kuch dost bahut yaad aate hain

main yaadon ka kissa likhu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,
maine gujare pal ko sochu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

ab jaane kaun si nagari me,
aabaad hai jaaker muddat se,
main der raat tak jaagu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

kuch baatein thi phoolon jaisi,
kuch lahaje khusbu jaisi,
main sehar me kabhi jo tahalu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

sabki zindagi badal gayi,
ek naye sere se dhal gayi,
kisi ko naukari se fursat nahi,
kisi ko doston ki jarurat nahi,
koi pardne me dubba hai,
kisi ki do do mehbubaa hai,
saare yaar gum ho gaye,
tu se tum aur aap ho gaye,
main gujare pal ko sochu to,
kuch dost bahut yaad aate hain,

dhire dhire umar kat jaati hai,
jeewan yaadon ki pustak ban jaati hai,
kabhi kisi ki yaad bahut tardpati hai,
aur kabhi yaadon ke sahare zindagi kat jaati hai…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts