zindagi hai narak jab hum tannha hain

duwa hai meri us rubb se,
ke tumhein bhi pyar ho jaye kisi se,
dil torde woh tumahra aur,
na pa sako tum ussi ko...

pyar kerte hai jisse
jab woh nahi milta hai,
raat din dhondte hai unko,
per woh nahi milta hai,

tumara bhi hoga yeh haal to,
samjhoge tum pyar kya hai.
zindagi hai narak jab hum tannha hain...

takta hoon sunni raahon ko

aye khuda kabool kar kabhi, meri mangi huyi duanon ko,
unke ek didar se nawaz de, in tarsati huyi nighaon ko,

har pal tujhe yaad karta hoon, har roz tujhe message likhta hoon,
teri khabar mujhko de jaye, karta hoon minnat in hawaon ko,

maine kabhi yeh keh na paunga, mujhe bas tumhi se pyar hai,
meri dil ki baat tu jane le, aur sunn le khamosh sadaon ko,

jin rahon se tu chali gayi, kabhi phir na laut kar aane ko,
main aaj tak baitha hoon waha, takta hoon sunni raahon ko.

mohabbat pal pal marti hai.

patjhad ke soone mousam me, 
kuch phool khilao to jaane,
aankhon me jinki aashu hai,
khushboo bikherao to jaane,

jeewan ki jyoti jalti hai, 
aankho me basta sapna hai,
un sunder pyare sapno ko,
parwan chardo to jaane,

tardapti saam ki tanhai,
tujhko yaad karti hai,
ke jal ke her sama her dam,
yahi fariyaad karti hai,

chala ja tu parwane,
tujhe kasam hai chhahat ki,
ke de ke roshni kaise,
mohabbat pal pal marti hai...

dil bekarar ho to bhi karaar ho

baat achhi hi nahi asardar ho,
main jo bhi kahoon unko aitbaar ho,

zaroori nahi unko mujh se pyar ho,
main bekarar rahoon to woh bekarar ho,

kaun sath hai janege tab hi aap,
tufano ka jab koyi asaar ho,

jalaana hai ghar to jalayege zaroor,
charagon se dosti hazaar bar ho,

kuch is tarah bana mujhko aye khuda,
dil bekarar ho to bhi karaar ho,

jism se pyar hai.. pyar kuch aisa,
jaise deewar ki tasweeron se pyar ho,

sukoon jab mile, mile sada ke liye,
dard jab bhi ho woh aakhri bar ho,

dil mein khulos ho to fikr nahi hai,
kaise alfaz mein izahar-e-pyar ho

kisi na kisi bahane hamein yaad karna

tumhein yaad karte karte, hum khud ko bhool jayenge,
tumhari khushiyon mein apne aap ko khush kar liya karenge,
kasam hai hamein hamare pyaar ki,
tumhari khatir khud ruswa ho jayenge,

tumhari yaadon ke sahare zindagi yun hi beet jayegi,
tumhari ek nazar se hi ye kali khil jayegi,
tumhare liye duniya se to kya khuda se lard jayenge,
jaise zindagi ki khwahish karogi waisi mil jayegi.

ek khawaish hai hamari puuri zarur karna,
khushiyon me na sahi, gham me karna,
pyaar se na sahi, nafrat se karna,
kisi na kisi bahane, hamein yaad zarur karna.

mere bin bulaaye gham dobaara mujhse milne aaye hain

aaj phir dil pe mere beshumaar udaasi ke berang se saye hain,
mere bin bulaaye gham dobaara mujhse milne aaye hain,

socha tha jaise aaye hain waise hi yeh saare laut jaayenge,
par saath apne wo mere taa umr ke yaadein laaye hain,

kitna chaaha tha phulon se mehekegi mere ghar ki chaukhat,
aaj phir dar-o-deewar maine behisaab kaanton se sajaaye hain

kaash hote yeh bhi bewafaa is patthar dil zamaane ke taraah
aaj mere ghar yeh phir apne wafaa ke geet sunaane aaye hain

nahi milegi khuhsiyaan tumhe kabhi aye naa-samajh raj,
yahi batlaane mere ye gum mere tutte ghar me aaye hain

tanhai me hum kabhi to yaad aate to honge

duniya ke samne woh bhale hi hamein bhulate hain,
magar tanhai me hum kabhi to yaad aate to honge,
pahle sitamgar ban kar kiya hamare dil ko zakhmi,
ab yaad kar apne sitam aaankho me ashk bahate to honge,

jo di thi humne unhe apne pyar ki pahli nishaani,
dekh dekh us nishaani ko meri apne seene se lagate to honge,
jaise hum jaagte hain raat bhar yaad kar unke pyaar aur sitam ko,
wiase khwab hamare bhi kabhi kabhi unhein bhi jagate to honge,

un par bhi asar jaroor hoga yaroo meri deewangi ka,
woh likh kar mera naam bar bar tadap kar usse mitate to honge,
hota na hoga jab kabhi deedar humara unki nigahoon ko,
fir na jaane kaise magar apne dil ko samjhate to honge,

majbooriyan ban gayi ho chahe bandhishe hamare pyar me,
yakinan woh mujh se milne ko kadam badhate to honge,
maloom hai hamein roota hoga bahut tab unka dil bhi,
unke ghar wale unse kabhi baat rishte ki chalate to honge..

meri barbadi par aap koi malaal na karna

meri barbadi par aap koi malaal na karna,
bhool jana....

ab mera khyal na karna,
hum aapki khushi ke liye kafan odh lenge,
par aap mere laash se koi sawal na karna..

dard bhi mehsoos na ho kehti hai woh

intzaar ki sulli pe bhi chadhati hai woh,
dard bhi mehsoos na ho kehti hai woh,

nafrat ki agg bhi barsati jati hai woh,
iss ki jalan mehsoons na ho kehti hai woh,

dard judai ka de kar marrti hai woh,
iss judai se maut na mille kehti hai woh,

mohabbat ke liye zinda rahe chahti hai woh,
mohabbat mein saas bhi na chale kehti hai woh,

darde dil darde jigar dil mein jalati hai woh,
darde dil ka dard bhi na ho kehti hai woh.

kuch kami si hai tere bagair

waqt apni rafftar se chal raha hai,
aaj kuch kami si hai tere bagair,
na rang hai na roshni hai tere bagair,

waqt apni raftar se chal raha hai,
magar dhadkan thami si hai tere bagair,

na baarish hai na dhuan phir bhi,
dil me tapish di hai tere bagair,

bahut roka sanshoon ke badalon ko barasne se,
phir bhi aankhon me nami si hai tere bagair...

shikayat kisise kya karein

shikayat kisise kya karein,
jab takdir hi bewafa nikali,


jo raah manzil tak pahuchati hamein,
wo raah hi sholon se jalti nikali,

thi ummeed ki khuda ko ayega rahem hum par,
wo bhi to hamare nasib me khushiya likhna bhul gaya,

par usne hamari takdir me to unka dard likh diya,
unki lakeeron me hamara naam likhna bhul gaya…

dil ki khwahish hai ke tumhein choo ker phir se dekhoon

meri sanson me teri khushboo to basi aaj bhi hai,
dil ki khwahish hai ke tumhein choo ker phir se dekhoon,

faaslay itne bhi ho jaayenge sochha hi na tha,
tere ehsas me teri tasweer main kab tak dekhoon,

kaise do raahe per kharda hoon ke rashta kisse puchoon,
dard hai unse judaai ka, khud ko tardapta dekhoon,

tera ehsaase janoon mujh ko bhi pyara hai magar,
ishq ke anjaam me apne liye fazzihat dekhoon,

dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai,
teri aankhon me wohi pyar main phir se dekhoon,

main ne har lammha khuda se manga hai dua,
main tere pyar ka mausam phirse dekhoon.

bahut akela hoon main

sab kuch hai mere pas phir bhi aakela hoon main,
khatam ho gayi sari pyaas phir bhi aakela hoon main,
zindagi ki jaddo jehadd se lard kar jeete hai hum,
mehfil ki rooshani to hai phir bhi aakela hoon main...

bachpan ke natkhat din ab yaad hi nahi mujhe,
ki koi dost hamara bhi raha hoga us waqt,
aakele hi tanhaiyo me baatein kiye hai khuda se,
aaj rehmat hai khuda ki 
phir bhi aakela hoon main...

ek ajnabi halaat se meri zindagi ujad gayi,
bahut roya tha main jab mera pyar mujhe chord gayi,
uski yaado ki tapish har pal mujhe rooshni deti hai,
uska ehsaas hai mere yadoon me magar,

hakikat me phir bhi aakela hoon main...

apne pyar ko jee bhar ke dekha hi nahi inn aankho se,
puchhta hoon aaj bhi, kyo di humein ye saza khuda ne,
kya itna barda gunah tha mera, ke chord diya mujhe sabne,
jahan me daulat hai..  sohrat hai.. 
phir bhi aakela hoon main...

jab naraj hota hoon to koi manane wala nahi hai,
jab khush hota hoon to koi jatane wala nahi hai,
kab tak ish duniya me mar-mar kar jeete rahenge hum,
bhej de mere maula unhein bahut akela hoon main...

intezar hai unka ki wo hamare paas bhi aayegi,
mere yaar ki inayat mujh pe bhi kabhi hogi,
zindagi se sab kuch jeete baithe hai bas unki kami hai,
bhej de mere maula unko bahut akela hoon main...

mere khaak me mil jaane ki jab unko khabar gayi

mere khaak me mil jaane ki jab unko khabar gayi,
laboon pe hassi aur chamak chehare pe chhaa gayi,

tootegaa jab bhi baandh iss aashiq ke sabr ka,
tera bhi ghar bahegaa in aanshuon ki baard me,

siyaasat ka kaarwaan gujraa jidhar-jidhar se,
basti huyi barbaad udhar se,

utar kar meri aankhon me samundar ki jhalak dekho,
dekhna hai jo saagar to sanam dil me mere dekho,

teri rushwaaiyon ke dar se jo rashte se hatt gaye,
manzil ko chord kar sanam sahara me fass gaye

uske pas aane ko jee chahta hai

uske pas aane ko jee chahta hai,
dil me samane ko jee chahta hai,
zamana mera aazmaya hua hai,
ab usse aazmane ko jee chahta hai…

wahi baat reh-reh ker yaad aa rahi hai,
jise bhul jane ko jee chahta hai,
labo par mere khilti hai hassi,
jab aanhsu bahane ko jee chahta hai,..

taklif utha kar bhi mohabbat-a-dil-lagi me,
mohabbat se usme bas jane ko jee chahta hai,
rukh aye zindagi se nakab utar ker,
mohabbat ki haqikat ko dikhane ko jee chahta hai..

bhul jaau main uske ishq me yeh dunia,
kuch is tarah uske paas jane ko jee chahta hai….

mera unhein yeh paigaam dena

jaane waalon unke desh mein jaao agar,
to iss aashiq ka unhein yeh paigaam dena,
yaad mein yunhi guzarte hain subah-o-shaam kehna,

zindagi ka thikana, soch ka fasana woh hi hain,
dil unhi ka hai, zindagi bhi unhi ke naam hai kehna,

deewaron pe unka naam na likhne ki wajah kehna,
kalam aur haat ke beech mera ranjish kehna,

jaane waalon agar yeh kehne ka waqt na mile to,
bas ek ashiq ka jhuk kar unhein salaam kehna. 

aisa din aayega kab

apne kismat me likha tha unke zulm ka shaya kab,
jisko humne tut k chaha, usne humko chaha kab,

ek se ek mile to aksar wo 11 ho jate hain,
itni choti baat ko wo samjhegi humshaaya kab,
ek din aisa bhi aayega ki hogi sacchi ki jeet,
sab kehte hain aisa hoga, 
par wo din aayega kab..?

khuda ne kash mera naseeb bhi sanwara hota

kash is zindagi mein koi haseen sahara hota,
mere is tanhaai ka kahi to kinara hota,

ghamon ki dhoop mein ghane julfon ka chaya milta,
kinhi do haseen aankhon mein apna saya milta,
khwabon ki bahon mein apna bhi gujara hota,

kahi kisi ki aankhon mein mera bhi intezar rahta,
kisi ke dil mein thoda hi sahi pyaar rahta,
jise main dekhta to farishton ka nazara hota,

aag ka dariya bhi paar karta main pyaar ke liye,
apni zindagi bhi lutata apne yaar ke liye,
khuda ne kash mera naseeb bhi sanwara hota.

iss dard se chhutkara dila de

har lafz kitabon mein tera aks liye hai,
ek phool sa chehra mujhe pardhne nahi deta,

chahta bahut hoon ki yaad na karu tujhe,
par ye kambakht dil hai ki maanta nahi,

ummid ki shama dil mein jalaa kar main,
aaj bhi raah takta hoon khirdki pe khada hokar,

jis dard se roz lakhon baar marta hoon main,
kya tune us dard ka ek katra bhi khud mein dekha hai ?

kya tum bhi thoda sa dard mahsoos karti ho?
har pal duaaon mein maanga tha jisse,

aaj bhi maangte hain dil-o-jaan se usse,
aye khuda, kitna bereham ho gayi meri mehbuba,

mere 
mehbuba ka dil pighla de,
naa jaane yeh kaisa kehar naseeb hua hai?

aye khuda iss dard se chhutkara dila de,
raasta yahi hai ki maut aa jaaye ya
mere pyaar ka pyar dila de..

iss dard se chhutkara dila de,
chhutkara dila de..

lout aana meri duaaon mein dhal ke

lout aana meri duaaon mein dhal ke,
badalon ki haseen badliyoun se nikal ke,

main gin raha hoon tere aane ki ghardiyan,
jaldi se aaja hawaoon pe chal ke,

khalish zindagi ki tu aaye to phur ho,
mukammal bana de aarzu mein badal ke,

talab mein teri main kaise jeeya hoon,
rahon mein kante chaalon mein sambhal ke,

safar aashiqi ka yeh kya rang laya,
ab mohabbat ne manga natija machal ke,

isharon se shaiki yehi lag raha hai,
na diya woh jalayegi tere mehel ke

aankhon mein pani jane kyun nikal aate hain

tanhaai mein jo seene mein machal jaate hain,
dard wahi mere lafzon mein dhal jaate hain,

jin ke pehlu mein dhadakta hua dil hota hai,
gham ke siddat se wahi log pighal jaate hain,

bahut koshish karte hain chhupane ki isse,
aankhon mein pani jane kyun nikal aate hain,

sochte hain ki chhord denge is shehar ko ab,
pata nahin kaise mere irade badal jaate hain,

bhatak jate hain kabhi-kabhi kisi raah se hum,
par ab tanha-tanha hi hum sambhal jaate hain.

chupayenge jab jab woh apne aanshu

hoga dard to hum muskura lenge,
kisi ke tute dil ko hum sine se laga lenge,

chupayenge jab jab woh apne aanshu,
hum bhi kisi kone mein jakar apne ashk baha lenge.

door jakar bhi tum se hum door ja na sakenge

door jakar bhi tum se hum door ja na sakenge,
tumhari yaadon se khud ko bacha na sakenge,

wada kiya tha kabhi sath dene ka umar bhar,
hai afsos bahut ki apna wada bhi nibha na sakenge,

puchenge kabhi wo mujhse mere aansuon ka sabab,
na jane kyon hum haal-e-dil unhein suna na sakenge,

mere liye maut ka doosra naam hoga judaai unse,
door rahkar unse khud ko kabhi behla na sakenge,

aayenge woh aksar khawabon ke jahan mein mere,
magar hum hath badha ke bhi unhein pa na sakenge.

tannha raston ka ek safar hai yeh zindagi

tannha raston ka ek safar hai yeh zindagi,
aanshuon ka ek raahguzar hai yeh zindagi,

jo chaudhin raat ko dhoondhe chandni,
kuch aisi betaab nazar hai ye zindagi,

aaj bhi tanha hai mohabbat ke baad bhi,
jaise ek sooni-sooni dagar hai ye zindagi,

khone pane ke do kinaron mein bat kar,
kabhi idhar to kabhi udhar hai ye zindagi,

dil mein ghamon ka tufaan samet kar,
ro kar muskurane ka hunar hai ye zindagi.

kaha socha tha ki phir ajnaabi ho jaayenge

jo guzare hain lamhein, unhi ko yaad karu,
kaho kaise hum yun, ek bhi pal bhulayenge,

kal mile bhi agar, hogi na koi ranjish humko,
phir bhi guzare lamhein, aankhon mein jhilmilayenge,

ek rishta, ek mohabbat, teri chahat ki kasham,
band nazro mein bhi, chehara tera hi paayenge,

ro raha hoon ess haseen chaandni mein,
bhor hone tak yun hi, aapna dil jalaayenge,

tujhe puja tha, shayad tha yahi kusoor apna,
bewaafai ka bhi hum ilzaam liye jaayenge,

kaun kehta hai ki humko, hai koi hosh nahi,
hosh waalein kaha yeh, baat samajh paayenge,

mile the, hum bhi kabhi ajnaabi bankar,
kaha socha tha ki phir, ajnaabi ho jaayenge

koi tumse pooche kaun hoon main

koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

ek dost tha, kaccha pakka sa,
ek jhooth tha, aadha saccha sa,
jazbaaton ko dhakke ek parda tha,
bas ek bahana tha wo accha sa...

jeevan ka ek aisa saathi tha,
jo door ho ke pass nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

hawa ka ek suhana jhokha tha,
kabhi nazuk to kabhi tufaano sa,
sakal dekh kar ab jo nazrein pher le,
kabhi lage apna to kabhi begaano sa...

zindagi ka ek aisa humsafar,
jo samandar to hai, par dil ka pyaas nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
yaadon mein jiska ek dhundla chehara reh jaata hai,
yuh to uske na hone ka kuch gam nahi,
par kabhi-kabhi aankho se aanshu ban ke beh jaata hai...

yuh rehta to mere dil mein tha,
par in aankho ko uski ab talaash nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi...

dekh kar mujhe apne sabhi gam chhupa leta hai,
meri aahat pe he apni palkein sukha leta hai,
jis kandhe par gair bhi aa kar roya karte hain,
bana kar paraya, ussi par se ser utha leta hai...

tum kehti ho ki apno mein he shamil hoon main,
par dil mein kahi ab bhi mujhe pe vishwaas nahi,
koi tumse pooche kaun hoon main,
tum keh dena koi khaas nahi…
tum keh dena koi khaas nahi…

kyun meri majbooriyon kaa fayda uthaya tumne

kyun meri majbooriyon kaa fayda uthaya tumne?
kyun duniya ke saamne mujhe jhuthlaya tumne?

gairon ka haath kya khoob thama hai,
kyun ek mujhe hi apna naa banaya tumne?

main to tere ishq mein barbaad ho chala hoon,
kyun meri mohabbat ka mazaak urdaya tumne?

log to kehte the ki pyaar khuda hai,
kyun pyaar ka naam mitti mein milaya tumne?

kabhi waada kiya tha saath jeene marne ka,
kyun mujhko jeete jee maar dala tumne?

tutane ki koi sada hi nahi

tutane ki koi sada hi nahi,
dil ka sheesha magar bacha hi nahi.
yun to har pal jee raha hoon magar, 
zindagai ka kahi pata hi nahi.
ho gayi hain udaasiyaan itni, 
ab hassne ki main sochata hi nahi.

All Time's Favourite Posts