yeh jaane kaisa daur hai, yeh tu hai ya koi aur hai

aadmi ki bhird mein mujhe aadmi ki talaash hai,
mujhe maut ne thukra diya zindagi ki talaash hai,

kuch manzile dikhla sake, kuch rasta batlaa sake,
koi aisi jagah le chalo mujhe roshni ki talash hai,

woh dekhkar roti rahi, main soch kar rota raha,
in ashko ko jo rok sake mujhe us khushi ki talaash hai,

yeh jaane kaisa daur hai, yeh tu hai ya koi aur hai,
naam uska bata na de tujhe jis kisi ki talaash hai,

jab ghar humare aayegi phir laut kar na jayegi,
kahi aarzu zinda mile, mujhe us ghadi ki talaash hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts