ban ban ke har umeed toot jaati hai

dard ka aalam jaate nahi jaata hai,
din raat bas mujhe sataata hai,

na samajh mein aaye ki yeh andhkaar kab mitega,
na yakeen aaye ki khushiyon ka daaman mujhe bhi milega,

ban ban ke har umeed toot jaati hai,
behlaati hai mujhe, kabhi mujhe tord jaati hai,

maayoos rehna meri aadat nahi doston,
par har mord pe zindagi maayoos chord jaati hai,

jab kabhi aati hai khushiyan nazar door kahin se,
na jaane kyun wahin se woh laut jaati hai,

dard ka aalam jaate nahi jaata hai..


sabrr toot raha hai har umeed ke saath,
na jaane chaah kyun ab bhi jee jaati hai,

na yakeen hoga marna ke baad bhi
ki marr gaye hain hum,
unki yaad kuch is kadar hi aati hai,

milan ki ghadiyan door ho jitni,
chaahat unhein dil se bulaati hai,

mitt jaayega yeh andhera,
khatam hoga dard ka aalam bhi,

yehi har roz dua mein meri chaahat dohraati hai,
dard ka aalam jaate nahi jaata hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts