sanam nahi woh to pathar zaat hai

ab na tera saath hai, na tu mere paas hai,
dil tardapta hai mera, raat royi saath hai,

aaja sajani lout ke tu, sunle yeh fariyaad hai,
chandni tu aa banaa-de, kitni kaali raat hai,

aa fiza mein gull khila de, mere sanam aa bhi jaa,
aaja aaja ab to aaja, ankhiyon ka yeh barsaat hai,

tere bin yeh chandni bhi, ab andheri raat hai,
aaja sajani, mere sanam keh rahi har saans hai,

aake mujh ko tu hansa de, hansi to tere sath hai,


“raaj“ tu kyun fariyaad hai karta baar baar, 

woh teri sanam nahi, woh to pathar zaat hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts