kyun uth rahi hai dil mein tujhe paane ki hasrat

kabhi maut ki tamanna, kabhi zindagi ki hasrat,
kabhi jashn-e-ranjish ghum ka to kabhi khushi ki hasrat,

jinhe daulat ki chahat, unhe daulat de de ya rab,
mujhe thi, hai aur rahegi bas uski hasrat.

main tauba kar chuka hu , main khud se mukar chuka hu,
kyun uth rahi hai dil mein, phir maikashi ki hasrat?

agar naamunkin hai use paana aur dekh ke bhul jaana,
dil kar raha hai kyon phir bhi us chandni ki hasrat.

main arthi se uth chuka hu, phir se zinda ho chuka hu,
ho gayi hai mujhko tumhein gale laggane ki hasrat.

bewafaai tune ki hai, badduayein tune di hai,
dil mein uth rahi hai phir bhi tujhko paane ki hasrat.

ye ishk nahi to kya hai, ki tu hi mera khuda hai,
teri chaukhat pe ho rahi hai apni chitta jalane ki hasrat.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts