tera naam tha tera naam hai

tera naam tha tera naam hai,
jo main likh ker mitaya kerta tha,
tera naam tha, tera naam hai,
gali gali tere naam se ek shaks
badnaam tha, badnaam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
woh jo ghul gaya mere jism mein,
tera ehsaas hai, mere paas hai,
kayamat se tujh bin bhi mujhko
aaraam tha, aaraam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
mushkil tha ki kat-ti zindagi,
teri raah mein, teri chaah mein,
ek khawaab barso se aankhon ka
mehmaan tha, mehmaan hai.

tera naam tha, tera naam hai,
yehi mera andaaz-aye-zindagi tha,
kuch kho diya aur roo diya,
tamasha bazaar-e-mohabbat mein
sar-e-aam tha, sar-e-aam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
jo bhi rahe hum bas unke hi rahe,
aashiq kaho ya paagal kaho,
intezaar humein unke aane ka
har shaam tha, har shaam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
ek tere rishte ki khaatir main,
kabhi jhuk gaya aur ruk gaya,
tere pehlu mein zindagi guzare,
ye armaan tha, armaan hai.

tera naam tha, tera naam hai,
jo paas tha humare woh de diya,
wo wafaa kahein ya zafaa kahein
tujh par mar mitna...
aasaan tha, aasaan hai.

tera naam tha, tera naam hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts