kash ki insaano ki tarah neend bikkti aur sukoon bikkta

kash ki har cheez ki tarah,
ishq bikkta, dil-e-nadan bikkta,
kash ki insaano ki tarah,
neend bikkti aur sukoon bikkta.
bazaaron mein taraasha hua husn bikk raha,
ruh naa bikk saki to kya, jism bikk raha,
kash ke kuch sapno ki tarah,
main bikkta mera junoon bikkta,
kash ki insaano ki tarah,
neend bikkti aur sukoon bikkta. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts