bomb kahi par phoota hai

ek mere jaisa ladka hai,
mere hi desh mein rehta hai,
mere sath khela hai sada
mere sath hi jagata hai.

us mere jaise ladke ke
nayan aaj kyon rote hain,
us ke papa kal se ab tak
apne ghar nahi laute hain.

phone utha ke idhar udhar
maa kuch baatein karti hai,
sawal poochti darte darte
jawab se aankh yeh bharti hai.

bachha woh rote rote hi
aakhir soo hi jata hai,
chonk chonk ke jaag jata hai,
papa ka yaad to aata hai.

ek din bhi bin papa ke
neend naa usko aata hai,
sapne mein jhagard raha papa se
aansho woh khoob bahata hai.

maa ka hath hai uss ke sar par
yeh rishta khoob anootha hai,
samachar mein dekh raha,
bomb kahi par phoota hai.

us mere jaise ladke ke
ab nayan sada hi royenge,
maa ne kah dala hai uss se,
ab papa nahi aayenge.

jo yahan wahan bomb rakhte hain
kya mujh ko samjhayenge,
un ke bachhe kya sochenge
gar woh ghar naa jayenge??

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts