ek daur aisa tha

tu akele milti thi
ek daur aisa tha,
dil bahut machalta tha,
ek daur aisa tha.

bekhudi ka woh mausam
kitna achha lagta tha,
har kadam behakta tha,
ek daur aisa tha.

kis tarha bhula doon
tere saath ke woh din raat,
chand hum se jalta tha,
ek daur aisa tha.

tu udaas lamhon mein
mujh ko ordh leti thi,
main tujhe pehanta tha,
ek daur aisa tha.

mujh se teri doori ka
ghum saha na jata tha,
sab se main ulajhta tha,
ek daur aisa tha.

tum to sab baharon
ko saath apne le gayi,
kabhi apna ghar bhi mehakta tha,
ek daur aisa tha.

sab andheri raaton ko
mera saath chord dete the,
tu nahi badalti thi,
ek daur aisa tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts