I want to say I love you on your birthday

I want to say I love you on your birthday,
though love is something you don’t want from me.

things didn’t go so well when I last said it,
and so I’ll keep it silent in my heart.

but how the words reverberate within me!
a song that I must struggle not to sing,

a music I must dance to without motion,
a poem that I must never read aloud.

your wishes are a wall I would not scale,
yet won’t abandon, loathe to leave behind.

I cannot have, and cannot bear to lose you,
and so I send you this in my despair.

koi jeeta hai mar mar ke kisi ke liye

koi marta nahi kisi ke liye..
ye sach hai,

koi jeeta hai mar mar ke kisi ke liye....
ye bhi utna hi sach hai

kya kami dekhi tumne apne deewane mein

kya kami dekhi tumne apne deewane mein,
sare aam badnam kiya mujhe zamane mein.

jiska naam likha hum ne dil ki deewaron mein,
usne hi kasar na chordi mujhe bhulane mein.

tere baad maut ko hi chaha dil ne toot kar,
dekh zindagi tabah kar daali apni mehkhane mein.

kabhi sota tha teri zulfon ke saaye mein,
ab maut ki godh hai mere sirhane mein.

woh sangdil hai na aayegi mujhe dekhne yaaron,
ab der mat karo meri arthi ko jalane mein.

kyon rote ho logon aaj to khushi ka din hai,
shamil hone ja raha hoon khuda ke gharane mein.

pal do pal me mit jana hai

pani ke bulbulo ki kismat kya hogi,
pal do pal me mit jana hai,
ret ke gharondo ki keemat kya hogi,
laharo ne har pal unhein mitana hai.

mohabbat karne walo ko bhi,
milta yahi nazrana hai,
pal do pal ka pyar yaha,
fir tanhai afsana hai.

shama ki keemat, parwano ki kismat ko,
kab kisne pahchana hai,
roshni ke liye ek ko jalna,
to duje ko roshni par jal jana hai.

pani ke bulbulo ki kismat kya hogi,
pal do pal me mit jana hai,
oss ki bundo ki keemat kya hogi,
suraj ugte hi mit jana hai.

hum zara khul kar rona chahate hain

bahut chup chup hain,
rona chahate hain,
tera daman bhegona chahate hain,

bahut irmaan hai barish ka,
aur hum khule angan mein sona chahate hain,

tumhare darwaze band hain to rahne do,
hum zara khul kar rona chahate hain

main chala jaonga

kuch bhi kehna hai kaho phir yeh din laut ker nahi aayega,
tumhare dil ka thoda bojh aaj kam ho jaayega,

main chala jaonga aaj ki shaam aakhri hai mera,
yeh dil kabhi laut kar tumhari dahleez per na aayega,

bhoole se bhi kabhi jo meri tasveer nazar aagaya to,
bheeg jayengi palkein aur tu mujhe dekhte rah jaayegi,

chain na aayega kabhi tujhe ek pal mere bagair,
dil mera jab karega yaad tumhein aur tu bahut pachtayegi,

barishon se bhi jyada barsengi tumhari aankhein magar,
thak jayengi aankhein tumhari aur tu akeli rah jayegi..

dil ye udaas aaj bhi hai

dil apna dukhta kal bhi tha, 
dil ye udaas aaj bhi hai,

jo pyar hum tum karte the, 
woh pyar to zinda aaj bhi hai,

hum bichard gaye iss doori me, 
tum door ho kya koi majboori me,

kabhi waqt mile to chali aana, 
khula dil ka darwaza aaj bhi hai,

na sataao, na tadpaao, 
na mehfil me humein yu tanha chord jaao,

teri yaad me jaage kal bhi the, 
teri yaad me jaage aaj bhi hain.

yadoon ka ek jhonka ajeeb kaam ker gaya

yadoon ka ek jhonka ajeeb kaam ker gaya,
dil main tha jitna gum meri ankhon main bher gaya,

ek umer kaat di hai wafaaon ke naam par maine,
leykin woh aaj ziker-e-wafa hi se dar gaya,

mehnat se jiss ko main ne sambhala tha raat din,
hairaan hoon mera khuwab woh kaise bikher gaya,

mujh ko yon hi bhatakta woh rahon main chord gaya,
jo mera humdum tha najaane kidhar gaya,

main aaj bhi duaon main kerta hoon unko yaad,
wo shakhs apne wadon se aise hi mukkar gaya,

tumhare naam

din bhar ki sab baatein,
sare kaam tumhare naam,
jab se likhi hain maine,
apna dil me tumhare naam.

duniya k baazar me,
apni kya keemat hai fir bhi,
jo bhi mil sakte hain,
mere daam tumhar naam.

sher kaha likhata hoon main,
likhta hoon tumhari yaadein,
monika ji, 
izzat soharrt enaam.. 
tumhare naam, tumhare naam, tumhare naam...!!

unhein koi bata do jara

pyar mein doori kitni tardpaati hai,
yeh humdum se keh do jara,
humse ekraar jo karte hain,
unhein haal-e-dil bata do jara.

tannhai rulati hai,
parchayi ab chubti hai,
dil ko nazraane mein pesh kar degay,
unko koi bata do jara.

duniya ke riwaz hain itne,
ki dil ki tammana ki koi kadar nahi,
unpar hai jaan hamari kurbaan,
unhein koi bata do jara.

kuch kehte kehte ruk jaanna,
ki kahi dil na dukh jaaye,
hamari bechani ki hadd hai sagar jaisi,
unhein koi bata do jara.

jaane kab hoga saamna unka,
jo humse roz jatate hain beshumar pyar,
jaldi aa jaao – thodi hi jaan bas ab baaki hai,
unhein koi bata do jara...

hum to tujhse hamesha wafa nibhayenge

chaaha tha kadmon mein tere har khushi bichayenge,
socha na tha hum bhi kabhi yun juda ho jaayenge,

aadat ho gayi hai mujhe jeene ki sath tere,
bichard kar tujhse ab kaise jee payenge,

gujarti thi shaame galiyon mein teri,
aaj inn galiyon ko chordkar kaha jaayenge,

sanjoo kar rakha tha khud ko bas tere liye,
lagta hai hamein aaj hum bhi bikhar jaayenge,

bewafa ho gayi tu mujhse to kya hua,
hum to tujhse hamesha wafa nibhayenge.

main ja raha hoon ab teri khushiyo ke sansar se

sab kuch apna teri mohabbat mein haar ke,
main ja raha hoon ab teri khushiyo ke sansar se,

veeraan hai jahaan dil bhi udaas hai,
ab kabhi na lotenge woh beete din bahar ke,

ek haseen khawab mila woh bhi chaar din ke liye,
bahut dekhe hain hamne honsle yahaan pyar ke,

khud se bhi begane ho gaye ek tere liye,
soch kya beetegi dil pe tere ek inkaar se,

khuda tujhe har khushi de mere liye gham kafi hai,
main bhi dekhu kya hai saza yeh ikraar ke,

sun kar meri ghazlein agar woh muskra degi,
ab khushi se jaa sakenge iss jahaan se dil haar ke.

aisi mohabbat jahaan mein kisi ne na ki

huamein uski yaad naa dilaao,
barde mushkil se sukh paye hain yeh zakham,
phir se inhein naa jagaao.

hum yeh nahi kehte ki woh bewafa thi,
woh to hamari kismat ne hi humse wafa naa ki,

varna humare pyar ko dekh kar yeh zamana kehta,
ki aisi mohabbat jahaan mein kisi ne na ki. 

mujhe aaj bhi tera intezaar hai

ab to khud pe hoti hai hairaani,
apna sabra dekh ker,
tum yaad kerna bhi bhool chuke,
mujhe aaj bhi tera intezaar hai...

kaash kabhi kuch aisa ho jaye

kaash kabhi kuch aisa ho jaye,
jab bhi main karoon usse yaad,
khabar koi usse ho jaye.

guzarte kisi rah se akele,
kisi anzaan mord par woh mujhe mil jaye,

na rahe phir humein kisi aur ki parwaah,
iss kadar ek dooje ki nazron mein kho jaye,

gehra ho purana bahut rishta humara,
iss tarah baaton ka daur shuru ho jaye,

rahe na humein phir waqt ki sudh-budh,
aur subah se shaam ho jaye.

dekh kar phir mauke ki nazajkat,
waqt wahin thama-thama sa reh jaye,

na dekha ho kudrat nain aisa pehle,
rishta darmiyan kuch aisa ban jaye,

ho jaye yeh mera sapna sach,
duaaoon ka kuch is tarah ka asar ho jaye,

umar bhar khuda ki rehmat se,
saath mujhe uska naseeb ho jaye.

kaash kabhi kuch aisa ho jaye,
jab bhi main karoon usse yaad, khabar koi usse ho jaye.

ek aur ilzaam mere naam baki hai

aye maut jara dhire se aa, 
ek kaam zara sa baki hai,
unko khat ek likhna hai,
paigaam zara sa baki hai,

woh samjhenge tha bewafa,
intezaar bhi na kar saka,
marne se pehle ek baar, 
izhraar bhi na kar saka,

khawaish mere mann ki,
thoda sa waqt aur de de khuda,
meri prem kahani ka, 
anjaam zara sa baki hai,

apna dard batane de,
ek nagma mujko gaane de,
raaj ke dard ka mausam,
unko jara sunane de,

janta hoon waqt kareeb hai, 
ab na koi apna naseeb hai,
jo har roz pite hain hum gam ka, 
woh jaam zara sa baki hai,

unhein ab tak malum nahi ki,
apni saanse kuch hi baki hai,
jo aate hain unhein dekhne ko,
woh aanshu kuch hi baki hai,

woh ab tak na aaye mehfil me, 
ab tak unka ek deedar baki hai,
unhone ab tak mujhe bewafa na kaha,
ek aur ilzaam zara sa baki hai.


bhool kar bhi tujhe bhula naa sake

bhool kar bhi tujhe bhula naa sake,
aur baar baar yaad kar ke bhi,
tujhe yaad aa naa sake.

aisi ki thi kuch paane ki chah humne,
ki phir aur fariyaad ke haath utha naa sake,

num huyi meri aankhein kuch iss tarha tere sitam se,
beet gayi umar saari, hum muskura naa sake,

waise to tune apna banakar chord diya tha,
chah kar bhi hum tujhe thukra naa sake,

kehna to bahut kuch tha us din bhi mujhe,
the haalaat aise ki hum lab hila naa sake,

dhardka tha dil mera, roya tha ruh bhi bahut,
par kaise the beymaan yeh aanshu,
tujhe mere pyaar ka yakeen tak dila naa sake.

bhool kar bhi tujhe bhula naa sake,
jaise yaad kar kar ke bhi tujhe yaad aa naa sake.

All Time's Favourite Posts