aye hawa tu mere dil ka haal batana unko

aye hawa tu mere dil ka haal batana unko,
tardap raha hoon pal pal yahan yeh bhi jatana unko.

jaane kis baat se rooth gayi hai mujhse,
har woh koshish kar ke manana unko.

mujhe mil rahi hai zamane ki thokrein to kya,
swarg ke bagaano ki sair karwana unko.

ro ro kar ashq jam gaye hain mere,
bebaat hi kisi baat par hassana unko.

baithe hain chatt par issi intezar mein hum,
ki shayad kisi din apne saath tum laana unko.

teri khayaalon mein jeye jata hoon

tujh ko paane ki tamanna mein jiye jata hoon,
kaisa deewana hoon kya kaam kiye jata hoon,

unginat naam hai chahoon jisse apna ho jaye,
aur mein ek wahi naam leye jata hoon,

teri aankhon mein basa rakha hai dil ki duniya,
teri masti bhari nazron se piye jata hoon,

dil tu kehta hai ekraar-e-mohabbat karlon,
jaane kyun hoton ko phir bhi mein siye jata hoon,

teri bahon mein samane ko tarsta hai badan,
teri khayaalon mein jeye jata hoon.

lafz par chaar hi likh paya hoon

mere dil mein chupe hain kuch ahsaas,
kuch ankahi kuch ansuni si hai baat,
woh baat kehne main aaya hoon..

unke saanson se mehkana 
mere tan-man ko,
aankhon aankhon mein kar lena sau baat,
unke is andaaz se dil ko,
ab main na bacha paya hoon..

tanhaiyon mein jara muskurana, 
sochte rehana unki hi har baat,
bhatak jaane se khud ko
ab main na rok paya hoon,

kaise keh doon dil ki baat unse, 
kaise kar loon izhaar-e-mohabbat,

bardi shiddat se kalam uthhayi thi, 
lafz par chaar hi likh paya hoon..

tumko dekha to ye khayal aaya

jab dekha badalon ko to yeh khayal aaya,
kash un badalon mein tum samaate to kaisa hota,

jab nadion ke leheron ko dekha to yeh khayal aaya,
kash un lehron mein tum aate to kaisa hota,

jab dekha taaron ko to yeh khayal aaya,
ke taaron ki jagah tum jagmagaate to kaisa hota,

tumhein chahate hain hum apni jaan se jada,
maut lene agar tum aate to kaisa hota,

hum to marte waqt bhi tumhare haathon mein hote,
agar sach hamara khayal ho jaata to kaisa hota.

jhuki palkein unki

nazron se unki milaaya maine jab nazar, jhuki palkein unki,
mohabbat ne meri kiya aisa kuch asar, jhuki palkein unki,

huwa deewaana main bhi tha unki chaahaton ka,
madhoshi mohaabat ki chhayi is kadar, jhuki palkein unki,

ghazalein meri hi sajaa karte the labon par unke magar,
naam unka jo aayaa mere labon par, jhuki palkein unki,

mohabbat se unki hi mukammal hain subah aur shaam mere,
ishq ka mera sunn fasaana, muskura ker jhuki palkein unki,

jaan ho aarzoo tum hi, hai tumse hi jurdi har tamanna meri,
kaha yeh maine lab unke choomkar, jhuki palkein unki,

izhaar-e-mohabbat bhii mere sanam ne kiya sharmaakar
hothhon se naa bola kuch magar jhuki palkein unki,

shaamil main hoon har ghadi, har lammha khayaalon mein unke,
dekh khud hi ko aayiine mein aksar jhuki palkein unki.


aisa bhi ho sakta hai

dil par unke mera naam likha ho aisa bhi ho sakta hai,
lab pe khamoshi ka pehra ho aisa bhi ho sakta hai,

shayad main hi na pardh saka uski aankhon ka likha,
usne kuch izhar kiya ho aisa bhi ho sakta hai,

hum ko hi uska chehra aur baatein yaad nahi,
woh bhul gaye hoga aisa bhi ho sakta hai,

tanhai ke aalam mein meri betabi bhi woh hai,
woh bhi ab tak jaag rahi ho aisa bhi ho sakta hai,

jiski chahat ne tujhko deewana bana diya “raaj“,
woh bhi khoyi-khoyi si ho aisa bhi ho sakta hai.

kabu kar lena tha jazbaaton ko

jab paas aa hi gayi ho itne,
to dil pe bhi haath rakh lena tha,

kabu kar lena tha jazbaaton ko,
aur armaano ko samajh lena tha.

jab thehri nahi raat kisi ki aaghosh mein,
to tumhein bhi baahein faila ke khamoshi ko samet lena tha.

badalne dena tha mausam ki nazaakat ko,
aur waqt ki raftaar ko rok lena tha.

kabu kar lena tha jazbaaton ko,
aur armaano ko samajh lena tha.

aapka ye swabhav hume pasand aaya

har kadam har mord pe hume,
aapka ye sath humein pasand aaya.

aapne ki hain jo humse baatein,
woh baat karne ka andaz hume pasand aaya.

karte hain aap hum pe vishwas,
aapka ye vishwas hume pasand aaya.

muskurate hain aap mere sang,
aapka ye muskurana hume pasand aaya.

keh dete ho dil ki baat aap mujhse,
aapka ye swabhav hume pasand aaya.

mujhe dar tha khi dil na dukhade sawal mera,
par jawab sunte hi, aapka wo jawab hume pasand aaya…


dil ne kaha yehi to pyaar hai

main ne kaha woh ajnabi hai,
dil ne kaha yeh dil ki lagi hai.
main ne kaha woh sapna hai,
dil ne kaha phir bhi to apna hai.
main ne kaha woh meh-khana hai,
dil ne kaha yeh par khana hai.
main ne kaha woh ghardi bhar ki mulakat hai,
dil ne kaha yeh to sadiyon ka saath hai.
main ne kaha woh meri haar hai,
dil ne kaha yehi to pyaar hai. 

naam likhti hai hatheli pe phir mita deti hai

kabhi to mujhko ajnabi sa bana deti hai,
aur kabhi mujhko seene se laga leti hai.

koshishein to bahut karti hai mujhe bhoolne ki
naam likhti hai hatheli pe phir mita deti hai.

khud apne dil ko to rakh deti hai apne khat mein,
mere khaton ko magar pard ker jala deti hai.

maar daleingi teri naadaniyan mujhe ek din,
kabhi hassati hai kabhi mujhko rula deti hai.

gar jo marta hoon to marr jaoon main uski balaa se,
koshishe khudkushi ki karun to bacha leti hai.

pyar karti hai agar mujhse, mujhe chahti hai,
mere hathon se kyun daman ko churda leti hai.

kuch samajh aata nahi khudaya kya karun main,
na jeene ki na woh marne ki salah deti hai.

jante hain sab

janta hai suraj, janta hai chandrma,
jante hai ye saikdron tare
pata hai ambar ko, pata hai dharti ko,
jante hain ispar rehne wale sare.

ek bas tujhko hi nahin kaha tha,
aaj tujhe bhi batana chahta hoon
jab se tujhe mehsoos kiya hai, bas,
tujhko hi pana chahta hoon.

gawah hai khuda khud pyar ke mere,
saakshi hain devi devta sabhi,
saboot hain parwat, maloom hai pawan ko,
jante hain sab nehren aur nadi.

nahin manga kabhi kuch khudai se,
par na jaane kyon kuch aisa hua,
hua jo tera ehsaas ehsaas ko to,
dil ne di mohabbat ko khud ek dua..

heer-ranjha se kabhi mila nahin,
na shree ya fahaad ko kabhi salaam kiya,
aashiqon ko to chhodo maine kahbi,
ishq ka bhi naam na liya.

jab tak khud na basai na jana,
mohabbat ki kya murat hoti hai,
ab samjha hoon kyon har majnu ke liye,
bas laila khoobsurat hoti hai..

tu jo mujhko na mili to,
iss duniya se chala jaoonga main,
ishq ki kasam, vaada hai mera,
har aashiyane ko jala jaoonga main.

mashroof kar doonga tujhe is kadar ishq se,
tujhe bhi ikraar karna hoga,
main nahi kehta, yeh takdeer hai teri,
tujhe mujhi se pyaar karna hoga….

jane kitne armaan dil me jaga dete hain woh

dil ki khwahish hai doobne ki ishq ke sagar mein,
par dekhte hi hume nazrein jhuka lete hain woh,

kis tarah samajh sakenge unke jazbaaton ko,
dil ki baaton ko dil hi me daba lete hain woh,

dhoondhte hain unme apni mazil ko kahi,
jane kahaan khud ko chupa lete hain woh,

chahti woh bhi hain nazdikiyan humse,
phir kyu? thaamte hi haath churda lete hain woh,

fitrat mein nahi humari gustakhiya karna,
par humara imaan hila dete hain woh,

sirf toota taara dekhne se nahi hoti khwahishen poori,
iss khayaal se humein bhi sata dete hain woh,

darr lagta hai humein sapne dekhne se ab to,
par jane kitne armaan dil me jaga dete hain woh,

kaise hogi hasrat poori unhein paane ki,
sirf dost hone ka ehsaas dila dete hain woh,

apno ki bheeed me bhi paraye se phirte hain hum,
aur gairon ki mehfil me bhi humein bhula dete hain woh,

gam pehle hi bahut hota hai deewaano ki takdeer mein,
kuch keh kar hassati hai, kabhi chup rehkar rula dete hain woh,

gunaah to sabhi karte hain ishq karne ka,
phir kis naadaani ki saza dete hain woh,

mere piche unka saaya bhi na hoga kabhi,
kyu nahi, iss baat se rubaroo kara dete hain woh.


sab kahne lage tujhe bhi pyar ho gaya

nazar mila na sake unse ek nigah ke baad,
wahi haal hai mera jo hota hai gunah ke baad,

unke deedar ke baad dil bekarar ho gaya,
sab kahne lage tujhe bhi pyar ho gaya,
koi hasrat na thi dil mein unki chah ke baad,

dil to dhardhak jata hai agar aap kuch bhi kahe,
aarzoo bahak jati hai agar aap kuch bhi kahe,
yeh ho gunah se pahle ya gunah ke baad,

neend to aati nahi  jabse deedar unka hua,
saansein hi mere paas bachi jabse izhar unse hua,
isse bhi chord dunga unke pyaar bhari ek nigah ke baad.

tum meri aur main tumhara ho jaun

chandni raat mein
taaron ki numaish hai,

main tumhe jagaaun,
iss soye jaage chehre par
apni mohar lagaaun.

aao sanam, kareeb aao,
ki tumse lipat jaaun
jo aajtak tumse na kaha,
woh ab tumhe batlaaun.

chum kar tumhe iss kadar,
aise pagal kar jaaun
jo baat alfaaz na keh paye, 
labon se tumhe samjhaun.

saaya bhi tum mein bus jaye,
kuch aise sama jaun,
ek hokar tumse, 
tum hi mein ghum ho jaaun.

ghum jaaun to iss kadar
ki sari duniya bhulaaun,
tumhe bekaraar banaaun,
tumhari neend bhi main churaaun.

tumhari baahon ki garmi mein
kuch aise pighal jaaun,
ek pal mein hosh gawa kar 
phir sambhal na paaun.

aao ki iss haseen raat mein
taron ko gawah banaaun,
tum meri humesha ke liye, 
aur main tumhara ho jaun.

All Time's Favourite Posts