haan main aaj bhi mohabbat karta hoon

aksar apne kamre ki khidki ke paas baith kar
main khoya sa rehta hoon, kuch socha karta hoon.

moond kar apni palkon ko yaad karta hoon tumhe,
aur dheere dheere se kuch khwaab buna karta hoon.

aate jaate logon ke chehron ko dekhta hoon main,
anjaan chehro main woh ek chehra dhoonda karta hoon.

sochte huye tumhe yunhi nam ho jaati hain palken meri,
ankhon ki baarish mein, main asksar bheega karta hoon.

phir tumhara ishq mujh ko dheere se dilaase deta hai,
bachon ki tarah, rona chord ke muskuraya karta hoon.

ishq hai ya sanam ki ibaadat yeh nahi main jaanta,
haan bas dil-o-jaan se main tumse aaj bhi mohabbat karta hoon. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts