haath mein tasweer hai unki aur main tannha hoon

saza raha hoga wahan koi daur-aye-mehfil aaj,
har taraf khushi ka aalam, aur main tannha hoon,


mausam ki tarah hi roz rang badalte hai woh,
waada kiya tha aaj aane ka aur main tannha hoon.


tannha hoon, tannha hoon, aaj main tannha hoon,
mehfil jawaan hai wahan aur main tannha hoon.

maikash hain udhar, idhar maikade ke bahar khada hoon,
haath mein jaam hai mere aur main tannha hoon.

shaam ki taraha dil mein andhera sa ghirne laga,
subah ke ujaale hain aur main tannha hoon. 


ek chehra hai jo dil mein bas gaya hai,
haath mein tasweer hai unki aur main tannha hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts