ek shayar tha jo muskurana chaahta tha

soyi kismat ko jagaana chaahta tha,
ruthe dilbar ko manaana chaahta tha,

chaahti thi woh mujhe ek hadd se bhi jada,
phir mujhe woh kyun rulaana chaahti thi?

unke dil mein aa gaya tha soch kar
rehne ko main ek thikana chaahta tha,

pyaar mujhko na mila iss dhraa mein,
kehne ko mujhko zamaana chaahta tha,

meri yaadein unke dil ka tha sukun,
phir woh mujhko kyun bhulana chaahti thi?

marr gaya mujh mein woh jo ek shaks tha,
har haal mein unko main bachaana chaahta tha,

hai hakeeqat unhone mujhko tord daala,
main bhi shayad tut jaana chaahta tha,

kerke kinara mujhse mera humsafar,
jaane kya mujhse chupana chaahti thi?

mujh ko tannha jaanker woh hasina,
apne seene se lagaana chaahti thi,

hokar khada woh aaine ke saamne,
aaine ko kuch bataana chaahti thi.

chatpata-ta reh gaya dil ka kabutar,
teer teri aankhon se khana chaahta tha,

mujhse ho ker paraya mera naseeb,
dil ke rishte ko nibhaana chaahta tha.

unke seene mein dhadakna chaahta tha,
ruh mein usski main samaana chaahta tha,

saari duniya ko chala ker aa gaye hum,
aur woh humko chalaana chaahti thi?

thi iss tarah mujhko talab uss shaks ki,
har haal mein main unko paana chaahta tha,

mere kareeb aa raha tha unka har kadam,
woh jo door jaane ka bahaana chaahti thi.

zindagi mein apni itna hi likha hai raaj,
ek shayar tha jo muskurana chaahta tha. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts