rulaya nahi hai,

meri aahat tum tak nahi pahuchti shayad,
iss ehsaas se khud ko sataya nahi hai,

gumaan hota tha mere hasste dil se tere aane ka,
isiliye roothe huye apne dil ko manaya nahi hai,

ajnabiyon sa bartaw karne lage ho humse,
par jane kyu tu lagti ab bhi paraya nahi hai,

aaj bhi ummeed hai tere laut aane ki,
tabhi to kafan khud ka mangaya nahi hai.

muft mein hum ho gaye badnaam bhi

aap ki duniya humare naam thi,
aap ke bin zindagi kis kaam ki,

aap ne hum se saare naate tord kar,
ghair se rashm-aye-mohabbat aam ki,

umar bhar ke rishte rahi jo aap se,
ek pal mein aapne doosre ke naam ki,

zindagi bekaar ho ke reh gayi,
saans chalti hai aaj bhi aapke hi naam ki

khud se baiygana banaya aap ne,
dar raha na khuda  na ram ki,

ab to bus ek maut ki hai aarzoo,
aish na daulat ki na araam ki,

jaane kitne kar liye hum ne gunah
umr kaati hai umeed or ilzaam ki,

ab to maine sabhi kuch kho diya,
muft mein hum ho gaye badnaam bhi.


yeh to sabke sath hota hai

kabhi kabhi is duniya mein aaisa bhi hota hai,
chehara to hassta hai magar dil rota hai,

woh to baithe haih chain se unhein kya khabar,
unki yaad mein koi badnaseeb kitna rota hai,

jitne deewane mile sab yehi kehte haih,
tum hi kyon udaas ho yeh to sabke sath hota hai.

main hoon aur meri tannhai hai

phir main hoon aur meri tannhai hai,
yeh kaun hai jisne aaj phir,
teri yaadon ki shamaa jalayi hai,


jab shaam ke saaye bardhne lagte hain,
kuch aajeeb se hum bikherne lagte hain,

kabhi tere hathoon ki sersarahat mere hothon par,
kabhi tere sar ka ehsas mere kandhoon per,

kabhi tumhari behakti taazi sansein,
mil jaati hain meri saansoon mein,
kabhi tumhare badan ki khushboo,
sama jaati hai meri saansoon mein,

yeh kis ehsaas mein kho jata hoon,
yeh kis khayal mein gumm ho jata hoon,

kabhi tumhare khanakte paayel,
goonjti hain mere kanon mein,
kabhi tumhare aanhsuon ki nami,
mehsoos hooti hai mere galon mein,

sharma ker yun kabhi mujhko,
jhuki palkkon se dekhna tera,
aur achanak hath pakad ker,
ghabra ker bahon mein sametna tera,

phir tere badan ki khushboo,
aur sansoon ki garmahat mein,
tere khawaabon mein kho jata hoon,
issi kash-m-kash mein kuch der so jata hoon,

ekayek tere hathoon ke sparsh se uth jata hoon,
aur phir main hoon aur meri tanhayi hai,
yeh kaun hai jisne aaj phir,
teri yaadon ki shamaa jalayi hai.

palko pe sapne bichaaye rakhte hain

dil ke jharoko mein kahi,
teri yaado ka diya jalaye rakhte hain,
karta hai dil tujhe yaad jab bhi,
palko pe sapne bichaaye rakhte hain,

inn sapno mein hoti ho tum mere paas,
teri muskurahat se hua hota roshan mera jaha,
phir jagi hoti hai dil mein wahi aas,
kash ki hoti tum mere paas.

behti hoti hai ashko ki ek dhaara,
jaa rahi hoti ho jab tum door humse,
chut raha hota hai haato se haat tera,
chha raha hota hai har taraf gam ka andhera,

jaagte hain hum phir iss sapne se,
labbo pe tera hi naam liye,
karte hai phir fariyaada us rab se,
iss duniya mein na sahi, 
upar to mila de humein...

dard aanshu tanhaai aur main

dard samata gaya mere naso me,
ek nashe ki tarah,
uske aadi hum ho gaye,
ab sharabi ki tarah,

dard se kiya wada,
tujhe pas na bulaayenge,
mukurati aati hai roz,
mere mehboob ki tarah,

dard ki himmakat ki,
mere dil par kabja ker liya,
aanshu, gam, tanhaai sab,
sath aate hain doston ki tarah,

dard ko samjhaaya,
chord de mujhe khusiyan paane ko,
usne bhi mujhko samjhaaya, 
ek sacche dost ki tarah..

koi na apnayega,
jitna pyar humne kiya,
koi na ker paayega,

baat na humnein maani aur,
nikal parda ek aawarah ki tarah,

paani chaahi khusiyan,
to sirf sauda hi sauda mile,
hum bhi bikate chale gaye, 
bemol samaan ki tarah,

aakhir jab bikke to,
dard ke hi haathon aa gaye,
dard tardap ker ro pardi, 
mere mehboob ki tarah,

sukkun hai dard ki baahon me,
beshak aanshu, gam, tanhaai sath hai iske,
dard ke aagosh me hum bhi samma gaye,
sagar me lehron ki tarah,

dard aanshu tanhaai aur main,
hum sab sath rahte hain,
atut pyar hai hum sab me,
ek pariwaar ke tarah.

chup thi jubaan par kehti meri nazar thi

tujhe iss baat ki kuch na fikar thi,
tujhe haalat ki kuch na khabar thi,
tujhe main kya aur kaise batata,
chup thi jubaan par kehti nazar thi,

khaamosh hoke bhi maine kaha tha,
tune sunna na to isme mera khata kya,
teri berukhi se kya gujari hai mere dil pe,
aye bekhabar ye tujh ko pata kya,
waha maine apni pallkein bicha di,
jis raah se teri raah guzar thi,


jhaaka na meri aankhon me tunne,
waha mere dil ke raaz chippe the,
khaamosh mere hoton ko pardte,
kuch unkahe allfaaz chupe the,
kaise ye tera mera saath chutta,
jab ek hi manzil ek dagar thi,

ek pal bhi tujhe bhool na paaya,
har aur bas teri yaadon ka shaaya,
bechaineyon me nind bhi aayi,
to teri yaadon ki aahat ne jagaya,
har aur hai mehfillo ka daur lekin,
tannhai mere dil me shamo subah thi.

aakhir kyun...??

woh waqt woh lammhein,
hamein kyon yaad aate hain,
jo muthi mein band rait ki tarah,
phisalte huye peecche reh gaye hain.

woh chehare, woh log,
hamari aankhon mein,
kyon samatein hain,
jo ab hamare liye nahi aur,
hum unke liye nahi hain,

lekin aksar humare bus mein kuch bhi nahi hota,
hum jinke bare mein sochna nahi chahate, janna nahi chahate,
woh hamare khayalon ki dehliz per aa kharde hote hain,
hum jinhein yaad nahi kerna chahate,
woh dil ke kisi na kisi kone mein moujud hote hain,

lekin shayed insaan ke bus main kuch bhi nahi,
na jeenaa apne khatir na merna,
to phir dil aur dimag aisi khawahis ko,
aisi tamannao ko jagah hi kyon dete hain.
aakhir kyun...??

sirf itna yaad rakhna

utha ke haath khuda se bas maanga yahi dua,
naseeb ho khushiyan tumhein, tum khush raho sada,
tum ko rahat mile,  tum ko chahat mile,
tumhein saare jahan ki mohabbat mile,

jahan mein sab se ho acha tumhara naseeb,
koi dukh kabhi bhi na aaye itne kareeb,
dil ki har aarzooo poori khuda kare,
tumhein chahane walon se kabhi bhi na juda kare,
mil jaye tum ko mere bhi naseeb ki khushiya,


kiya hai tumne hum se ek waada yaad rakhna,
bhool na jana kahi apna iraada yaad rakhna,
ab na humein rulaana tum,  ab na door jana tum,
pehle hi seh chuke hain dukh itna jaada yaad rakhna,

dil to na dukhaoge, mujhe chord to na jaoge,
dil mein hi basse ho, tum ab isse abaad rakhna,
tum jo chord jaoge, hum to mar hi jayenge,
tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

tujhe mere dil ne pukara

jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara,
mujhe kuch samajh mein nahi ayaa,
ke tu chand thi yaa thi sitara,
mere aankhein thi ya mere aankhon ta tara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara,

sara jahan mein na hoga koi pyara,
bas tum hi ho mere iss jahan mein,
jhuthe log or jhutha ye jahan sara,
kehte hain tu na milegi mujhe dubara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara

roo roo ke keh raha tha dil bechara,
tum hi to ho mare jeene ka sahara,
tum bin na hoga ab zindagi ka guzara,
ab to aaja mere zindagi mein dubara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara,

main to hoon nadan,
kehta hai ye jahan sara,
hoga na koi tum sa pyara,
tum hi ho mere iss jahan mein pyara,
tujhe mere dil ne pukara,
jab tumhari yaad aayi to dil ne pukara.

tumhein tum se jada chaha

humne kab tum se mulakat ka wada chaha,
door reh kar bhi tumhein tum se jada chaha,
bari shiddat se yaad aaye tum,
jab bhi tumhein bhoolne ka irada chaha.

bas zara si raakh rakh li tujhe dikhane ke liye

humne dil tumko diya tha,
aazmaane ke liye,
aarzoo karne laga dil,
paas aane ke liye,

mere dil mein tu hi tu hai,
tere dil mein hain hazaron,
hum sanam tere liye aur,
tu zamaane ke liye,

phoonk daala un nishaaniyon ko,
jo kabhi tune diye,
bas zara si raakh rakh li,
tujhe dikhane ke liye,

jana hai to jaaiye,
murd ke phir na dekhiye,
dhoondh lenge hum kisi ko,
dil lagane ke liye..

uss rishte ki kya naam de

karne ko to saari zindagi intezaar kar lenge,
par unke lautne ki umeed to ho,
pyaar to unka hum pehle se hi kho chuke,
nafrat ke sahare hi sahi, 

hum unke yaadon me to ho,

us aarzu ko kya naam de,
jo har pal unko hi dekhna chahati ho,
us chaahat ko kya naam de,
jo har pal unka saath chahati ho,

aarzu aur chaahat to pyaar me hoti hai,
lekin uss rishte ki kya naam de,
jo unki nafrat me bhi pyaar dhundhti ho.

With these memories I keep her

With these eyes I see her,
With these hands I feel her,
With these looks I give her,
With these pictures I save her.

With these lips I kiss her,
With these fingers I touch her,
With these words I speak to her,
With these ears I hear her.

With these feet I walk to her,
With these feelings I show her,
With these conversations I know her,
With these tears I miss her.

With these vows I promise her,
With these holds I love her,
With these emotions I long for her,
With these dreams I tell her.
With these memories I keep her

God Almighty

Tiny drops of water make the stream flow,
Efforts and achievements make our dreams glow.

Little rays of light make our world so bright,
Light flames of fire make your hopes so high,

Few words of anger might make a person fight,
Few words of kindness might make a person light,

Then why not serve the suffering humanity,
To obtain the love and blessings of God Almighty.!!

yun hi jalkar teri duniya ko roshan kar raha hoon

jaise diya jal kar bhi roshni deta hai,
yun hi jalkar teri duniya ko roshan kar raha hoon.

iss hadh tak bardh gayi hai deewangi meri,
tujhe kho kar bhi paane ki umeed kar raha hoon.

ret pe mohabbat tera naam likha hoon

tere aane ki ummid me aaj phir ek paigam likha hoon,
ashko ki sihayi se tujhe salam likha hoon,
adhure se in khawaabo me rutha hua tera naam likha hoon,

aaj bhi tere intezaar me raah udaas huyi hai,
tere na aane ka dard ubhara jo iss dil me,

kuch soch ye aakhiri kalaam likha hoon,

tu kar apni khushiyo ki mehfile aabad,
meri duaao ne ebadat me subho-sham likha hoon,

tu ab na kabhi aayegi ye maloom na tha,
shayad kismat ne meri umeedo ka yahi aanjaam likha hai,

beh rahi hai lahar dhadkano ki dhire dhire,
ussi ret pe mohabbat tera naam likha hoon,
tere aane ki ummid me aaj phir ek paigam likaha hoon.

kya aapko yeh maloom nahi

hum mohabbat aapse karte hain jiska koi hisaab nahi,
par ab aapko paaye yeh hamara khwab nahi,
door rah ke bhi diloon se chahat kam hoti nahi,
faasle juda karde yeh faaslon mein dum nahi,

yaad har pal aapki aati hai kya aapko yeh maloom nahi,
door rah ke bhi kya aapka hamsafar main nahi,
yaad aapko kare bina raaton mein hum bhi sote nahi,
khawaab aaye unke liye hum palkon ke mohtaaz nahi.

tum bin...

tum bin yeh dil tannha hai,
tum bin har saaz adhura hai,

tum bin armaan dil mein dafan hai,
tum bin aankhein namm hai,

tum bin dil mein koi jazbaat nahi,
tum bin har sukh raas na aaye,

tum bin har shabd unkahe hain,
tum bin dhadkan tham jaati hai,

tum bin yeh zindagi niras si hai,
tum bin hassi bhi udaas hai,

aise na jaaya karo humein akela karke,
tum bin humein chain kaha

sirf tujhse mohabbat karta hoon

haan main aisa mohabbat karta hoon,
har lamha tujhe hi sochta hoon,

haan woh chahat rakhta hoon,
door hoke bhi tere dil mein dhadakta hoon,


haan main aisa mohabbat karta hoon,
tere naam ka hi mala ferta hoon,

haan main aisa mohabbat karta hoon,
band aankhon se bhi tera deedar karta hoon,

haan main aisa mohabbat karta hoon,
tera naam na ho badnaam kahi,
mehfil mein apne labon ko see leta hoon,

haan main aisa mohabbat karta hoon,
tere bin jeene se darta hoon,

haan main bus tujhse,
sirf tujhse hi mohabbat karta hoon.

jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain

safar zindagi ka guzara hai yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,
kabhi mile hain khud se bhi yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,

jisse pane ke liye barbaad huye,
khud se bhi huye paraye hum,
ab unse mulakat hogi to bhi aise,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,

naa hakeekat mein koi aasra hai,
naa khawabon ka koi hosla hai,
yeh aankhein bhi milte hain sapno se yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se mile hain,

mange kaise hum apni maut,
jab rishta khuda se hi koi nahi,
meri duwa aur asar milte hain yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain..

hum unke liye zindagi luta baithe

dil roya magar honton se muskura baithe,
yun hi hum kisi se wafaa nibha baithe,

woh hamein ek lamha na de paye apne pyaar ka,
aur hum unke liye zindagi luta baithe.

mere baad tere nakhre kaun uthaenge

teri yaadon se jurdi har yaad ko mitayenge,
to kya huwa jo khud ko bhulayenge,

yaad karne me aur yaad aane me alag hai maza,
to kya huwa jo tumko na yaad aayenge,


kabh tak rahega yeh tere darwaze ke aage,
hum iss laash ko kahi aur hi lejayenge,

utha lega koi na koi arthi mera kando per,
tu soch mere baad tere nakhre kaun uthaenge.

maut ki aankhon mein humein pyar nazar aaya

jab bhi kahi mohabbat ka koi jikar aaya,
meri aankhon mein tera hi chehra utar aaya,

yaadon mein aapse muklakat ka manzar nazar aaya,
chandni raat mein mujhe mera chand yaad aaya,

dil jo gungunata hai woh tarana yaad aaya,
geeton ko apne ghazal bante nazar aaya,

aaj bhi apne dil mein aapki dhadkano ka dhadakna paya,
teri yaadon se aankhon ka chalakna paya,

tere bina mere dil ne kahi karar na paya,
mohabbat ka aisa asar humne apne dil mein baar baar paya,

aaj maut tujhse mera rishta gehra hota nazar aaya,
hayya ka rang galon pe khilta nazar aaaya,

uske intezaar mein hi din ka dhalna nazar aaya,
maut ki aankhon mein bhi humein khud ke liye pyar nazar aaya.


tere har waade pe humko bharosa tha

bardi mananton se humne tumko paya tha,
apni maut se tumhari zindagi ko manga tha,
dil teri khushi mein hi khushi ko pata tha,
tere pyar se hi dhadakna yeh seekh jata tha,

unki chehra hi aankhon ko sakun deta tha,
es bheed mein unhein hi dil se humein chahha tha,
sacha pyar uski seerat mein nazar aaya tha,
duniya ko bhula ke usse dil mein sajaya tha,

har baar tujh pe hi yakeen humko aaya tha,
tere har waade pe hi hum ko bharosa tha,
duaon mein bhi khuda ko tere liye manaya tha,
teri chahat mein sirf hamara naam aaya tha.

ha mujhko kuch waqt laga hai

khushbu jaise log mile hain, mujhko kuch virano mein,
kitni sadiya beet gayi hain, dil ko mere samjhane mein,

kiska sath nibhaye koi, mera sath bhi deta kaun,
kuch logo ne waqt liya par, mujhse door jaane mein,

pyar, wafa, rishte aur naate, naye daur mein sab hain baatein,
phir bhi mujhko apna samjha, kuch aadam deewano ne,

dil tuta hai kitni baar, kab kyu rutha mujhse pyaar,
yaad nahi kya khoya paya, safar mere anjane ne,

kitna safar gawaaya maine, kitne manzil paya maine,
kuch raho ko waqt laga par, manzil koi bhulane mein,

zakhm har ek bhar jata hai, maraham waqt lagata hai,
waqt bhi par nakaam raha hai, mere zakhm mitane mein,

kiski jaat se kaun jurd saka, kisiki dard ko samjhe kaun,
kuch logo ko sauk hua par, mujhko aur sataane mein,

mere liye sab kuch waisa hai, mere liye sab kuch jaisa tha,
ha mujhko kuch waqt laga hai, umr ke daur bitane mein,

raahein, gardish aur naseeb, tino mujhse aage the,
par koshish kuch to lagti hai, kisi ke piche jaane mein..

that is how I love you

It is time to say again how I love you.
I met you in my dreams, that is how I love you.

I see you as no other and the person that is in you.
You respond to me in kind, that is how I love you.

I love you with my hands, touching all of you.
I love you with my eyes and see right through you.

I hold you in my arms and gently rock you.
You respond to me in kind, that is how I love you.

My heart beats and that is how I love you.
I smile and that is how I show you.

My soul soars and that is how I take you.
I am and that is how I thank you.

This is the end of what I write.
Alone in our room, with you tonight.

I may not say all I want to.
I will write and that is how I love you.

tujhe yaad kerna raaj ka kaam hai

sanj savere surmayi shaam hai,
labon pe bas tera hi naam hai,
adaa, haya, khusboo aur nazakat,
tera hi tasweer tamaam hai,

pagal kahe koi deewana pukare,
kitna masoom sa yeh ilzaam hai,
tujhse hi jurde hain her lafz mere,
iss dil mei tera hi kalaam hai,

nachez se hain yeh lekin har lafz,
kerte bas tujh hi ko salaam hai,
har pal teri yaad ko naya rang diya,
tujhe yaad kerna raaj ka kaam hai.

unki duniya kabhi bas hum se hua karti thi

kabhi subah se kabhi sham se larda karti thi,
mudatein hui ek shamma yahan jala karti thi,

kya baat hui ki aaj wo shama band ho gayi,
ek khirdki jo kabhi pure din khula karti thi,

sehamta hai dil kyun ab ke bar iss toofan mein,
garajte the badal bijli pehle bhi gira karti thi,

kuch rang adhure mere armaano ke hain warna,
na umeedi iss dil se door hi raha karti thi,

khata meri hi thi jo duniya se dil laga baitha,
yeh kambakht pehle kab kisi se wafa karti thi,

main unse keh raha hoon mujhe yaad kejiye,
kabhi meri yaad jinki dhardkan huwa karti thi,

dekho aaj hum unki dunya me shamil hi nahi,
jinki duniya kabhi bas hum se hua karti thi.

tum jo bhi sunaoge saza maan jayenge

asaan hai bahut rahe wafa maan jayenge,
do char kadam saath chal ke dikha maan jayenge,

hawa ka koi jhonka kabhi aye idhaar bhi,
behti hai har samay hawa maan jayenge,

zindaagi ka safar kadam do kadam,
tum bhi thak jaoge hum bhi thak jayenge,

bahut yakeen hai hamein apne yakeen par,
dekho to hamein de ke daga maan jayenge.

ilzaam tumhara hai to is sar ki kya jurrat,
tum jo bhi sunaoge saza maan jayenge.

main kaise bhool jaoon

main kaise bhool jaun un haseen raaton ko,
un haseen raaton ke bheegi barsaton ko,
bheegi barsaton ke rangeen mulakaton ko,
un rangeen mulakaton ke methe baaton ko,

main kaise bhool jaun tere sard haathon ko,
mere haathon mien diye gaye waadon ko,
un wadon mein de gayi kasmon ko,
un kasmoon ko nibhanein ki baatoon ko,

main kaise bhool jaun teri jheel si ankhoon ko,
jheel si ankhoon mein kisi aur ko na paane ki duaoon ko,
un duaoon mein phir bheegti nighahoon ko,
bheegti nighahoon mein aate jaate khawabon ko,

main kaise bhool jaun un kuch logon ko,
un loogoon mein kuch apne kuch gheroon ko,
un apno ke badalte huye cheharon ko,
main kaise bhool jaun, 
main kaise bhool jaoon...

dil unhein yaad kar muskuraya hai

dil lagakar chain kisne paya hai,
sab ne har kadam par ishq ko aazmaya hai,
kyon mohabbat ho gayi hai unse humein,
ki dard ke sailaab mein bhi dil,
unhein yaad kar muskuraya hai..

aakhir kyun

kyun ek kashmakash si rehti hai mann mein,
kyun ek ajeeb si uljhan rehti hai mann mein,
kyun nahi hai in sawalon ke jawab,
kyun nahi ho tum mere saath??

kyun nahi maan sakti tum iss rishte ko,
kyun nahi pehchaan sakti dil mein chupi hui chahat ko,
kyun aakhir kyun??

mere saath gham ka saaya hai.
teri chahat bhari bahoon mein,
kyun mera tann mann samayaa hai??

tuhi mera sangeet

humne to har shabd mein dhali apni preet,
duniya ko usme dikhi kavita, gazale, geet,

charche rehte hain tere iss mehfil mein,
tu hi raazdaar mera tu hi mera maanmeet,

jahan teri chahat mili wahi hogi,
teri hi raah chale yehi hai pyaar ki reet,

tere hi khayalon mein din hai guzarta mera,
surmayi shaam aye aur yun hi raat jaye beet,

yeh jo hunar hai tujh hi se hua hai hasiil,
raj ka har lafz hai tu, tuhi mera sangeet.

ankhon se hoti anshu ki barsaat bhi hai

subha bhi hai raat bhi hai,
jo guzar chuka hai woh waqt mujhe yaad bhi hai,
dil mein chupakar rakhta hoon gam apna,
kabhi kabar ankhon se hoti anshu ki barsaat bhi hai.

yeh waada aaj bhi nibhaye jaa rahe hain

hum apne ghum ko lekar yun hi jeeye jaa rahe hain,
tanhai mein unki yaadon ke jaam piye jaa rahe hain,

log puchte hain mujhse kya baat hai ke tum itne udas rahte ho,
humne waada kiya tha unse ke hum unko badnaam nahi karenge,

unke humse bewafai karne ke baad bhi,
hum yeh waada nibhaye jaa rahe hain.

aaj bhi intezaar wahi hai

tut gayi hai talwar par dhaar wo hi hai,
door rehte ho to kya hua pyaar to wo hi hai,
jaanta hoon ki nahi mil sakte aap mujhe,
magar in aankhon me aaj bhi intezaar wo hi hai.

haatho ke inn chand lakiron mein

jo gujar gaye unn lamhon mein,
jo saath hain unn yaadon mein,
yeh kya dundhata hoon,
haatho ke inn chand lakiron mein,

jo kal raat dekha tha uss sapne mein,
har aane waale kal mein,
apni kismat ko dundhata hoon main,
haatho ke inn chand lakiron mein,

jo bichard gaye unn logon mein,
har anjaane se chehare mein,
ek dost dundhata hoon main,
haatho ke inn chand lakiron mein,

jo dekha hai sirf khwaabon mein,
chaha hai jisko dil-hi-dil mein,
humsafar wohi dundhata hoon,
haatho ke inn chand lakiron mein.

iska jawab sirf ussi ke paas hai

jane mujhe kis cheez ki talaash hai
jane mujhe kis cheez ki pyaas hai,
khojta hoon jise mein har pehar,
woh sirf mere khayalo ke pass hai,

kinare ke reth par haath pherata,
jaane kya dhundta hoon main,
shankh mein jo sunai nahi deti,
wo sirf meri dil ki aawaz hai,

ajab si bheed me dhundta hoon ek nazar,
jis nazar se mujhe zindagi ki talaash hai,
kis mord par takrayegi woh kab jaane,
iska jawab sirf ussi ke paas hai.

sansaar se ab dar lagta hai

ab mujhe pyaar se dar lagta hai,
uske izhaar se dar lagta hai,
waqt ka kya hai, guzarr hi jayega,
uski raftaar se dar lagta hai,

jo piye hain dusron ke hisse ke,
aise aanshuon se dar lagta hai,
unse mile dard me bhi meri khushi hai,
unke pyaar se ab dar lagta hai,

sunn ke akalmandi ke afsaane,
har samajhdaar se ab dar lagta hai,
humpe iss kadar huye hain dhoke
saare sansaar se ab dar lagta hai

nind to atti hai abb bhi magar

shabdo ne mere angaan mein aana chord diya,
shayari bhi kalam se gungunana chord diya,

gujar raha hai din bhi,
aur gujar rahi hai raatien,
ummeed ke diye bhi meine jalana chord diya,

nind to atti hai abb bhi magar,
sapne aab aankhon ko jagana chord diya,

roz sochta hoon, 
aaj koi naya nagamein likhu,
par khayal ab mujhse dostana chord diya,

shayari ka ek khawab mujhe jagayi thi ek din,
aaj phir se mujhe woh akela chord diye.

mujhe phir na mili uss subha ke baad

woh subha ka dhoop le aaya tere pyaar ka sandesh,
woh mujhe phir na mili uss subha ke baad,
umar guzar jaati hai tere intezaar mein uss subha ke baad,
ek mulakat thi aur tannha ruk gaye hum uss subha ke baad,

ek aisa zakhm mila hai humein uss subha ke baad,
laut aane ki umeed mein zindagi gawa di humne uss subha ke baad,
andher lag rahi hai sare duniya ki tasweer uss subha ke baad,
mayus huye hain hum har lammha uss subha ke baad.

na shikwa na duhi hai

unse pyaar karne ki yeh saza payi hai,
gham hazar seene me dekar humse duriya banayi hai,
unke zakhm se bhare dil ko rahat kaise milti,
maine jo unki yaadein dil se na nikal paya hai..

woh lauti nahi to unki yaadon se dillagi kar li,
nadaaniyo ne meri aisi haalat banayi hai,
bekarar dil ko bas tere pyaar ki chaahat thi,
sehte rahein har julm,
lab pe na shikwa na duhi hai..

meri daastan to kisi ne suni nahi

mujhe zindagi se gilla raha,
meri zindagi se banni nahi,
main khud hoon aise makam par,
jaha hasraton ki kami nahi,

main jala bhi hoon,
main bujha bhi hoon,
main sazaa bhi hoon,
main kta bhi hoon.

mujhe dekh kar hasse hain log,
par meri zindagi mein hassi nahi,
kabhi iss gali kabhi uss gali,
kabhi iss nagar kabhi uss nagar,


main bhatak raha hoon dar-ba-dar,
mere dard-o-dil ki kami nahi,
hai be-khabar mera humsafar,
main mitt gaya usse kya khabar,

na pahunchi ho meri sadaa,
yahan aise to koi galli nahi,
haalaat kuch iss kadar phir gaye,
hum apni hi nazar mein gir gaye
kahi sabne apni hi daastan,
meri daastan to kisi ne suni nahi.

shayad ek jhalak dikhlaane wo phir aaynge

dil ko kya khabar thi ki wo iss kadar apne ho jaaynge,
aa kar dil ke kareeb phir duniya ki bheed mein kho jaaynge,

na socha tha kabhi ki humse judaa ho kar,
wo humein itne yaad aaynge,

tut kar bikharna likha hai shayad kismat mein,
na niklegi dil se aah aur hum bikhar jaaynge,

aankhein khuli rahengi marne ke baad bhi meri,
shayad ek jhalak dikhlaane wo phir aaynge..

bedard duniya hai ya bedard zindagi

humne to chaha tha hasana sab ko,
kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

hume har waqt dard de jati hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

hame rula kar chal deti hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

be dard duniya hai,
ya be dard zindagi hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

ab yehi chah hai,
hasana sab ko hai,
par 
kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

rona hai,
par na ro paye hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi,

hasna hai,
par na hass paye hai,

kaun jane chahati kya hai yeh zindagi.

ek pal laga tu wahin mere paas thi

jaise jaise tum har ek kadam bardhaate jaa rahe the,
meri nazron se aur bhi door hote jaa rahe the,
dil to kar raha tha bahut, 
rok loon main tumhein,
wo lammhe kuch jada hi jaldi guzarte ja rahe the,

na jaane phir kabhi mulakaat ho na ho,
kuch aise khayalaat mujhe daraa rahe the,
jitna bhi waqt guzaara hai maine saath tumhare,
reh reh ke sab aankhon me lehraa rahe the,

wo tumhari muskaan,
wo har adaa yaad aa rahi thi,
wo saari yaadein mujhe bahut rula rahi thi,
aankhein to tumhari bhi jaate waqt namm thi,
judaai ka ehsaas jhuki palkein kara rahi thi,
na tum alvida keh sake jaate waqt na main,
zubaan pehli baar ladkhadaa rahi thi,

tumhare saath bitaaye in kuch palon me,
maine to apna ye poora zindagi jee liya tha,
samet ke rakha hai har wo lamha kuch aise,
sabse bardi khushi jaise zindagi ki mili ho,

aaj main har us jagah gaya, jahan jahan hum mile,
khushbu bhare mohabbat ke phool wahan the khile,
hawaaon me wahan ki kuch aisi mehak thi,
ek pal ko laga, tu wahin mere paas thi,
ghuli huyi hai hawaaon me tumhari hi khushboo,
simat jaati hai jisme meri zindagi ki har arzoo,

do pal ko aankhein band kara maine to dekha,
muskurate huye tum mujhe hi dekh rahi ho,
aisa ye jaadu tum kar gayi ho mujh pe,
yahan ki fizaaon me tum ab tak mehak rahi ho,

kaash main tumhein hamesha ke liye apne paas rok sakta,
kaash ye nigaahein har waqt tumhe hi nihaar saktein,
kaash in haathon mein har waqt tumhara hi haath hota,
har lamha mere paas tumhare saath hota,

tumhari hi baahon me basti hai meri ye zindagi,
tumpe to poora yakeen hai, par zindagi pe nahi,
na main tumhare bina kuch hoon, na tum mere bina,
kyon pyaar ko nahi samajhti hain ye majbooriyan,

jo pyaar bhari “yaadein” tum de gaye ho mujhe,
ab inke sahaare hi meri yeh zindagi hai,
tumse har khushi,
tumse ab ye zindagi hai,
bas tumhare liye hi jeeta ab yeh “raaj” hai.


mujhe maaf ker dena

agar main hadd se gujar jaau, to mujhe maaf ker dena,
tere dil mein utar jaau, to mujhe maaf ker dena.

yuhi gusse mein aksar,
daat dena to aadat hai hamari,
daat ke tumhein main apni,
baahon mein bhar loon to mujhe maaf ker dena.

raaste mein tujhe dekh tere deedar khatir,
pal bhar jo thehar jau to mujhe maaf ker dena,


apne jazbaat se likha ye kuch panktiyan,

tere naam ker jaau to mujhe maaf ker dena,

teri pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti,
tere bin mar jaau to mujhe maaf ker dena.

bas hum tum hain

raat ke andheron mein,
khamoshi ke pehron mein,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

hathon mein tumhare hath hai mera,
nazron se nazrein mili hain,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

karni hai lakhon batein aaj,
par shabd nahi hai hamare pas,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

pasine ki kuch boonde tumhare mathe par aayi hai,
kuch kehna hai shayd par jan ghabrayi hai,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

thami hai dil ki dharkane,
sama hai suhana,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

lelo mujhe bahon mein apni,
keh do ki mujhse pyar hai,
us nadi ke kinare bas hum tum hain.

kyon aaj bhi ek aas hai dil mein

aaj bhi main usse bhula nahi paya hoon,
dil ke zakham mita nahi paaya hoon,
aaj bhi pyar ke naam pe wahi yaad aati hai,
jise bhool jana dil yeh chahta hai.

har waqt wahi kyon yaad aati hai,
pyar ke sapne saare toot chuke hain,
umeedein jeevan ki rooth chuki hain,
phir kis liye jee raha hoon main.

sach kahun to maut se battar zindgi hai yeh,
kyon yeh jeevan ruk kar bhi nahi rukta,
kyon ye saansein tham ke bhi nahi thamtin,

kyon aaj bhi ek aas hai dil mein,
jiska kabhi koi wajood hi nahin,
kyon aaj bhi hai woh silsila.

bas ek sawal hai..

wo bhi ek waqt tha jab,
deewano jaisa mera haalat ho gaya tha,
jab kisi ki mohabbat mein,
main poori tarah se kho gaya tha.

na din ke guzarne ka pata rehta tha,
na raat ki aahat rehti thi,
teri ek jhalak paane ke liye,
din bhar betaab sa main rehta tha.

jaan liya hai ab maine mohabbat ko,
har jafaon se waakif ho gaya,
aisa bhi dard hai jise jeene me,
khushi milti hai ye jaan gaya.

jo pal jiye hain tardap-tardap ke,
teri mohabbat ke liye maine,
iss janam to bhula na sakunga,
gam jitne bhi zindagi ne diye.

bahut koshisoon ke baad bhi,
aaj bhi yaad karta hai dil tumhein,
sambhalta hoon itna isko,
baawra ho jaata hai dekhte hi tumhein,

kya haal bana diya hai tumne mera,
kaisi zindagi ban chuki hai,
jo mil nahi sakta,
pal pal ussi ki tamanna kyon karta hai yeh,

sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,
har wafa ko anjaam diya tha,
jo ek sacha hamsafar karta hai,
woh sab tere pyar me kiya tha,
dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai, 

bas ek sawal hai..
kami kahan thi is mohabbat me,
iske jawab ka mujhe intezaar hai,

main maangta hoon iska jawab,
bhagwan se, iss poore jahaan se,
par har koi khamosh rehta hai,
ab sab bhula doon main kaise,

kaise zindagi ke wo pal bhula doon,
jo sirf tumhare naam the,
kitne ashk barson bahaaye the,
sab iss mohabbat ka anjaam the.

kehte hain log bhula ke sab kuch,
hass ke zindagi ka swaagat karo,
kya itna asaan hai kisi ke liye,
apne astitva ko mitaa paana.

jab dil uske liye dhadakta hai to,
kaise kahin aur lag sakta hai,
kaise inn askhon ko chupaaye,
koi kisi se nazar mila sakta hai,

be-rang zindagi hai,
kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
bas tumhari kami hai jo sabse bardi hai,
kaise sabko samjhaaun.

mere kuch sawaalon ka jawab de do,
to mukt ho jaaun main bhi isse,
aur jee sakun phir apni zindagi,
nibha sakun poori wafa khud se.

jaanta tha main ek din toot ke bikharunga

talaashi thi zindagi jiski baahon me maine,
woh baahein kabhi mere liye thi hi nahi,
socha tha jise har pal har khushi apni,
woh khushi kabhi apni thi hi nahi,
kiya jiska intezaar maine itne barson tak,
woh shaks kabhi meri thi hi nahi,

gair ko uski baahon me dekhaa jab,
to ye zindagi kyon tham si gayi,
main to jaanta tha wo meri nahi hai,
phir kyon aankho me ashkon ki bahaar hai,

ye pyaar hai mera ya dil tootne ka dard,
zuban se na nikal saka usse dekh ek bhi shabd,
woh buland haussle woh pyaar pe aitbaar mera,
toote sheeshe sa bikhar gaya ye dil mera,

kyon kisi ko dil itna chah baithta hai,
kyon kisi ko zindagi maan leta hai,
ye jaante huye bhi ki woh apna nahi,
be-intehaan usse kyon chaahta hai,

jaanta tha main ek din toot ke bikharunga,
yeh na socha kabhi kaise main sambhalunga,
kyon main is kadar tumhe chahata raha,
khamoshi se pal pal nihaarta raha,
zindagi ke har sapne me tumhein jagah di hai,
par zindagi ko aaj kaise sapna keh doon main.

