kahani us insaan ki jo sabka tha

ye wo kahani hai jo, kabhi naa khatam hone ke liye shuru huyi,
ye wo dastaan hai jo, darde ehsaas ki shihaayi se likhi gayi,

ye wo hakikat hain jo, kabhi hakikat ban naa payi,
ye wo raj ka dil hai jo, sunkar bhi ansuni kar di gayi,

kahani us insaan ki jo sabka tha,
kahani us vyakti ki jiska koi sath nahi,

kahani uski, jiski koi kahani nahi,
kahani uski, jiski koi bachi nishani nahi,

pyaar karna jiska imman tha,
gayiro ke liye jo har waqt pareshan tha,
shikan mathe par dusro ki jiski hoti thi,
zindagi dujo ke liye jisne kho di thi,

hakikat jo kabhi ban naa paya,
khilne se pahle hi murjhaya,
jiya jo sada auro ke liye,
zarurat pardi to mar naa paya,

khuda ke pas jo dua bankar ke jata tha,
gham ke badle jo khushiyan le ata tha,

batta jahan me itna ki kuch pas naa bacha,
dard, gam, tanhai ke siva kuch khas naa bacha,

gayiro ke liye khushiyon ki jo karta tha dua,
khuda bhi har waqt jiski sunta tha iltiza,
wafa karne ki jisko har waqt mili saza,
kahani us insaan ki jab nam thi har fizza,

tanhaiyon se aksar jo baatein kiya karta tha,
khushiyon ko din jo gamo ko raate diya karta tha,
bayigano ko jo ek, naya rishta diya karta tha,
hassti aankho se kabhi-kabhi, jo barsate kiya karta tha,

tanhaiyan jiski baahon me angdaayi liya karti thi,
ghamo se jiske liye, khushiyan lardayi kiya karti thi,
wo kesa tha, kesa naa tha, wo jaisa bhi tha kya kahein,
har dil me uske naam ki ek yaad joya karti thi...

daastan ek kore kaagaz ki

likhana jo chaha maine aaj,
woh daastan kuch meri hai,
sochata hu kaise likhu,
daastan ek kore kaagaz ki...

jeene ka hunnar naa aaya hai mujhko,
marne ke fann se hoon main bekhabar,
tanha si meri zindagi jaise,
daastan ek kore kaagaz ki...

na koi kahani likhi gayi isspe,
na hi koi rang paaya hai isko,
kuch panno ki bhi nahi hai yeh,
daastan ek kore kaagaz ki...

kat rahi hai berang aur sunni,
zindagi iss kore kagaz ki,
koi na isko samajh paaya hai,
daastan ek kore kaagaz ki...

jab main duniya se door chala jaaunga

jab main duniya se door chala jaaunga,
kabhi laut ker nahi aaunga....

hansste huwe lamnho ko, jab yaad karogi tum
har pal tum rowogi, fariyaad karogi tum

ek dard jo uthega, in beeti lammho ka
anshoo bhi chalkenge, mujhe yaad karogi tum

tere ishq churane ko, koi agge barhega jab
dil dhak se dhardkega, mujhe yaad karogi tum

sir rakh kar takiye me, chup chaap se rowogi
palkein bhi bheegayengi, mujhe yaad karogi tum

in tannha raato me, koi haath jo thammega
tum tehar ke sochogi, mujhe yaad karogi tum
nahin bhool sakogi kabhi, mujhe yaad rakhogi tum
jab main duniya se door chala jaaunga,
kabhi laut ker nahi aaunga....

apne hi aashkon me beh gaya hoon

yun to apne hi aashkon me beh gaya hoon,
phir bhi yaro tanha – tanha sa reh gaya hoon,

ban gaya mohtazz dil unki nazar ka,
main fakeer -e- yaar bann ke reh gaya hoon,

zindagi ki shakal me hoon ek bejaan,
toota dil hai, jaan fanah, main lut gaya hoon,

hona to wahi hai jo wo chahegi,
main to bus kirdar bann ke reh gaya hoon,

zakhami to dono hue baraber the,
wo chale gaye aur main tardapta reh gaya hoon,

roo pardata hoon bus jara si baat per,
shayad main thorda sa naadaan reh gaya hoon,

ishq teri dooriyaa … kya kehna!!
pas aake bhi tauba kar ke reh gaya hoon,

ek daur tha main bhi barda khuddar tha,
per kya karun majboor bannke reh gaya hoon,

ye haal hai mera naakam ho ker ishq me,
jaise koi maat kha ker reh gaya hoon...!!



hara bhi to apne dil se,
apne hi pyar me fass ker reh gaya hoon .

lab pe zakham bhi to hassi maloom hoti hai

yeh kissne ker diya sab doston se mujh ko begaana,
mujhe ab dosti bhi dushmani maloom hoti hai,
main roona apna rota hoon to wo hass hass ke sunte hain,
unhein dil ki lagi ek dillagi maloom hoti hai,
agar himmat kare insaan to phir kya nahi bas me,
yeh hai kam himmati jo bebassi maloom hoti hai,
na jaaye meri iss bebassi per dekhne waale,
ki lab pe zakham bhi to hassi maloom hoti hai..

tere leye khud ko baar baar jalana pardta hai

duniya ki nazro se gumme mahobbat chupana pardta hai,
mehfil me aanshoo naa nikal parde issleye muskuran pardta hai,

laakh samjhaya maine iss dil ko per kya karun,
jab bhi tu pukare mujhe aanaa pardta hai,

tumne to tord diya mohabbat ka wadaa,
badnaam naa ho jaaoo tum kahin,
isleye wo wada bhi hum hi ko nibhana pardta hai,

kya karu tu hai hi aisi ki,
tere leye khud ko baar baar  jalana pardta hai..

tere leye khud ko baar baar jalana pardta hai

duniya ki nazro se gumme mahobbat chupana pardta hai,
mehfil me aanshoo naa nikal parde issleye muskuran pardta hai,

laakh samjhaya maine iss dil ko per kya karun,
jab bhi tu pukare mujhe aanaa pardta hai,

tumne to tord diya mohabbat ka wadaa,
badnaam naa ho jaaoo tum kahin,
isleye wo wada bhi hum hi ko nibhana pardta hai,

kya karu tu hai hi aisi ki,
tere leye khud ko baar baar  jalana pardta hai..

mere laffz bhi dard mera bayaan nahi karte

mere laffz bhi dard mera bayaan nahi karte,
aur ye apne ab mujhpe ehsaan nahi karte,

yun to her pal nayi maut maarta hoon main,
par koi gham mujhe pareshaan nahi karte,

jo mujhe sataa ke mazaa lutate the kabhi,
woh toh ab bhi mujhko udaas nahi karte,

waise to dil ka koi armaan nahi bacha par,
nain khwaab dekhne se inkaar nahi karte,

koi gilaa karo tum ya koi shikaayat karo,
par kisi pe yun khud ko maherbaan nahi karte..

khud ko dil se utaarne ke baad

khud ko dil se utaarne ke baad,
kaisa lagta hai haarne ke baad,

aahista aahista bikharta jaa raha hoon main,
dheere dheere sawarne ke baad,

tut gaye hain saare sapane mujh me,
paristitiyon me utarne ke baad,

khawaaishon ko daba raha hoon main,
khawaaishon ko ubharne ke baad,

aaj dil khol ker hanssa hoon,
sare jazbon ko marne ke baad,

rass aane lagi hai tenhayi ab to mujhe,
chand lamhe guzarne ke baad,

meri saansein ukherd jaa rahin hain,
aye zindagi.. tujhe pukaarne ke baad!!

ek zakkhami dil liye hum jee rahe hain

mila ke aanshuon me hum to zindagi pee rahe hain,
madira to kya hum aapaki kami bhi pee rahe hain,
rula jate hain humein aurro ke ghum,
warana humare ghum to hum hass hass ke pee rahe hain.
hum saukh se teri chhokhat se chale aaye,
ek zakkhami dil liye yahan hum jee rahe hain

yaadon ka sath kaise chorde

yaadon ka sath kaise chorde,
gujra woh zamana kaise bhule,
wo bhale na bun sake humare humsaffer,
gujare jo lamhe unke sath,
uski yaad kaise chorde..

har pal unki yaad aaj bhi aati hai,
hum uss pal ka sath kaise chorde,

raato ki tanhaiya puchti hain aksar,
yeh kaisi zindagi ji reha hun main,
zehar unki yaado ka ab tak kyu pee reha hun main,

uss bewaffa ko hi jab mera khayal na reha ek pal bhi,
to issi yaadon se nata kyun na torde...

maut-e-safar kareeb hai bister samet loon

maut-e-safar kareeb hai bister samet loon,
bikhra huwa hayaat ka dafter samet loon,

phir jaane hum milein na milein aye zara ruko,
mere dil ke aaine me yeh manzar samet loon,

ghairon ne jo sulukh kiye unn ka kya gillah,
ghaao diye hain tumne ne wo pathar samet loon

kal jaane kaise honge, kahan honge tum,
aankhon me ek baar bhara ke aaj tujhko samaet loon,

yahaan dehakk rahi hai zamaane me jitni aag,
ji chahataa hai seene ke andar samait loon..

bahut intezaar kar liya maine

chatt par khade hokar,
khud ki laash ko dekha hain maine,
jeete jaagte ki iss kadar,
maut ko dekha hain maine,

sab ke dukhon se be khabar,
iss zindaagi ko jee liya hain maine,
meri kismat me jo likha tha,
woh aaj paa liya hain maine,

jo chaha tha woh naa mila,
jo chaunga woh mil jaye,
uss baat kaa..
uss haath kaa..
bahut intezaar kar liya maine....

tanhayi se chal kar

tanhayioon  se chal kar tanhayi me kho jaate hain,
na jaane kyun mere kadam itne majboor ho jaate hain,

bhula kar usse phir ussi ko yaad karte hain,
mere zakhm bhi jaise uske mohtaaj ho jaate hain,

sookh kar kayi baar phir behne lagte hain,
ye aanshu bhi jaise uske deedar ko tarash jaate hain,

khamosh ho kar bhi zubaan par chale aate hain,
ye laffz bhi jaise ussi se kuch kehna chahte hain,

dard ko aksar baandha hai maine muskurahat me,
shayad bebas ho kar hi ye ehsaas,
mere naghmon me utar jaate hain...!!

teri tasveer dil ki dhardkano se

teri tasveer dil ki dhardkano se kabhi mit na payegi,
par yeh dollat ishq ki ek roz aakhir lut hi jayegi,

abhi tak to jahaan me jee liya par ab yeh lagta hai,
meri armaano ki rassi se saansein ghut jayeingi,

chala jaoonga fir majboor hokar alwidaa keh kar,
yeh duniya jo ke khuwaboon se sajji chuut jayegi,

woh kuch hassrat jo ab awaaz banne ko tarasti hain,
meri nakamiyoon se tang aakar ek din root jayeingi,

meri aankhon ke badal se kabhi aansho na barsenge,
nishaan rah jayege aashkon ki nadiyaan sookh jayeingi,

fana ho jayega raaj ussi ki arrzoo le kar,
aur wo arrthi dekh ker meri yun hi muskurayegi...

haathon se ret nikalti ja rahi hai

haathon se ret nikalti ja rahi hai,
main kya karun meri dhadakne thamti ja rahi hai,

chahata hoon saari umar uske saath beetana,
par ghardi ki ye suiyan chalti ja rahi hai,

dil ki ye dhardkane thamne lagi hai,
aur main pal-pal marta ja raha hoon,

akhiri tamanna hai usse dekhne ki usse paane ki,
par kya karun ye saansein rukti ja rahi hai,

main nahi chahata usse rota dekhoon,
par ussi se pyar karne ki hadd bardti ja rahi hai,

humein izaajat do doston iss duniyan se jane ki,
kyunki uss se door jakar meri jaan jism se nikalti ja rahi hai.

zindagi me naa mila pyar

zindagi me naa mila pyar,
dekh ker thoda sa yeh pyar,
main aapne raashte se bhatak gaya,
koi bhi nahin tha mera aapna,
uss door jaati huyi bheed me,
jab logon ne deewana kah ker,
haath mujh se churda liya,
kya gunah maine kiya,
kya sazza maine paya,
jisko bhi pyar se bulaya,
ussi ne rula diya.

yehi dua hai ke meri dua ka kabhi asar na ho

ab yehi dua hai ke meri dua ka kabhi asar na ho,
iss dil-e-nadan ki wajah se duniya me koi kasar na ho,

dhundhta chalu khushi ko par aisa kabhi manzar na ho,
main kisi aur ka ghum banu aur mujhe khabar na ho,

kaarwa mere saath chale ye laazmi nahi hai lekin,
manzil jisse na mile kabhi aisa koi safar na ho,

teri yaad kayamat tak mere dil ke saath rahegi,
kaandhe pe mere shayad kabhi tera sar na ho,

ek raaz ban chuki hai daastan-e-zindagi meri,
ye raaz hi reh jaayega, khabar tujhe agar na ho,

mar jaaun main zinda,  aisa bhi jo din aaye,
ke apni hi nazar se girne ka mujhe koi dar na ho..!!

jeene ki aarzoo thi hamari

jeene ki aarzoo thi hamari,
zindagi ne hamse mukh mord liya,

maut ka intazaar kiya jab,
woh bhi hamein tardpata chhord gaya,

na ab jeene ki chaah hai,
na kambakkht maut aati hai,

zindagi ne to maut ke kareeb laya,
magar maut ne dil hamara tord diya.

ek adhuri aas me ek adhuri talaash liye tujhe dhundhta hoon

ishq ki raah me kisi ke chalne ke nishan dhundhta hoon,
main paagal hoon jo har pal har ghadi tera naam dhundhta hoon,
waise toh mujhe mehfilo me koi kaam nahi hota,
par sunna hai iss liye waha bhi tujhe sare-aam dhundhta hoon,

mujhe pyar hai apni mohabbat pe,
gurur hai apni chhahat pe,
ibbadat karta hoon apni aashiki ka,
mujhe sukoon milta hai teri khushi se,
chain aata hai teri hassi se,
deewana hai mera dil teri pyar ka,
sunna hai tujhe shamma jalana acha lagta hai,
issi ishq ki tapish me jalne ko main parwaana bana ghumta hoon,

dekhte hain zindagi kya mohabbat pe yakeen rakhti hai,
kya meri zindagi uski hassi se bhi sasti hai?
kyu har baar mohabbat ko rushwa hona hoga?
kyu humein apni ek tarfa mohabbat ko jurm ki tarah dhona hoga?

tum humein naa milo, koi shikwa na hoga humein,
par jaate jaate kuch to kehna hoga tumhein,
mujhe yun jillat ki maut nahi marna hai,
issi khatir apni mohabbat ko chupaye baitha hoon,
tera naam naa rushwa ho isi khaatir,

tujhe sabse chupaye rakha hoon,

waise meri zindagi teri ibaadat ke liye kaafi nahi,
issi khaatir har khuda ke darbaar me tujhe dhundhta phirta hoon,
ek adhuri aas me ek adhuri talaash liye tujhe dhundhta phirta hoon

azeeb paheli hai ye zindagi

azeeb paheli hai ye zindagi,
kahi rishto ke naam nahi hote.
aur.. kahi rishte sirf naam ke hote hain...!!

ek khawab adhura hai mera

har shakhs mujhe zindagi jeene ka tarika batata hai,
unhe kaise samjhau ki ek khawab adhura hai mera,
warna jeena toh mujhe bhi aata hain….!!!

akela tha main, akela hi reh gaya

akela tha main, akela hi reh gaya,
zindagi ke mayane to samajh gaya,
par apni hi zindagi main khud gumnam ban gaya,
akela tha main, akela hi reh gaya..

kafilein to maine kayi peeche chord aaya,
par apni manzil ko pehchan hi na paya,
akela tha main, akela hi reh gaya..

apno ki dagabazi main itna ulajh gaya,
ki khud ko humesha ke liye sunne pan ki khamoshi me le gaya,
akela tha main, akela hi reh gaya..…

mujhe dhoondha karogi tum

har saans ke sath mujhe socha karogi tum,
apne hi aaksh mein mujhe dhoondha karogi tum,

jab yaad aayegi tumko wafa meri,
fir har saksh ko chahat se dekha krogi tum,

aaj meri tanhai par hanss rahe ho na...
kabhi mujhse bichard ke, isi baat pe roya krogi tum.....

main doob raha hoon abhi doba to nahi hoon

har zulam tera yaad hai, bhoola to nahi hoon,
aye waada faramosh, main tujh sa to nahi hoon.

aye dost mujhe kyu dekhta rehta hai zamana,
deewana saahi, koi tamasha to nahi hoon.

chup chap saha sara dard jo khaye tere haathon,
majboor sahi, waqt se hara to nahi hoon,

dil torda hai apno ne to shikwa na karein ge,
wo bhool gaye mujhko, main bhola to nahi hoon,

sahil pe kharde hoker mujhe pathar to mat maro,
main doob raha hoon, abhi doba to nahi hoon,
main mar raha hoon, abhi mara to nahi hoon...

aisa ishq hum dobara na kar sake

ek pal ki judaai gawara na kar sake,
aisa ishq hum dobara na kar sake,
zindagi bhar palat ke naa dekha kabhi,
hum fir bhi shikwa aapse naa kar sake,

aapne toh har kisi se dil laga ke dek liya,
magar hum apne dil ko aawara na kar sake,
jaan tak luta diya unke pyar mein magar,

ek din bhi woh apna humara naa kar sake,
ek din bhi woh apna humara naa kar sake..

bass yehi wajah thi aapke aur mere judaai ki...
mujh me aapke sath hi rahne ki zidd....
aur aapko mere iss zidd se nafrat....!!!!

tumhare siwa kuch mangna tak nahi aata

tujhe chahate hain be-inteha par chahana nahi aata,
ye kaisi mohabbat hai ki humein dhand se kehna bhi nahi aata,

zindagi mein aa jao hamari zindagi ban kar,
ki tere bin humein zinda rehna nahi aata,

her pal tujhe bas tujhe duaon me mangate hain,
kya karein.... ki tumhare siwa kuch mangna tak nahi aata..

koi to kisi ke bina mar mar k jeeta hai

har koi kisi ki majburi nahi samjhta,
dil se dil ki doori nahi samjhta,
koi to kisi ke bina mar mar k jeeta hai,
or koi kisi ko yaad karna bhi zaruri nahi samjhta...

kya cheez ye mohabbat tune banayi hai

aaye khuda....
kya cheez ye mohabbat tune banayi hai,
kisi ko ye mil jaati hai aur,
koi sahata umar bhar ki tanhai hai...

saath chalane ke khawab dekhte hain jo log mohabbat me,
koi pa leta hai apni manzil ko,
aur koi sahata umar bhar ki judaai hai...

tu aaj bhi hamara to nahi...

tere jaane ke baad koi sahara bhi to nahi,
tunne kabhi tanhai me mujhe pukara bhi to nahi,
bewafa.. tumhein hum aaj bhi utna hi chahate hain,
magar aaj bhi tu hamara to nahi...

na khushi kharid paata hun

na khushi kharid paata hun, 
na gamm bech paata hun,
phirbhi na jaane kyu main,
har roz kamaane jaata hun..
https://ssl.gstatic.com/ui/v1/icons/mail/images/cleardot.gif

ab laut aa bas

chaah thi ki jeewan bhar ka sang ho,
har kadam har raah me prem ka raang ho,
pranay, anubhuti ki ki uttkantha humaare hriday me,
sawar si jaaye tu, nikhar si jaaye tu,
bas har subah, har saanjh mujh me,
tere sparse ki tarang ho…..

tere sang jeene ki khaawish bani thi,
ki jeene ki chaah bhi na isse bardi thi,
chaah thi ki tere har prasaang me main samaahit rahun,
ghul jaaun tere jeewan me kuch iss tarah,
ki teri har swash me sugandh band prawahit rahun….

par jaane kyu na rasha ye pyar humein,
kyu na kisi duaa ne bhi pyar barsaaya,
kyu rah gaye wo praan adhur,
tha jinme sampurn jeewan samaya….

kaant me aawarudha, ab sahami si swash hai,
swash nikalne ko aatur, nayan pratiksha me kaatar hai,
kintu hriday me ab na koi aashakti na koi aawlaambh hai,
tu nahi to lagta hai jaise jeewan hi uplambha hai....

laut aaa.. laut aa ki jee na main paaunga,
jee bhi gaya to jaane kitne tukade me mar jaaunga,

parbat jaisi ye zindagi khadi hai,
zindagi ki raah kathin bardi hai,
hawas bhari nazar chaaro taraf khadi hai,
tu sang hai to lagta nahi kuch kammi hai,
jeewan kalp vriksha har chhan me sudha ki see nahi hai,

aanghar me bhi prem aabha ka garmaahat lage,
aaki aansru me bhi sheetal leharo ka thandhak lage,

laut aa, ab laut aa bas ye mere dard ki parinitee hai,
laut aa bas tere sang hi mere jeewan ki jeet hai...

kabhi muskura ker roye

kabhi rooke muskuraye, kabhi muskurake roye,
teri yaad jab bhi aayee, tujhe bula bula ker roye,

ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha,
jisse khush hue the likh kar, usse mita mita ke roye,

palko se khwaab kyun gire.. kyun choor choor ho gaye,
kyun zindagi ki raahnon main hum door ho gaye....

kabhi mera sath nahi diya

zaruri to nahi ke insaan pyar ki murat ho,
zaruri ye bhi nahi ke insaan achcha aur khubsurat ho,

par sabse sundar wo insaan hai..
jo aapke sath ho, jab aapko uski zarurat ho,
par aapne kabhi mera sath nahi diya...

wo kehte hain ki mujhe pyar karna na aaya

aapne kya diya, kya khoya hai pyar me,
aapne to mera sab kuch loot liya....

mere pyar ko aapne kabhi samajh na paya,
roote the jab tanha, koi mere sath na aaya,
mita diya khud ko aapke pyar me,
aur kehte ho aap ki mujhe pyar karna nahi aaya....??

wah ji...!

kuch bhi aacha nahi lagta

bin aapke kuch bhi aacha nahi lagta,
ab to mera wajood bhi saccha nahi lagta...

sirf aapke deedar k intezaar me kat rahi hai zindagi meri,
warna khab ka maut ke aagosh me so jati ye zindagi meri...

laut aao.. ki aapke bagair ek lamha nahi katata,
bin aapke kuch bhi ab accha nahi lagta,

bichar ke aapse zindagi saza lagta hai,
yeh saanse bhi jaise mujh se khafa lagta hai...

tardap uthate hain hum dard ke maare,
zakhmon ko jab aapke yaadon ki hawa lagta hai..

agar ummeed-e-wafa karun to kis se karun,
mujh ko toh meri zindagi bhi be-wafa lagta hai...

wohi faasle banaate chale gaye

paas aane ki ummeed thi jinse,
wohi faasle banaate chale gaye..

hum to aapke paas aane ki koshish me lage rahe,
par na jaane kyu aap dooriyan bardhaate chale gaye...

har pal hum aapko yaad karte hain

har pal hum aapko yaad karte hain,
inn palako ke saayein me aapse baat karte hain,
aapse door jane ka dukh to kab ka bhula diya,
par aapke wapas na aane pe hum jeekar bhi marte hain...

wo jo main tha kab ka marr gaya mujh me

ye jo aap ho,
aap hi baaki ho..
wo jo main tha,
wo kab ka marr gaya mujh me...

mere dil ke dard ko kisne dekha hai,
mujhe bus khuda ne tadapte dekha hai,
hum tanhaayi me baithe rote rahte hain,
logo ne humein mahfil me sirf hasste dikha hai...!!

jisne duboya mujhe wo mera saahil nikla.

jisko maine de di apni ye zindagi,
woh shakhs hi mera kaatil nikla,

wafa parasti me na koi kami ki,
in wafaon se na kuch haasil nikla,

ishq, mohabbat, kasame waade,
in lafzon ka asar uspe koi nahi,

hum to toofan se darte rahe lekin,
jisne duboya mujhe, wo mera saahil nikla..!!

koi mere dilme rahta hai

jab raat ke tanhaa lammho me,
koi aahat si hoti hai,
iss dil me halchal rahti hai,

koi jugunu paas se gujare to,
koi baat halake se nikale to,
main khud se ulajhne lagta hun,
phir jaane kya kya kehta hun,
phir yaad uski aati hai,

phir pal do pal ke lammhon ko,
ye saas meri ruk jaati hai,
ek shola dil me bhadakta hai,
wo dard subah tak rahta hai,
phir weham mujhe ye kehata hai,

koi mere dilme rahta hai,
koi mere dilme rahta hai...!!

bewafa to woh khud thi

bewafa to woh khud thi,
par ilzaam kisi aur ko deti hai,
pehle naam tha mera uske hothon par,
ab woh naam kisi aur ka leti hai,

kabhi leti thi wadein mujhse saath na chorne ke,
ab yehi wada kisi aur se leti hai..

pehle ek ke sath,
fir dusre ke sath,
ab tisre ke liye wo sajhti sawarti hai....

koi mera bhi to ho saath nibhane ke liye

koi mera bhi to ho saath nibhane ke liye,
mujhe mannge khuda se apna banane ke liye,

mere aanshoo meri palkon se churane ke liye,
bus wohi ho mujhe seene se lagane ke liye,

yun to hain chahane wale bohat se duniya me,
nahi hai koi magar saath nibhane ke liye,

meri saanson ki ginati to bas ek dhoka hai,
main to zinda hun sirf duniya ko dikhane ke liye,

koi mera bhi ho sath nibhane ke liye,
mujhe mannge khuda se apna banane ke liye….!!

rulakar chale gaye

sapne ki tarah aakar chale gaye,
gamo ki neend sulakar chale gaye,
kis bhool ki sazza di humko??

pehle hasaya aur fir rulakar chale gaye...!!

zara aahista chal

dard ki baarish sahi maddham.. zara aahista chal,
dil ki mitti hai abhi tak namm.. zara aashista chal,

tere milne aur phir tere bichhard jaane ke bich,
faasla rushwayi ka hai.. zara aahista chal,

apne dil hi me nahi hai uski meharbanion ki yaad,
uski aankhon me bhi hai shabnam.. zara aahista chal,

koi bhi ho humsafar.. na ho khush iss kadar,
ab ke logon me wafa hai kam.. zara aahista chal….

ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi

agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi,
agar zidd meri pakki hai to mere khuda aasman ko bhi hila degi,

na inkaar kar sakta hai koi meri wafaon se, mujhe yakeen hai,
par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi,

yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya,
mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi,

na bhula sakunga woh mohabbat na woh bewafai, jo tu ne ki,
sazza iss se barh ke kya duga ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi,

agar dum hai meri wafa-e-mahobbat me to woh ek din, aayegi jaroor
jab meri yaad me to tardpegi par tab ’saugat tujhe apni mohabbat na degi..

jinhe dhoondte hain sapno me

jinhe dhoondte hain sapno me,
woh haqeeqat me nahi hai,

jo haqeeqat me hai saamne,
woh hamare sapno me nahi hai,

jo dil me hai hamare,
woh hamare kareeb nahi hai,

aur jo kareeb hai hamare,
woh hamare dil me nahi hai,

jisse pyaar karte hain hum,
woh hamare baare me ab sochti nahi hai,

jo sochte hain humaare baare me,
un se pyaar hum karte nahi hain,

hum jinka intezaar karte hain,
woh ab kabhi pass mere aati nahi hain,

aur jo aa jaate hain saamne,
unka intezaar hum karte nahi hain...

meri galion se wo jab bhi gujarte hogi

meri galion se wo jab bhi gujarte hogi,
mod pe jaake kuch der thaharti hogi,

bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga,
dil me kuch toot ke to bikharta hoga,

saath dekhe the jo un khawaabon ka kaarwaa,
zubaa bankar uski aankho me ubharta hoga,

koi jab chumta hoga usse baanho me lekar,
mera pyar uske badan me siharta hoga,

saamne aayene ke wo jab bhi sanwarti hogi,
uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hogi,

dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana,
wo bewafa mujh ko yaad karti hogi..

dard jab bhi ubhare mare sine me

dard jab bhi ubhare mere sinne me,
karrar tujhko na aaye jeene me,

gam ka pahaad tujhpe toote iss kadar,
umrr kat jaye aanhsu peene me

maut maange magar tujhe maut na mile,
zindagi bojh lagne lage, tujhe jeene me,

tu chah kar bhi kisi ki ho na sake,
jaise angoothi hoti hai, naginne me,

tu tardpe to, dard aisi utthe,
jaisi uthati hai, aaj mere sinne me,

dard jab bhi ubhare mare sine me,
karar tujhko na aaye, jeene me..

kabhi jo deti thi jaan mujh per

kabhi jo deti thi jaan mujh per.. aaj ussi k dil me khatak raha hun,
jamana bhatakta hai andhere me.. main roshni me bhatak raha hun,

gulab tujh me kaha wo khusbu.. jo mere ehsaas me bassi hai,
saath beetaye, ek ek pal wo.. aaj bhi us yaado se mehak raha hun,

nayi hawaye, ab tum hi mashwara do.. ki sirf aanchal rahe gale tak,
ye sir nahi.. mere pyar ki hai izzat.. jo tu ghungat se dhak rahi hai,

mujhe khud apni khabar nahi hai.. kaha tak zamane ki wafa dekhu,
khud apne gammon me kho gaya hu.. maut ki gaud ko taras raha hun,

kabhi jo deti thi jaan mujh per.. aaj ussi k dil me khatak raha hu..

sab yaadein mujhse lipat jati hai

sab yaadein mujhse lipat jati hain, dukh aur dard sameth,
sham ko jab ghar palat aata hun apne daffter samet,

kaat ke khud ko hi chhader ke barabar ker liya,
paao failaata to kam pardta zameen chhader sameth,

dekh kitni nafarate tune booyi hain mere baagwaan,
mere laash per tu pakkdi gayi aakhir khanzar sameeth,

sidhi saadhi zindagi thi meri.. bojh bhi sir per nahi tha,
raat sooye, subah utt ker chal diye bister samet,

tum bhale nind me naye raashte banao sahi..
mere dil ke tufaan me dub ker khatam ho jayenge nakshe sameeth,

sab yaadein mujhse lipat jati hai, dukh aur dard sameth,
sham ko jab ghar palat aata hun apne apne daffter sameet...

tumhare naam

din bhar ki sab baatein, sare kaam... tumhare naam,
jab se likhi hain, maine apne dil me...  tumhara naam.

duniya ke baazar me apni kya keemat hai fir bhi,
jo bhi mil sakte hain mere daam... tumhare naam,

sher kaha likhata hu main, likhta hun tumhari yaadein,
izzat, shohart, enaam.. 
tumhare naam, tumhare naam..!!

wo din aayega kab

apne kismat me likha tha, unke zulm ka shaya kab,
jisko humne tut ke chaha, usne humko chaha kab,

ek se ek mile to aksar wo 11 ho jate hain,
itni choti baat ko wo samjhegi humshaaya kab,

ek din aisa bhi aayega ki hogi sacchi ki jeet,
sab kehte hain aisa hoga, par wo din aayega kab..

humein to dard apna chupana tak nahi aata

mere aankho ko rone ka tarika tak nahi aata,
gamme dil ko zamane se chupana tak nahi aata,

kisi ki yaad me hum umrr bhar ka ro leye shayed,
ki ab to aankho me aashu ka katra tak nahi aata.

ye kaisa daur aaya ki har taraf dard ki hi aahat hai,
gareebi ho jahan to ghar me koi dost tak nahi aata,

hamare jism ko pattar bana dala jarurat ne,
mehnat kitni bhi ker le pasina tak nahi aata,

mere mehboob ye kaisi tarakki ki hai tumne,
ki mere naseeb me ek pal ka nazara tak nahi aata,

tumne mehal apni jabse ker li hai uuchi,
mere ghar me to ab ujaala tak nahi aata,

mere aankho ko rone ka tarika tak nahi aata,
gamme dil ko zamane se k chupana tak nahi aata..

kaun tera hain kaun mera hai

ek taraf wo hassen chehara hai, ek taraf ye ghaao gehra hai,
ess sehar me itni roshni hai magar, chand ke pas to andhera gehra hai,

yaad aati hai rup sahil ki, ab bhi kyu lagta hai ki tu to mera hai,
mere suraj kaha gaya hai tu.. mere zindagi me ab bhi to andhera hai,

hum hi the, ek dusare ke liye, kaun tera hain kaun mera hai,
failti ja rahi hai ab ye zehar, jis tarah raat me failta andhera hai..

tutane ki koi sada hi nahi

tutane ki koi sada hi nahi, 
dil ka sheesha magar bacha hi nahi,

yun to har pal jee raha hu magar, 
zindagai ka kahi pata hi nahi,

ho gayi hain udaasiyaan itni, 
ab hassne ki main sochata hi nahi..

jaane kyu log mohabbat ko

naa jaane kyu log mohabbat ko khuda ka darzaa dete hain,
humne to kabhi nahi suna ki khuda ne bewafaayi ki hai..

tut jaate hain mohabbat kerte kerte

ye jhoot hai...
ki mohabbat kisi ka dil tordti hai,
log khud hi tut jaate hain mohabbat kerte kerte

maujud hai iss dil par tere kadamo ke nishaan

abb bhi maujud hai iss dil par tere kadamo ke nishaan,
humne tere baad iss raah se kisi ko gujarne nahi diya..

aao ki ab hum baith ker

aao ki ab hum baith ker, bekaar ki baatein na karein,
kya kinaaro me rakha hai, majhdaar ki baatein karein,

pyar ki baatein sabhi kerte hain, par nafrat hi faylaate rahte hain,
chalo ab andhera mita ker, hum ujaale ki baatein karein,

hain sabhi hossiyaar ab, koi na murakh raha ab,
aa gaya hai waqt ab to, ayaar ki baatein karein,

aaj pyar mohabbat ki fizaayein, bas kitaabon me hai chippi,
ab ye lagta hai ki sirf takraar ki baatein karein,

ek zindagi ki suraksha ban gayi thi jo kabhi,
hain munaasib to hum unhi sab sawalo ki baatein karein

phool paa ker phool sa, phool me bahut abhimaan hua,
gandhigiri ki baatein chord ker, ab talwaar ki baatein karein,

hum to pyaaso ke liye, paani liye daude bahut,
kya mila humko ki, kyu satkaar ki baatein karein,

dilzalle ko dawa, bharte rahe har ghaw,
ab lagta hai ki hum angaaron ki baaatein karein

woh chain se sota hai

zakham mera hai, dard mujh ko hota hai,
iss zamane me, kaun kiska hota hai,
unhe nind nahi aati, jo pyar karte hain,
par jo dil ko tordta hai, woh chain se sota hai..

ek sham bhi aapko hum bhulaa na sake

hum aapki yaadon se khud ko baccha na sake,
aur aapki mohabbat ko chupa na sake

ye bhi maalum hai ki paa na sakenge aapko,
magar umeed ke diye ko bhujha na sake,

kitni hasraat hai ki keh dun ki,
aapke bin ab hum jee nahi sakte,
magar samane kabhi aapke hum aa na sake,

aap bhi to sab jaan ker bhi anjaan bane baithe ho,
aur hum aapko apna haal-le-dil suna na sake,

laakh kosish ki dil ne, ki bhula dun aapko magar,
ek sham bhi aapko hum bhulaa na sake,
ek sham bhi aapko hum bhulaa na sake..

fursat ke lammhe jab milte hain

fursat ke lammhe jab milte hain,
aapke liye kuch likhta jarur hun,

muskaano se koi rishta to nahi hai,
phir bhi muskuraate dikhta jarur hun,

murjhaaye huye to ek aarsa bit gaya,
aapki yaadon se thoda khilata jarur hun,

jinn rashton pe kabhi aap the sath mere,
unn raashton se aaj bhi gujarta jarur hun,

kinaare baith ker ishqu ki jheel me akele,
tanhaayion ke patthar fekkta jarur hun,

waqt ke shishe se dhool saaf ker ke,
aapka chehara mohabbat ka dekhta jarur hun,

dil ki aangan me sapno ke tukaddon par,
me sabrr ka jhaadu ferrta jarur hu,

main logon se gam apna batata nahi hun,
par khud se aapki baat cherdta jarur hun,
khud se aapki baat cherdta jarur hun...

ab jeena muhaal rehta hai

mujhko to bas itna malal rehta hai,
aadmi kyun bhala pareeshan haal rehta hai,

kyun main deta hoon tujhpe itni tabajjoh yeh bata,
har ghadi bas tera fikr-au-khayal rehta hai.

log deewane hain, aashiq hain, tere muntazir hain,
jab tak husn pe rang-o-jamal rehta hai.

koi to ghum sataa raha hai usse,
aaj kal woh bada udaas – udaas rehta hai.

teri aagosh mein hi milta hai sukoon mujhe,
tujhe na dekhoon to yeh dil behaal rehta hai.

yeh mayushi yeh tanhapan har ghadi bekarari,
ya yoon kahiye ke ab jeena muhaal rehta hai.

na bhoole hain hum tumhe abhi tak

na bhoole hain hum tumhe abhi tak,
kuch rishta hamara aaj bhi hai,

aaj bhi nazrein sirf tumhein dhoondti hain,
har tarf sirf tumhari hi pukar sunti hai,

chaahat aaj bhi itna hai ki
tumhare liye kuch bhi karoonga main, 
nazrein tumhari mera aaj bhi picha karti hain
lagta hai tum yahin chupe ho kahin,

door hokkar bhi paas ho mere,
aur paas hokar bhi bahut door.

aaj bhi mann bulata hai tumhein,
aao mere paas aur wapas karo mera dil,
kasam tumhari kuch na kahunga tumhein, 


khwaahish mein judaai na maang le

koshish toh hoti hai ke teri har khwaahish poori karun "Jaana"
par darr lagta hai ke kahin tu mujhse,
khwaahish mein judaai na maang le....!!

All Time's Favourite Posts