mujh ko mera chaand dilaa do

door gagan mein khada hua hai,
kitna akela pada hua hai,

woh bhi bechara meri tarah hai,
tannhai mein ghira hua hai,

ussko mere paas laa do,
ya mujhko usske paas bhijwa do,

mujh ko maa mera chaand dilaa do,
ghar mein mere chaand bulaa do,

door gagan mein baah pasaare,
mujhko mera chaand pukaare,

door hai mujhse saari duniya,
door hain usse saare taare,

woh mujhko awaaz lagaaye,
usse meri mulakaat karwa do,

mujh ko maa mera chaand dilaa do,
ghar mein mere chaand bulaa do,

gayi raat main soya nahi tha,
chaand gagan mein khada hua tha,

usse usske ghum main puchun,
itna bhi main bada nahi tha,

jab tak chaand nahi soyega,
mujh ko bhi saari raat jagaao,

maa mujh ko mera chaand dilaa do,
ghar mein mere chaand bulaa do.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts