wafa par tika rahu yeh muskil to nahi

bhulana teri aadat hai sahi,
par yaad rakhana muskil to nahi,

pyar kerna.. chord dena tera swabhav,
pyar ko pyar hi rakhna muskil to nahi,

mana woh bewfaa hai to kya hua,
khud wafa par tika rahu yeh muskil to nahi,

muskilein aayegi har daur mein,
samadhan ki koshis karu yeh muskil to nahi,

gar main marr bhi jaau to koi baat nahi,
apane path par rah ke jeena muskil to nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts