woh yaadein hain jo hum gungunate hain

woh yaadein hain jo hum gungunate hain,
mehfil apni tannhai se sajate hain,

zinda hain abhi bhi intezaar mein unke,
dekhkar unko saansein thaam baith jaate hain,

je rahe hain zindagi apni, khwaabon ki duniya mein,
par ashkon ke tufaan mein ab to khwaab bhi dubb jaate hain,

ab roshani bhi andhere ki talash mein pard gayi hai,
gham ki nami mein palkein bhi jhuk jaate hain,

dhundon kaise khushiyan, yeh hain dard ke paighaam,
khuda kya kare, ab hassi mein bhi aashu nikal jaate hain,

woh yaadein hain jo hum gungunate hain,
mehfil apni tannhai se sajate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts