dil ki lagi ne mujh ko shayar banaa diya hai

tufaan ne iraadon ke sar ko jhuka diya hai,
shayad iss safar ne mujh ko thaka diya hai,

mere saamne bhi rehkar tu talaash kar na payi,
khud ko hi maine khud mein aise chupa diya hai,

tujhe bhulna bhi jaise ek haadsa tha mujh par,
tujhe bhulne ki khaatir, khud ko bhula diya hai,

jab zikr mehfilon mein teri wafaaon ka aaya,
maine jubaan pe apni talaa lagaa diya hai,

kismat mein yakin aye dost hota tha kabhi mujhko,
kismat ne mujhe lekin dhokha bada diya hai,

jab dost mujhse teri koi baat cherdhte hain,
kehta hoon maine tujhse piccha churda liya hai,

naraaz ho na jaaye kahi andhera bhi mujhse,
ye soch kar roshni ghar ka bujha diya hai,

ganimat hai ki mujh ko gum tujhse mil gayi hai,
varna teri wafaaon ne humein aur kya diya hai,

baat kerna bhi humein kahaan aata tha,
dil ki lagi ne mujh ko shayar banaa diya hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts