ek tha main ek thi zindagi

ek tha main ek thi zindagi,
zindagi meri nahi magar main zindagi ka tha,

woh shayad sapna hi to tha,
jo kabhi apna naa ho saka,

bas kuch khawaab the,
jo apni jeb mein bhara tha,

uske darwaze par bikhra tha,
kuch alag-alag se naam dekar,

soch meri jaise ghul gayi ho,
kisi veeraan se registan mein,

jahan na uski hansi thi,
na uska koi wazood tha,

na hi koi sapna naa koi khwab tha,
bas tha ek lamba intezaar,

ek mulaqaat ka,
pigaltee barsat ka,
ussi baat kaa, ussi saath kaa.

jise maine kabhi gale se lagaya tha,
sajaya tha apni zindagi mein,

saalon-saal jin ke liye main tardpa,
kya woh bhi kabhi mere liye tardpi hai,
ya yeh bas ek chalaawa tha,

kisi anchaahi dastak ka,
kuch kori yaadon ka,
andhera bhara hua hai,
woh kaala andhera shayad,

gehri raat ka suchak hai haan !
woh aaj khush hai ki unse,


na mili koi baat naa jazbaat,
naa koi barsaat naa mera saath.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts