dheere se sarkti hai raat uske aanchal ki tarah

dheere se sarkti hai raat unke aanchal ki tarah,
unka chehra nazar aata hai jheel mein kamal ki tarah,

baad muddat unko dekha to jism o jaan ko yun laga,
pyaasi zameen pe jaise koi baras gaya badal ki tarah,

roz kehti hai seene pe ser rakh ke raat bhar sulaoungi,
hote shaam hi mujhe aaj phir sula gayi woh kal ki tarah,

unka sharmaana bhi mujhe maat de jaata hai,
unki to har adda hai kisi khamosh kaatil ki tarah,

mere hi dil ka tukda nikle woh shakhs aur mein
shehar bhar main dhoodnta raha unhein kisi pagal ki tarah,

madhosh sa ho jata hoon jab barish ki boondein
cherdti hain koi naghma unki chhanakti payal ki tarah,

mera sukhan unki zaat ka mohtaz na ho tab bhi,
woh dil nasheen hogi mehakti ghazal ki tarah,

nahi the zindagi pe tannha be sabab iss tarah,
yakeen tha mil jayegi kisi raah mein woh manzil ki tarah.

tum zinda kaise ho

sono....
tum ne kaha tha,
main zindagi hon tumhari.

chalo,
ab bata do,
tum zinda kaise ho..??

hum to the tanha marr bhi saktey the

raat gehari thi, 
dar bhi saktey the,
hum jo kehte the, 
kar bhi saktey the.

tum jo bicharde,
to ye nahi socha….

hum to the tanha, 
marr bhi saktey the…!!

lakh jatan kiye unko bhulane ke lekin

ek mulakat unse kara do, main mar jaunga,
ek jhalak unki dikha do
, main mar jaunga,

muddaton se tardap raha hoon deedar ke liye,
ab raha nahi jata
, main mar jaunga,

lakh jatan kiye unko bhulane ke lekin,
dil ne har bar kaha
, main mar jaunga,

wah ri kismat.. dono ko pardesi kar diya,
desh aakar bhi na mile to
, main mar jaunga,

hum-tum sirf tumhi ko nahi sataya hai zamane ne,
isse pahele bhi bahut kahe gaye
, main mar jaunga.

kyu aitebaar itna kiya

kya gajab mohabbat ka,
kaarobaar humne kiya,
wo bewafa thi magar,
phirbhi ussi se pyar humne kiya,

chord gayi wo agar to,
ab na bura kahenge unhein,
kasoor unse jada to apna tha, 
jo aitebaar itna kiya...

kuch yun til-til kar apne ishq ko marte dekha

kisi ke labon ko uske badan pe firte dekha,
kuch yun til-til kar apne ishq ko marte dekha,

kal tak jise hum apne palkon pe bithate the,
usse aaj khud ki hi nazaron se girte dekha.

jinhone wada kiya tha humare sang jeene ka kabhi,
unka kisi aur ke sung pranay-kalah chidte dekha.

main to samajh hi na saka ki kya hua hai sama,
jo aaj maine khud ko khud hi se bhirdte dekha.

jo kabhi bhi kisi se dara nahi karte the,
aaj un aashiqon ko kyun aashiqi se hi darte dekha.

jinhone humein hanste hue dekha tha kabhi,
unko bhi aaj iss raaj se chirdhte dekha. 

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain,
toote hua dil ko aur rulate hain, 

dhuan sa mere hotho se nikaltha hai,
aah keh-keh kar mera dil tardapta hai.

har pal yeh dard ke saye meri taraf aate hain,
ghamon ki dhundh ankho se nikalti hain. 

har din, har raat angaron par chalte hain,
zakhm seene ke nasoor ban jaate hain.

paglo ki tareh hum rehne lage hain,
har pal yeh dard k saye meri taraf aate hain, 

zindagi ko zinda laash ki tareh,
apne kandhon par laade huye, 
har pal maut ka intezar karte hain.

garm rait par jeeyo machhli se tadafte hain,
har pal yeh dard ke jazbaton ka kola 
hal din-raat dard deta hai.

ander hi ander anshuon ka dariya behta hai,
aankhein nam hai, dil vyakul hai magar, phir bhi

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain,
har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain. 

dilse tujhe mitaoon kaise

tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise,
teri yaad se apna daaman churdaoon kaise,

meri har khushi, 
har muskaan mohtaaz hai teri,
tujhko iska ehsaas dilaoon kaise,

badal ke meri zindagaani,
tu mujhse juda ho gayi,
tujhe kho dene ki kasak,
dil se mitaoon kaise..??

main usse itna door chala jaau

dua hai ki woh ab khawbon mein na mile,
aur meri aankhon mein koi aanshu na mile,

woh mere deedar ke liye behad tardpe,
aur usse mera hi saya na mile,

jo galat fehmi hum dono mein hai,
dhoondne se bhi usko koi uska sira na mile,

meri yaadon ki uljhan mein itna ulajh jaye,
ke yaadon se bhaagne ka rasta na mile,

meri baaton ke samandar mein itna dubbe,
ke bhool ke bhi us ko koi kinara na mile,

jiss din milna ussi din hi bichardna,
ab humein milane wala koi din na mile,

band aankhein jab bhi kare sone ke liye,
neendon ke desh ka koi raasta na mile,

main door uss-se itna door chala jaau,
ke mera usse koi bhi nishan na mile,

mere dil ko be-dardi se tordne wale,
ab tujh ko koi mujh sa na mile,

chahton ka mausam to do din mein guzar gaya,
mujhsa chahne wala ab usse koi aur na mile,

meri aankhon se khawab cheen-ne wale,
dua mein mangne kabhi tujhe mera pyar na mile.


itna mujhko tardpate ho kyun?

tanhai mein mehfilein sajate ho kyun,
khoon ke aanshu rulate ho kyun,
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

kya soch humse milne aa gaye,
jab jee chaha rula gaye,
humse dil lagaya tha aapne,
koi aur mila, hume bhula gaye.

baar-baar dil pe dastak de mere,
mujhe tum bulate ho kyun.
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tere bina aalam hai tanhaai ka,
waqt hua hai maatam hi sehnaai ka,
is duniya se chal diya raaj,
jo dekh naa payega manjar teri bewafai ka.

khuda bhi jo dekh dehal jaye,
itna mujhko tardpate ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har saans mein teri khusbu aati hai,
mere jism mein rooh teri samati hai,
phir bhi naa jane kyun tu,
mujhe lamha-lamha tardpati hai.

tez barsaaton mein dekh mujhe,
chehra apna chupate ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har lamha main tere kareeb tha,
tuta dil, mera naseeb tha,
kaise bhula doon tujhko,
bas tu hi to mera humsafar tha.

aarthi ko rok kar mere,
ishq ki lahu se maang apne sajate ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tujhe dekh aaj dard bahut ho raha hai,
dil mera khoon ke aanshu roo raha hai,
main raat bhar chillata raha reham ko,
par ab tak yeh zamana soo raha hai.

khewat bankar meri zindaagi ki,
usse ghumon ke sagar mein dubote ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

mujhe shikwa hai to, dil mein basate ho kyun,
basa kar dil mein hume, phir bhulate ho kyun,
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

koi tum saa hai ki tum ho

jiss me bhi dekhoon nazar aati ho ki tum ho,
aye jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ki tum ho...

ye khwaab hai, khusbu hai, ki jhonka hai, ki pal hai,
ye dhund hai, badal hai, ki saya hai, ki tum ho...

iss duniya ki bheed me kayi rang hai bikhare huye,
main hoon ke koi aur hai, duniya hai ki tum ho...

dekho ye kisi aur ki aankhein hai ki meri,
dekhoon ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho...

ye ummr gar aise hi kat jaaye to ye jaanuga,
har saans me mujh ko ye lagta hai ke tum ho...

har saksh me dhundu aksha iss dil-aye-zindagi ka,
ab kaun hai.. shireen hai ki laila hai ki tum ho...

ek dard ka peeghala hua sahara hai ki main hoon,
ek mauj me aaya hua dariya hai ke tum ho...

wo waqt bhi aa gaya hai jab dil mera yeh soche,
iss shehar me tannha koi hum sa hai ki tum ho...

mar ker bhi mar na sake hum kayi saalo se tere intezaar me,
ye rashm zindagi ki abhi zinda hai ki tum ho...

aye jaan-e-jaan itni bhi takalluf kya thi mujhse,
ye humara gum hai, dard-aye-tanhaai hai ki tum ho....!!

kisi ne kaha tha ki thehro hum abhi aate hain

muskurate palko pe sanam chale aate hain,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hain,

aaj bhi us mord par kharde hain,
jaha kisi ne kaha tha ki thehro hum abhi aate hain…

thukraao ya apnaao yeh dil to aapke paas hai

kisi se door hone par yeh kaisa ehsaas hai,
har pal unhein dekhne ki yeh kaisi piyaas hai,

khushi hoti hai unka chehra dekhte hi humko,
unke guzar jaate hi phir yeh dil ghamsaaz hai,

unke dil mein nahi hai ab mohabbat humaare liye,
phir bhi unki nazaro se humein yeh kaisi aas hai,

message likhne ki to hum mein ab himmat na rahi,
thukraao ya apnaao, yeh dil to aapke paas hai,

tum saath ho to zindagi hai ab bohot rangeen,
na ho zindagi mein tum to jeene seh aitraaz hai.

saansein chubhati hain khanjar ki tarah

saansein chubhati hain mere seene me khanjar ki tarah,
zindagi lagti hai ab door ke manjar ki tarah,

ek bhi katra mohabbat ka  mukaddar na bana,
hum bhatakte rahe duniya me samander ki tarah,

door tak apne sivw kuch bhi na dekha usne,
hum khade rah gaye bus raah ke manzar ki tarah,

unki yaadon se kaho koi naya ghar dhoond lein,
zindagi apni to hai girte huye khandaher ki tarah..

jane kahan woh kho gaye hamein barbaad karke

rota hai dil mera baatein unki yaad karke,
din kya yahan to raatein bhi kattin hain fariyaad karke.

main khush tha tannha unke aane se pahle,
jane kahan woh kho gaye hamein barbaad karke.

kabhi hum bhi gine jaate the khuda ke badon mein,
yeh majburiyan gayi bhi khudaya to mujhe barbaad karke.

mujh dushman ka hi ghar jalana tha usse,
sab yaraane bawafa ke gaye ghar aabad karke.

abhi bhara nahi dil teri bewafaiyon se zalim,
zara ruko ,chale jana dil ko shaad karke.

kisi jamane mein woh bhi hamein chahate the bahut,
abhi abhi guzre hain jo raaj se nazre pher ke.

kaise pata lagaye ki kuch risthe dil ki lagi hai ya dillagi

kaise pata lagaye ki kuch risthe dil ki lagi hai ya dillagi..

dillagi me raat ko need aati hai, 
dil ki lagi raat bhar tardpati hai,

dillagi me aapko sab kuch yaad rahta hai, 
per dil ki lagi aapko sub kuch bhula deti hai,

dillagi mei aap uska accha bura sochte ho, 
dil ki lagi me aap uske alawa kuch nahi sochte,

dillagi pal bhar ka ristha bhi ho sakta hai, 
dil ki lagi zindagi bhar saath rahti hai,

dillagi me aap usse bhoolne ki koshish kar sakte ho,
dil ki lagi me aap kabhi usse bhool nahi pate,

dillagi me aap uske aanshu pochta ho, 
dil ki lagi me aap uske saath rote ho,

dillagi me madhosi se rahti hai, 
per dil ki lagi me to hosh hi nahi ratha,

dillagi agar kamiyaab ho to acchi lagti hai, 
per dil ki lagi me na-kamiyaabi bhi koobshurat hoti hai,

dillagi shyaad dil ki lagi ki or pehla kadam bhi hoti hai, 
per dil ki lagi aakhiri imtehan hoti hai,

dillagi kab dil ki lagi me badal jati hai yeh koyi nahi janata........

ha ab main aksar khus rehta hoon

yaad hai monika..
aap ne pichhli baar kaha tha,
mujh ko bhool ke khush rehna,

aap ko to main bhool na paaya, 
lekin jaan..

chupke-chupke dukh sehta hoon,
ha ab main aksar khus rehta hoon.

kabhi yeh ittefaak bhi hota

kabhi yeh ittefaak bhi hota,
main jis raah se guzarta,
woh bhi ussi raah se guzarte,

aur jis ghar unhein hai jaana,
uss ghar ka pata woh aake mujhse puchate,
aur jis patah pe unhein hai jaana,
woh mere hi ghar ka patah hota...!

kabhi yeh ittefaak bhi hota,
meri woh kitaab jisme maine,
intezaar mein unke likh rakhi hain nagmein,
pannay uss kitaab ke mere hath se choot jaate,

choot kar woh pannay hawa mein lagte urdne,
main un pannon ko pakardne unke pichhe daurd jaata,
unhein pakardte sammetate uss jagaah pe pahunch jaata,
jahaan woh mujhko khadi huyi milti,
kabhi yeh ittefaak bhi hota.....!!

kya meri yaad ab bhi raat bhar jagaati hai tumhein

kya ab bhi meri jhalak khwaab mein nazar aati hai tumhein,
kya meri har yaad ab bhi raat bhar jagaati hai tumhein?

har andhere tumhe mujh tak kheej laati thi,
kya ab bhi koi roshni iss tarah bulati hai tumhein?

meri har raaz tumhein hawa hi bata jaati thi,
kya ab bhi khushbu mere paighaam sunati hai tumhein?

meri takleef par woh aankh mein nammi ka aa jana,
kya ab bhi meri koi baat rulati hai tumhein?

tumhari har jazba, tumhari aankh mujh se keh deti,
kya ab bhi woh kuch na keh kar har baat batati hai humein?

har awaaz pe tumhein mere aane ka hota tha gumaan,
kya ab bhi koi aahat yun satati hai tumhein?

dil lagane ke baad chale jaate hain log

aate hain log,
dil lagate hain log,
dil lagane ke baad chale jaate hain log...

jinke sang rota aur hassta hai dil,
unse milne ko hi tarsta hai dil,
unki yadoon mein hi to basta hai dil,
jaane wale to chale jaate hain,
tasveeron se phir dil behlate hain log...

aate hain log,
dil lagate hain log,
dil lagane ke baad chale jaate hain log...

dil ka ek khali kona dekh kar,
yaad unhein karte hain chaaron pehar,
suna suna lagta hai dil ka yeh ghar,
beetein huye lamhoon pe phir jane,
kitne-kitne aansho bahate hain log...

aate hain log, 
dil lagate hain log,
dil lagane ke baad chale jaate hain log...

jo zakhm pyaar ne diye unko sambhaal loon

thehro zara si der, main khud ko sambhaal loon,
palakon pe jhijhakte huye  aanshu sambhaal loon.

armaan jo arse se iss dil mein sajaaye the,
dil tootne se pehle woh armaan sambhaal loon.

aaye ki phir na aaye ab, yeh pyaar ki bahaar,
inn chand yaadon ko gham-e-dil mein sambhaal loon.

num ho rahi hai aankh, dhundhlaate hain nazaare,
inn dubti aankhon se, nazaare sambhaal loon.

main thak gaya hoon aaj, manzil ka nahi pata,
dum bhar ko ruk ke, paaon ke kaante nikaal loon.

lo toot gaya aaj bharam pyaar ka dostoon,
jo zakhm pyaar ne diye, unko sambhaal loon. 

ab woh zamaane ki baatein karte hain

soorat -e- zindagi lafzon mein dikhane wali,
meri har baat hai be-perwah diwane wali…

humsafer banke mile the,
humkadam banke chale,
jara si baat par kashti meri dubo daali…

daur -e- chahat mein unhein har sitam gawara tha,
ab to har baat batate hain bahane wali…

azeej doston mein bhi raj ab dusman ho gaya,
jubaan to saaf hain unki magar niyat kaali…

jarurat mein kabhi kaam aa na sake,
jinpe bharosa kiya tha,
unhi ka gher khaali…

aur ab to wo bhi zamaane ki baatein karte hain,
jinhone tord di har rashm zamane wali…

yoon mila meri wafa ka sila unse,
fareb dil ko aur humein gaali...

na ummeed ho, na intezaar, na justjoo baki

yeh aarzoo hai ke na rahe koi aarzoo baki,
na ummeed ho, na intezaar, na justjoo baki...

kahne ko laut aaya hai mausam-ae-bahaar magar,
hai chaman mein bassi mere rang aur sugand baki...

taa umr diye hai jisse apno ne fareb,
karegi kya uspe sitam koi yeh aarzoo baki..

kya kya na paa liya khayaale yaar ke sajde,
rahi phir bhi magar khayaalon me bas tu baki,

kabhi inhi aankhon me basse the khwaab,
phir chalaka jo yaade-dariya, 
rah gaye bas aanshoo baki...

aaj muskura muskura ke royenge

zakhme dil chupa ke royenge,
khud ko aazama ke royenge,
dil kab se hai tere intezaar me,
jaane wale tujhko kya khabar,
hum tujhe bhula ke royenge...

ek khwaab tha jo khatm ho gaya,
jaaga na naseeb, wo so gaya,
aaj muskura muskura ke royenge...

begunahi ban gayi jo khata meri,
garr yahan huwa na faisla iska,
saamne khuda ke hum royenge...

pathar dil se pyaar kiya hai

pathar dil se pyaar kiya hai,
apna dil bekraar kiya hai,
jisse apni yaadoon ka hakdaar kiya hai,
ussne mujhe gum se aabad kiya hai,

chain aur karaar lut gaya mera,
jo jaan kar bhi anjaan hai mujse,
aye khuda ab to pighlade usse,

usse pyaar karne ki saaza na de mujhe,
pyaar agar ehsas hai, 
to ye ehsas karade usse...

ek raat ki baat hai

zindagi mein mil gayi phir woh,
ek raat ki baat hai,

kuch keh nahi paye hum,
waqt ki baat hai,

aankhon se aanshu baraste rahe,
jasbaat ki baat hai,

kuch na kaha kar bhi,
sab kah gayi woh,
andaaz ki baat hai,

chah kar bhi na rok sake usse hum,
haalat ki baat hai,

woh ab kisi aur ki hai,
kissmat ki baat hai,

yeh kehna na kisi se tum,
ek raaz ki baat hai...

kuch khawaaish abhi bhi baaki hai

dil ka kya hai woh to aapko hi sochta hai,
kehata nahi hai ye par, 
ek saath pane ki khawaaish baaki hai,

saath reh sake mumkin na ho magar,
meri zindagi me chahat abhi bhi baaki hai,

hum un kush naseeb waloon me hai , 
jinke dil me kashak abhi bhi baaki hai,

zindagi katam kar deena tik nahi hoga,
kyoki ek mulukkat teri-meri abhi bhi baaki hai,

khuda se khena dua kabul kare, 
ki kayi armaan abhi bhi baaki hai,

agar tu kar sake to bas itna kar, 
manjoor kar meri fariyaad,
ki milna abhi be baaki hai,

agar poori na kar saki ye khawish to yaad rakhna,
ki ek insaan ka karz abhi bhi baaki hai...

mere dil se aah nikal gayi

wo chali gayi mujhe chord ker,
main zaban se kuch to na keh saka,
mere dil se aah nikal gayi.

mere pyar ka ye silla diya,
ki nazar se mujh ko gira diya,
tujhe kya khabar tujhe kya pata,
meri subah raat me dhal gayi.

mere dil ka shehar ujard gaya,
mera rang rup bigard gaya,
jo dikhaya waqt ne aayana,
mere shakl hi mujhe khal gayi.

tujhe ye bhi shayed hai khabar,
hua kis gareeb pe kya asar,
mere dil pe bhool ki aarzu,
teri berukhi se kuchal gayi.

ye chaman me kaisi hawa chali,
meri zindagi hi badal gayi,
main zaban se kuch to na keh saka,
mere dil se aah nikal gayi.

kayi khawahisein hain iss dil ki

kayi khawahisein hain dil ki aapko kya maloom,
chand lamhein fursat ke nikaliye to bataye aapko.

kahin dil nahi lagta humara aapke bagair,
kisi waqt ho mulaqaat to bataye aapko.

koi kashish kheench laati aapke dar par,
yeh dor hain pyar ki, kaise dikhaye aapko.

belagaam se hue jaate hain jazbaat sanam,
ishq ki dastaan husn se hai kaise sunaye aapko.

kuch to dawa kariye iss dil ke marz ka,
har pal tardpta hai, sisakta hai, kaise bataye aapko? 

ab lagta hai jaise tum kabhi saath the hi nahin

mere kareeb se tum aise uthe,
ki ab lagta hai jaise saath the hi nahin.
sapne batorne ke liye waqt to mila,
par uss mukaam par mere haath the hi nahin.

sejh par saath dekar tum subah aise the ki,
ab lagta hai tum uss raat the hi nahin.
sapne batorne ke liye waqt to mila,
par uss mukaam par mere haath thhe hi nahin.

phir ek din tum ajnabi aise hue jaise,
dil mein kabhi koi jazbaat the hi nahin.
sapne batorne ke liye waqt to mila,
par uss mukaam par mere haath the hi nahin.

laut kar aaye, ek baar phir tum mere paas,
par tab wo haalaat the hi nahin.
sapne batorne ke liye waqt to mila,
par uss mukaam par mere haath the hi nahin.

wo rahe salaamat rahe roshan jhaan unka

wo rahe salaamat rahe roshan jhaan unka,
jinke leye humne apna aashiyana jalayaa hai,

har dhadkan se pehale woh yaad aate hain,
ki dil mein unhein ess kadar bashaaya hai,

unki yaad mein gujar jaaye tamam umar saari,
pyaar ko unke hum ne zindagi banaya hai,

woh bhi bhool se kar lete honge yaad kabhi humein,
aakhir unki khatir humne jamane ko bhulaya hai,

karu kya fariyaad kisi khuda se,
ki unko he humne apne dilme basaaya hai,

wo mujh se ab toord rahein hain nata janmo ka,
jinke leye jamane ko humne thukraya hai,

unki khusiyon ka ho jhaan itnaa,
jhaan tak dharti per amber ka saya hai..

All Time's Favourite Posts