phir bhi intezaar karunga tumhara

zindagi ka har ek pal kiya hai tere naam maine,
teri chaukhat pe aaya tha bas itna hi kehne,

kya tha wo jo teri aankho me maine dekha,
laakh chupao tum mujhse kuch na chupega,

pyar kiya hai tujhse teri aankho ko samajhta hoon,
yunhi nahi daawa tujhse pyar karne ka karta hoon,

tumhari zuban se lekar tumhari khamoshi tak ko chaha hai,
pyar me maine tujhse kabhi kuch bhi nahi maanga hai,

main jaanta hoon tumne mujhse kabhi pyaar nahi kiya,
isiliye shayad maine kabhi tumko jaane se nahin roka,

main chahta hoon bas itna ki tum khush raho,
chahe na baat karo, mujhse na kuch bhi kaho,

main samajh jaaunga khud tumhein kya kehna hai kab,
bas yahi duaa hai meri tujhe har khushi de rab,

tum kabhi mere nahi hogi phir bhi intezaar karunga tumhara,
shayad kabhi koi rishta ban jaaye mera tumhaara.

kyun mujhe dekh tumhari raah badal jaati hai

chahe na kabhi mujhse pyaar karna,
na kabhi ek pal ko bhi deedar karna,
na kehna tum mujhse kabhi kuch,
chahe mere har sawaal pe muh pherna,
na kabhi mujhe apni muskaam dena,
na kabhi mere dil ko chaen dena,
tumhari khushi agar mere dard me hai,
to har pal tum bas khush rehna.

na main kabhi bhool sakunga tumhein,
yeh jaante ho tum acchi tarah,
sab jaante ho tum, sab samajhte ho,
phir kyun mujhe nahi apnaate ho,
kya kami hai mujhme ek baar bata do,
mere pyaar ko aise na thukraa do.

bahut pyar karta hoon main tumse,
har dua me tujhe maanga hai rabse,
jaante sab ho tum, kahoon to kya,
kis baat pe ho tum mujhse khafa,

ek baar mujhse kuch to kaho,
yeh khamoshiyan sahi nahi jaati hain,
kya hai tumhaare dil me batao to mujhe,
kyun mujhe dekh tumhari raah badal jaati hai.

main tannha mera safar tannha

hoon main pathik aur dhundta hoon raasta,
apni manzil par jane ke liye,
dikhta to hai dhundla sa chitr mujhe,
par kathin bahut hai mera raasta.

pathron se saji hain rahein meri,
aur us par main tannha,
mera safar tannha.

kya paar main ja paunga?
raahon ko apni kya phoolon se bhar paunga,
kya hoga agar main thak kar ruk gaya,
aur un patharon par main gir gaya,

kya koi aisa ayega,
jo mujhe yeh raasta paar karaega,
dega woh sath manzil tak meri,
ya woh bhi mujhe akela chord jayega,

nahi pata mujhe kis aur main ja raha hoon,
raasta sahi hai ya galat disha mein behta chala ja raha hoon,
kaash koi aa jaye mere paas,
jo khole ye unsulza sa, 
dhundla sa yeh raaz..!!

wo chahte hai ki hum unhein raasta de de

aaj phir kisi ki baat per rona aayaa,
roka to bahut per chupana na aayaa,
jise manga tha saath umar bhar ke liye,
woh do pal hamare saath chal to diye,
lekin wo chahte hai ki hum unhein raasta de de,
pyaar kisi aur se karne ki izzazat de de,

unhein kya khabar hum pyaar ess kadar karte hain,
unki khushi ke liye kuch bhi kar sakte hain,
mera waada hai aaj ye unse,
bhula to nahi paayenge unhine hum dil se,
per dukh ka ehsaas kabhi hone na denge,
unki khushi mein hum bhi muskura denge,
aashu aaye bhi to hum unse chupa lenge.

aakhir kyun...

kyun tumhara intezar hai,
kyun tumse pyar hai,
kyun tumhe dhundti hain nazrein,
kyun mujhe tumhara hi khayal hai??

kyun tumhari yaadein mujhe pareshan karti hain,
kyun meri ankhein tumhara intezar karti hain,
kyun ek madhoshi is cha jati hai,
jab tumhari khusbo meri sanson mein samma jati hai.

kyun tum mere khawabon mein basi ho,
kyun meri dhardkan bani ho,
kyun tumse milne ka je chahta hai,
kyun tumhari tasweer dekh dil mera dhak sa reh jata hai??

kyun khamoshi si chati hain jab purane din yaad aate hain,
kyun tum mere man mein bas ho iss kadar,
kyun nahi chale jate ban ke hawa behkar??

kyun hamesha sapne dikha ke unhein tord  jate ho,
kya yeh tumhara shauk hai,
kyun nahi samjhte kitna pyar karte hain tumse,
kya tum ho ek pather ke putle banker??

kyun log khelte hain kisi ke dil ke sath,
kyun bana dete hain kisi ko ek zinda lash,
kyun woh zindagi tabah kar dete hain bas shauk ke liye,
kyun samjh nahi paate woh kisi ke jazbaat??

kya unka dil nahi pathar hota hai,
par pathar bhi kab itna kathor hota hai,
arre pathar ko to hum bhagwan mante hain,
uske aage roz ser jhuka ke sabki khushi mangte hain..!!

patjhard dunniya mein chord jata hai koi

chal rahe the anjaan raste par,
achanak hi manzil dikha gaya koi,

mohabbat shabd se anjaan the,
uski paribhasha dikha gaya koi,

sath dene ke liye aate hain bahut,
pal bhar mein phir sath chord jata hai koi,

waada tha hamesha sath nibhane ka,
yaad hai par nahi jor dalta hai koi,

sab ko aata hai dil ko tordna,
toote dil ko nahi jordta hai koi,

kehte hain bahaar layenge zindagi mein tumhari,
par patjhard dunniya mein chord jata hai koi.

All Time's Favourite Posts