mujhko mere yaar ka pata de de

zamee na de aasmaa de de,
zindagi mujh ko aasraa de de,
pyaar na de sake to koi baat nahi,
aur kuch mujh ko pyaar sa de de.

aaj tak teri har baat maani hai,
uljhi uljhi si meri kahaani hai,
dil par meri teri hi nishaani hai,
chaar din ki bas meri jawaani hai.

yaar na de to koi baat nahi,
aur koi mujh ko yaar sa de de,
pyaar na de to koi baat nahi,
aur kuch mujh ko pyaar sa de de.

jalta diya hoon to bujha de mujhe,
koi yaad hoon to mita de mujhe,
koi hasrat hoon to dabaa de mujhe,
neend mein hoon agar to jaga de mujhe.

haansil na ho to koi baat nahi,
bas mujhe sapna bahaar ka de de,
pyaar na de sake to koi baat nahi,
aur kuch mujh ko pyaar sa de de.

khwaab na de neend bhi le le,
hasratein na de, fikr bhi le le,
chaand na de, raat bhi le le,
naam na de, zaat bhi le le.

par mujhe yaar ka pata de de,
zindagi mujhko aasraa de de.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts