meri zindagi par tum apni pehchaan likhna

mere naam saari khushiyon ka jahaan likhna,
aa kar hatheli par chand, meri jaan likhna,

mehndi ke rang ko tum meri mohabbat dena,
zindagi bhar na bikhre, wo dastaan likhna,

sharma jayegi meri haathon ki lakirein,
chum kar tum isse, apne aarmaan likhna,

gaalon mein bhawar pardate hai tujhe dekh kar,
meri muskurahat ko tum apni shaan likhna,

de do sahara apni baahon ka in dhadkano ko,
meri zindagi par tum apni pehchaan likhna.

naa bhulna humein apna banaane ke baad

mat puchiye haal dil lagaane ke baad,
deewaangi mili hosh lutaane ke baad,

aap ke siwa kuch aur ab yaad nahi,
mohabbat ki duniya basaane ke baad,

ruk jaati hain saansien intezaar mein,
jee uthe zindagi aap ke aane ke baad,

aap ke pehlu mein aaisa lage hai jaise,
hum muskuraaye ek zamaane ke baad,

dekh jao kabhi aalam dard-e-judai ka,
nikalti hai jaan aap ke jaane ke baad,

bas ek hi guzaarish karte hain aap se,
naa bhulna humein apna banaane ke baad,

hai yahi duaa ab toh din-raat humari,
kho na baithein aap ko paane ke baad.

teri dil ki main hi dhardkan ban jaun

tere seene se lag kar, teri aarzoo ban jaun,
teri saanson se mil kar, teri khushbu ban jaun,

faasle na rahe koi hum dono ke darmiyaan,
main main na rahoon, bas tu hi tu ban jaun,

suni raaton ki tanhaiyaan jab satayegi tujhe,
teri un khamoshiyon ki main guftgu ban jaun,

jaise dilbar ki ho tujh ko tamanna,
khuda kare, main waisa hu-ba-hu ban jaun,

gustakh dil ki mere bas itni si hai khawaish,
teri dil ki main hi dhardkan ban jaun.

ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye

khamoshion ka silsila barkaraar reh jaaye,
woh yun mile ki milker dil bekaraar reh jaaye,
ye kaisi judai ki jism se ruh juda lagti hai,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye.

ho unse mulakat to ye gulaam khushgawaar rehta hai,
agar woh jaaye to unke piche bas bimaar reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye. 

ishq chard jaaye ke phir lutf zindagi mein aaye,
ye kaise utre ke barso khumaar reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye. 

baatein keh de to huzur gustakhi samajhte hain,
baatein chupa le to seene mein gubaar reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye. 

woh aa jaaye hon to sukun dil ko haansil ho,
jo jaaye to piche khawaab-e-bahaar reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye. 

zamaane bhar ke bhuoot sar paer chardha rakhein hain,
sab ke sab utrein par tera sawaar reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye. 

humein yakeen hai woh aayenge chand lamhon ke liye,
baad marrne ke gar raaj ki bas samadhi reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye,
ye kaisa milan ki milker bhi intezaar reh jaaye...

teri ek nazar pe yeh zindgani luta baithe hum to

tere dil mein hi aashiyana bana baithe hum to,
khud ko bhula kar tumhe dil mein basa baithe hum to,

na zamaane ki kuch khabar hai na khud se hi wakif hum,
teri ek nazar pe yeh zindgani luta baithe hum to,

sawaal koi karta hai jab teri wafa-e-mohabbat par,
teri ruswayi ko dekh khud ko bewafa bata baithe hum to,

tum milo na milo tum chaho na chaho koi gam nahi,
apne dil ke smandar mein tumhe sama baithe hum to.

choti si umeedon ko aisa aitbar mila

unki baahon mein ajeeb sa sansar mila,
manga tha khuda se itna pyaar mila,

dekhta rahu ek takk ban ke chakor,
humko eshe chand ka didar mila,

gujar loon tamam umar jiski baaho mein,
aye dil batla kyu itna isko intezaar mila,

kitna tannha tha zindagi jo yeh pal na tha,
khil gaye dil mein phool aisa khushgubaar mila,

koi chedta tha dil se banke ajnabi,
lagta hai beshak hi koi humko dildar mila,

mat cherd aye dil, kahi pagal na ho jaau,
choti si umeedon ko aisa aitbar mila.

dil to bas aap ka deewaana hai

yeh pyaar mein humne jaana hai,
kabhi rona kabhi muskuraana hai,
karte hain kitni mohabbat aap se,
mil kar kisi din aap ko bataana hai,

aap se hi har adaa, har duaa meri,
dil to bas aap ka deewaana hai,
mukammal huye aap se alfaz mere,
aap ke zikr se hi har taraaana hai,

saji hai aap ke ehsaas se zindagi,
subah sham mera andaaz aashikana hai,
haasil kya hai agar mohabbat nahi,
meri manzil sirf aap ko paana hai.

All Time's Favourite Posts