koi marr jayega honthon par teri pyas liye

raaz ki baat hai raaz hi rehne de,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
kayamat ke din tak tujhse milne ki aas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

etiyaatan tu bhi usse cum hi mila kar,
sunnte hain ishq ka koi imaan nahi hota,
yun to ishq har dil ka armaan nahi hota,

kaano mein teri awaaz ka ehsaas liye,
koi marr jayega honton par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

zamana sunega to tujhe pather dil kahega,
issliye apni aadaton ko pardanashi kar de.

tujhe kya ere ghum mein koi khudkhushi ker le,
ek nakaam aashiqi ka itihaas liye,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

tu inn sab baaton ko dil pe na liya kar,
apni mehfilon ki roshini mein kho ja,
apno ko chord ker kissi gair ki ho ja,

tere liye armaan dil mein kuch khaas liye,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

zindagi ke maaron ko maut ka hi aasraa,
manzil to har ishq ka haansil nahi hota,
har shaks ishq ki nemat ke kaabil nahi hota,

raaj khwabon ki iss basti se sanyaas liye,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts