unhi purani galiyon mein

aaj chalte chalte pohonch gaya,
unhi purani galiyon mein,

jinh galiyon mein, bachpan mein,
humne kabhi khelna khoodna, seekha tha.

unhi galiyon ke, beecho beech,
abhi bhi hain woh bargad ka perd,

jiski ghani shawon mein baith ker,
baatein karna bajurgon se,
haste haste seekha tha.

wohi thordi door chalte hi,
gali mein, woh konne wala ghar,

jis ghar ke aangan mein,
oongali pakard ker,
kabhi girker to kabhi sambhalker,
humne phele chalna seekha tha.

o yaaro, kaise bhoola doon,
mein uss mitti ko,
jis mitti mein iss beej ne
phele ek chhota sa podda,
phir perd banna seekha tha.

kaise bhoola doon,
uss aangan ko,
jis aangan mein iss diye ne,
tez hawaoon se lardna,
aur jalte rahna seekha tha.

aaj chalte chalte pohonch gaya,
unhi purani galiyon mein,
jinh galiyon mein, bachpan mein,
humne kabhi khelna khoodna,
seekha tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts