itne gham seene mein humne chupaya hai

dard ki raah hai har taraf,
hai andhera.. koi rashta bhi nahi,
humne apno se hi chot aisi khai hai.

baat gaiyro ki hoti to dil yeh tardpta bhi nahi,
robaro baithe hain kayi apne magar koi apna nahi,

jiski khatir hum aaye the akele yaha tak,
rashte bhar mein uska koi nishan bhi nahi,

ajnabi hai yeh sheher, ajnabi hai yeh log,
mera apna jo yaha chupa hai woh dikhta bhi nahi,

hum akele chale to koi saath na tha
teri hasrat kare ruswa mujhe

raaz aisa hai ke chupta bhi nahi
itne gham seene mein humne chupaya hai
ke ab aashu bhi sukha hai jo barasta bhi nahi.

woh keh de ke pyaar nahi mujhe aapse

woh keh de ke saath chord de tu mera, 
hum to bas aise hi yaha se chale jayeinge.

woh keh de ke dil nahi lena mujhe tera, 
dil ko ussi waqt zamin pe rakh ke chale jayeinge.

woh keh de ke mat chalo tum sang mere,
hum to phir wahi ke wahi thehar jayeinge.

woh keh de ke pyaar nahi mujhe aapse,
to bina pyaar paaye hi yun laut jayeinge.

woh keh de ke bhool jaao tum mujhe abse,
par hum to aise usse bhool nahi paayeinge.

woh keh de ke chale jaao tum zindagi mein se,
to hum maut ko bhi hanste huye gale laga lenge. 

tumhara intezaar karunga

dil se kabhi bhula naa sakunga itna pyaar kiya hai,
batana bhi chahu to bata naa sakun kitna pyaar kiya hai,
jab tak rahegi saans tumhi se pyaar karunga,
zindaagi ki aakhri saans tak tumhara intezaar karunga

All Time's Favourite Posts