andhera ho raha hai
din dhal raha hai shaayad,
ek ghum-naam dard liye
dil jal raha hai shayad.
takleef hai iss badan mein,
aankhon mein nami nahi,
kuch ashq liye in hawaaon par
koi chal raha hai shayad.
askon se dhule palkein
yun takkraa rahe hain,
waqt ka lekar sahara
koi sambhal raha hai shayad.
ek ajab si halchal
ho rahi hai mann mein,
nindon mein koi karwat
badal raha hai shayad.
roz nikalti hai zindagi
jaise insaan ke wajud se,
armaan kayi iss dil ke,
nikal raha hai shayad.
din dhal raha hai shaayad,
ek ghum-naam dard liye
dil jal raha hai shayad.
takleef hai iss badan mein,
aankhon mein nami nahi,
kuch ashq liye in hawaaon par
koi chal raha hai shayad.
askon se dhule palkein
yun takkraa rahe hain,
waqt ka lekar sahara
koi sambhal raha hai shayad.
ek ajab si halchal
ho rahi hai mann mein,
nindon mein koi karwat
badal raha hai shayad.
roz nikalti hai zindagi
jaise insaan ke wajud se,
armaan kayi iss dil ke,
nikal raha hai shayad.
No comments:
Post a Comment